Humari Adhuri Kahani
Bachpan mein mile the toh
kitne befikr the hum
na jane samay ka kya chakravyuh tha
ki bichad gae hum
Phir jab hum mile
tab tak humein akal ani shuru ho gayi thi
tab humne sabko dikhaya ki
Draupadi-Krishna jaisi dosti
kaisi nibhani hai
Samay phir se khela apna pasa
alag hue hum kuch shaand ke liye
Iss baar jub hum mile toh
duniya ki sooj booj thi humein
jab ek dusre ko dekha toh sirf yeh kaha
kya yehi pyar hai
Prem ke raste par toh hum nikal pade
woh bhi gaddi leke
Pahadon ki un haseen wadiyon mein
pyar ke geet gunj uthe
Jab mein ne tumhe
prem prastav diya
Ek aisa pyar ka izahar
jo tumhare dil ke karib tha, hai aur rahega
kyunki woh tumhare dil ki ek dor thi
Phir na jaane samay ko kya jaldi thi
ki gaddi ka rasta rok liya
aur hum juda ho gae
Pahadon ki woh vadiyaan
humare prem ki sakshi hamesha rahegi
Ek aisa prem jo mayur ke pankh ki tarah
sundar aur satranga tha
Humare iss Daastan pe sirf
ek gaana judjta hai
Humari Adhuri Kahani
This for you, Guda -Dhadkan-, to make your day a bit more special from my side
Signing off,
Keyur
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top