Akelepan se Dosti
Log punchete hai mein akele kaisi rehti hoon
Ek anjaane se desh mein,
jahaan apnapan kabhi mehsoos nahi hua
Unhe kya hi pata, ek panch saal ki
bholi bhali ladki ko
jo apne Dadai ko sab kuch maanti thi
Jiske liye uske Dadai duniya mein sab kuch kar sakte
usse ek dum Rajkumari jaise rakhte
Uski Thanu iss karya mein unki madad
Aur Uske mummy papa apne hisaab se usko raah dikhate
Uss sabko chodkar sirf apne Mata-Pita ke saath dusre desh mein jaana pada
Usse kya hi pata tha, ki jo TV
woh bohot dekhna pasand karti thi
jisko koi band karne ki himmat nahi hoti thi kyunki
woh pura ghar apne sar pe utha leti thi
Wahi TV uske akelepan ko guzaarne ki dost ban jayegi
ek aisi dost jiske liye usse abhi taane sunane padte hai
par wahi ek hai jisse usse sabse jyada Khushi milti hai
Woh Kisse kahaniyaan jo woh kabhi suna karti thi
Apne Thanu se, woh kitaabo ke roop mein ek nayi duniya ka raah dikhayegi
Jisse uska pyar apne Matribhoomi ke liye iss kadar badha ki koi usse dekhkar
yeh andaaza nahi laga paega ki woh kabhi chodkar gayi thi uss Ma ko
Phir har saal woh Ladki apne dadai ke paas jaati thi
Chuttiyon pe, apna ghar apnapan mehsoos kar pati thi
Par jab woh wapas apne Karmbhoomi lauti, wahi yaadein jo usne banai
ek saptah tak usse rulati, kyunki woh apna dil toh wahi chodkar aati thi
Bade hote hote akelepan se dosti ho gayi
Aur Youtube-TV se param-mitrata
Baas ab woh apne ghar lautna chahti hai
Jahan usse apnapan toh mile
Shayad waha apnapan kuch kuch jagaho pe khatam ho gaya ho
Lekin woh Khush toh rahegi
Aur dil kholke jiyegi
Just a random poem which on a question which is asked by many people, I hope they get it.
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top