Chapter 57

Aman tried talking to Sonia but she ignored him completely. Avu was sad after seeing Sonia's behavior. Jaireem tried consoling her.

Jai: Muski yrr it's okk tu chinta nhi kar

Reem: Hnn Avni tu to jaanti hai na ki mummy ko Nigams se kitni nafrat hai. To obviously wo aese hi react karti na

Jai: Aur Muski remember tu kitni nafrat karti thi Siddharth se ek time par. Usko dekhna to door naam sunkar bhi tu itna chid jaati thi. Ab mom ka to tu imagine kar hi sakti hai na. Agar tujhe bhi koi uss time bolta Siddharth se shaadi karna. In fact dosti bhi to tujhe kitna gussa aata

Reem: Aur tu to usse pyaar karne lag gayi na. To mummy bhi maan hi jayengi na

Avu: Bhayia bhabhi hum sabko pata hai ki mom unse kitni nafrat karti hai. Agar wo nhi maani to?

She said looking at them as tears formed in her eyes. Jai sighed.

Aman: Maan jayegi wo

Three of them looked at him. He came near Avu and hugged her.

Aman: Tu chinta matt kar. Maan jayegi wo. Mein zaroor manaoonga usse. Bass rote nhi

He broke the hug and raised her face holding her chin. Her face was filled with tears. He wiped them off.

Jai: Arre Muski. Tu to strong bacha hai hamara. Hum sabse strong hai. Aese thoda rote hai. Reemie paani laana

Reem: Hnn ek second

She rushed to the kitchen and brought a glass of water. Jai took glass from her and made Avu drink it.

Jai: Bass ab nhi rona. Mom ko mana lenge kisi tarah. Tu tension nhi le

Avu nodded her head.

Jai: Jaake face wash karle jaa. Reem

Reem nodded understanding and took Avu in washroom.

Jai: Papa maa ko manana bohot mushkil hai

He said folding his arms near his chest.

Aman: Jo bhi ho mein apni beti ko rote hue nhi dekh sakta

Jai nodded.

Jai: Papa wo to hum mein se koi bhi nhi dekh sakta. Par mom ka Nigams ke saath kya equation hum sab jaante hai. Aur maa aese react kar rahi hai. I don't know Vibha Aunty ne kya bola hoga. And honestly speaking Siddharth aur Muski to ek doosre ko pasand karte the but confess bhi nhi karna chahte the mom aur Sonia Aunty ki hatred ki wajah se. Tab bhi ye dono yahi bolte the ki point hi kya hai iss sabka jab ma hi nhi maanegi to. Ye to mere aur Abhi ke insistence par unhone confess kia tha

Aman: Hmm. Ab to manana hi padega Sonia ko. Chal mein baat karne ki koshish karta hu. Tu dekh lena Muski ko theek hai na

Jai: Jii dad

Aman went in his room.

Aman: Sonia

She again ignored him.

Aman: Sonia aesa to kuch bhi nhi hua ki tum mujhse baat tak nhi kar rahi ho. Ab apni beti ko ghar bitha kar to nhi rakhna na. Kahi to kisi ke saath to torna hi hai

Sonia snapped at him.

Sonia: Maine kab mana kia? Maine kab kaha ghar bitha kar rakhlo. Par wahi ladka kyu?

Aman: Wo meri pasand nhi hai. Uski khud ki pasand hai. Aur sach bataoo to mujhe to ladke mein koi burai dikhti bhi nhi hai

Sonia made a face and turned it away from him.

Aman: Aesa muhh banane ka kya matlab hai? Tum khud batao ki ladke mein kami hai? Siwae iss baat ke ki wo Nigams ka beta hai. To mujhe to wo bhi koi burai nhi dikhti sach bataoo to. Achha pada likha hai. Sundar hai. Job doond raha hai aur college mein kaafi intelligent raha hai, study bhi achhi hai. Job mil bhi jayega. Aur jab tak nhi bhi Siddharth aur Muski ki job lagti ghar par sab kamate hai. Aur sabse badi baat ghar ke bilkul paas hai. Hamari beti kahi door bhi nhi jayegi aakhon ke hamesha saamne rahegi. To mujhe nhi lagta ki mana karna chahie. Aur sabse important baat hamari beti ko pasand hai. Uski khushi uske saath hai. Abhi itna royi wo pata hai tujhe? Tu kya chahti hai? Teri bina kisi reason ki wo dushmani zyada badi hai ya teri beti ki khushi? Aur Sonia wo konsa koi bachi hai koi bhi chaar baatein karke fusla lega. Usne khud pasand kia hai use. Maan meri baat uske saath aesa nhi karte. Tujhe Vibha nhi achhi lagti isme bachon ki kya galati hai? Wo to apni dosti aur pyaar ye sab sochkar kare ye koi zaroori thoda hai. Ladka bohot achha hai. Muski khush wahi uske saath hi rahegi. Baat samaj. Itni si baat ke lie apni beti ki life kharab nhi kar

To be continued

Stay tuned for next chapter

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top