Quasp


Din: Shaniwar.
Sthaan: Namjoon v Hoseok ka kiraya ka ghar jo jeon parivar ke makaan ka top floor hai.
Samay: shaam, 5 baj kar 23 minute.

Namjoon ko achhi internship chahiye thhi. Vo man lagake apne kamre me padhayi kar raha thha. Aaj subah uska ek hospital me junior resident ka interview thha jisme usne apni ummeed se bohot bura input diya to vo aur zyada mehnat karne ke mood me thha. Usko ab doctor banne se koi nahi rok sakta thha. Ab vo apni seat se tabhi uthne waala thha jab tak koi uske paane ke glass me aag na laga de.

Achanak se DDLJ ki tune bajne lagti hai. Aur tune khatam hone ke baad robotic aawaaz me ek mahila kehti hai "Please Open The Door."

'Is samay kaun ho sakta hai,' Namjoon ne socha. 'Hoseok hota to chabhi se khol leta... unless vo chabhi ghar pe chhor ke chala gaya ho,' usne aur vichaar kiya. Fir kuchh soch vichar karne ke baad usne gate na kholne ka nirnay liya. 'Hoseok hai to bahar baitha reh I don't care. koi aur hua to chala jayega kuchh der ghaas na daali maine to,' he thinks.

Kuchh seconds baad Dhoom machale ki tune bajti hai aur mahila kehti hai "Please Open The Door."

Firse DDLJ ki tune bajne lagti hai aur robotic mahila firse darwaaza kholne ki vinti karti hai hai.

Is doorbell ki constant DJ party se pareshaan ho kar Namjoon ko apni chair se uthna hi padha. Usne apna darwaza khola aur saamne dekha ki Jeon parivaar ka sabse chhota beta ek thaili lekar khada hai.

"Chashma pehenke so rahe thhe kya bhaiya," usne iteraate hue poocha jiska javaab Namjoon ne, "padh raha thha," bolke diya.

"Aapke yaha aane ka kaaran?" Namjoon ne sarcastically smile karte hue usse apni usual passive aggressive tone me poochha.

Jungkook ne Namjoon ko thaili pakdate hue kaha, "ye mummy ne roti aur parle G bhijawaye hai."

"Oh," Namjoon thhoda chauka but Mrs Jeon ki khaatiradaari se avagat usne khushi khushi khaana le liya. "Ye kis liye?" Namjoon ne poocha.

"Vo mummy ne bola kutte ko khaana daal aa to... ok bye," Jungkook haste haste vaha se faraar hogaya aur isi tarah Namjoon ka time waste hogaya.

Panchatantra ki kahani ka Bangtan Edition padhne ke liye aapka dhanyavaad.

Djjdnsnsmsksmmss

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top