Mitrata
Mahadev aur Narayan ki Mitrata
Jag ne dekhi hai lekin kabhi samjhi nahi
Kyunki inn dono ko samjhna asan kahan hota hai
Mahadev jitne bhole hote hai
utne hi kathin samjhne mein
unka jeevan kisi chalchitra se kam nahi
woh dhyan lagae toh sansaar unko yaad kare
woh toote toh sansaar roe aur bhay se kaape
Narayan aur Adi-Shakti ke siva
unhe koi na sambhal pae
Narayan jitne sundar aur natkhat hai
Utna hi unhe janana mushkil
Nahi unhe pakad paoge aur nahi unhe samjh paoge
Unke tootne par sampoorn sansar unhe sambhalne mein lage
Narayan aur Mahadev ek duje ke viprit hoke bhi
kathin se kathin samay mein ek duje ke sath khade
Unke bhav samjhna utna hi kathin hota hai
kyunki ek duje ke siva pura jag unhe samjhane mein
asafal hota hai
Narayan-Mahadev ki mitrata anokha aur anutha hai
For you only my Printha, -Dhadkan-
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top