Chapter 47

Reem walked out of her room holding her purse. She was wearing her sandals kept on rack near the door.

Sonia: Kahi jaa rahi hai?

Reem: Hnji mummy wo zara shopping ke lie ja rahi thi

Sonia: Achha? Kya lene?

Reem: Kuch khaas nhi. Maine socha thodi outing ho jayegi

Sonia: Koi zaroorat nhi hai kahi jaane ki

Reem frowned.

Reem: Mummy Vaishu wait kar rahi hai mera. Mein jaldi aa jaoongi

Sonia got an even more bitter feeling listening her name.

Sonia: Jaakar dopahar ka khana bana. Jab koi kaam hi nhi hai to bewajah kya karna hai jaakar. Sirf paise hi udane hai na

Reem: Lekin mummy....

Sonia: Teri shopping zyada zaroori hai kya? Ya ghar ke kaam. Bohot kaam hai ghar par chup chaap wo karo. Tu kahi nhi jayegi. Aur uss Vaishnavi ke saath to sawaal hi paida nhi hota

At Nigam's house

As soon as Vaish cut the call, Vibha called her. She overheard the conversation Vaish was having with Reem on call.

Vibha: Tereko pata hai na unn Nandras ke saath hamari nhi banti. Fir bhi unki bahu ke saath ghoomne jaana zaroori hai kya?

Vaish: Mummy jii aapki nhi banti. Meri to bohot achhi dost hai wo. Mein to jaa hi sakti hu na

Vibha: Mere saath zyada zubaan matt lada

Ram came out while they were having an argument.

Ram: Vibha mujhe tujhse ek zaroori baat karni hai

He then saw Vaish was ready to go out somewhere.

Ram: Kya hua beta? Kahi jaa rahi hai?

Vaish: Hnji papa wo Reem ke saath shopping.....

Vibha: (cuts her) Nhi kahi nhi jaa rahi ye. Agar ye ghoomne phirne nikal jayegi to hume khana kon khilayega

Ram: Ek second. Teri problem khana nhi hai. Reem hai. Kya dikkat hai ek din chale bhi jayegi to? Wo job par bhi jaati hai tqb peechhe se nhi banati tu khana? Aur uski shaadi se pehle bhi tu khana banati rahi hai. Theek hai? Faaltu bahane matt de. Aur agar tujhe khana banane se koi problem hai to mujhe bhi banana aata hai. Aur jo ghar par tere do bete bethe hai. Wo bhi bohot achhe se khana bana sakte hai. Agar ek din wo bahar jaa bhi aati hai to kya baat hai

Vibha tried to speak something but she was out of words.

Ram: Aur tu apne bete ko to rok nhi paayi. Usko best friend hai na Jai. To bahu ko kaise rokegi? Aur Nandras se problem se tujhe hai. Ghar mein aur aesa ek bhi insaan nhi hai jisse unse koi problem ho. Vaishu bacha tu jaa apna enjoy kar. Ye kuch nhi bolegi tujhe. Aur agar koi kahegi to mujhe aakar bolna tu

Vaish smiled at him and hugged him.

Vaish: Thank you papa

At Nandra's home

Everyone came out listening to Sonia's shouts.

Jai: Kya ho gya maa?

Aman: Sab theek hai Sonia? Reem? Kya hua beta?

Jai: Tu to shopping par jaa rahi thi na? Gayi nhi?

Avu: Hnn bhabhi kya ho gya?

Sonia: Konsi shopping? Ghar par itna kaam hai aur isko ghoomne firne jaana hai. Kya zaroorat hai?

Aman: Sonia ek baat bata mujhe tu ghar par bahu laayi hai ya naukar

Sonia: Aap kuch bhi bol rahe ho?

Aman: Kuch bhi nhi bol raha. Tu bhi ek beti ki maa hai. Kal ko teri beti ke saath bhi aesa karenge. To?

Sonia: Arre shopping par jaane ko mana kia na. Konsa maine zeher de dia usko?

Jai: Maa baat shopping ki nhi hai

Aman: Sonia baat sirf itni hai usko apni zindagi jeene ka hakk hai. Wo sirf iss ghar ke kaam ke lie nhi hai

Just then Reem's phone rang again. It was  Vaish's call. Reem cut it but Aman saw it.

Aman: Achha ab samaj aaya mujhe problem kya hai. Problem to saari ye hai. Sonia tune apne bete ko Nigams se door rakhne ki kitni koshish. Kuch hua? Bahu ko bhi nhi rok payegi. Islie chhod de ye sab. Reem tu jaa beta. Chhod isse

Reem smiled and left.

Aman: Kya hai ye sab? Kyu ghar ki sukh shaanti bang karni hai tujhe? Achha nhi lagta sab kuch theek thaak? Hadd hai

Aman went in his room. Sonia also went in kitchen cursing Reem.

Avu: Jai

Jai: Hnn?

Avu: Maa bhabhi ke Vaishu di ke saath sirf shopping jaane par itna gussa hai to mere aur Sid ke baare mein pata chalega to imagine kya hoga?

Jai: Mein bhi wahi soch raha hu yrr

Both looked at each other with frightened faces.

To be continued

Stay tuned for next chapter

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top