Chapter 37

Sid: Bhayia kuch bhi matt bolo ab aap. Aapke akele ki pasand se kya hota hai?

Abhi: Arre meri pasand matter karti hai. Mein ladke ka bhai hu after all

Sid: Aapki bhi. Aapki akele ki nhi. Aapki pasand matter karti hai. But aur logo ki bhi karti hai. Pehle to wo mujhe pasand nhi karti. Dekha hai aapne har time ham dono sirf ladte hi rehte hai. Ek second ke lie bhi ek doosre ko dekhle na to ladna shuru

Abhi: Aur jis din ek second ke lie bhi na dekho uss din bhi to nhi raha jata terese

Sid: So you mean to say ki aapko lagta hai ki hum dono ek doosre ko pasand karte hai

Abhi: Nhi maine aesa kab kaha?

Sid: To fir aap kya bol rahe ho?

Abhi: Mujhe lagta nhi mujhe to poora vishwas hai. Tu accept karle bass

Sid: Aur mere akele ke accept karne se kya hoga?

Abhi: Jaise tu karega wo bhi kar legi na

Sid: Aap na baat nhi samaj rahe ho bhai

Abhi: To samjha na mere bhai. Tu samjhade achhe se mein nhi samaj raha to

Sid: Bhayia dekho. Baat sirf hum dono ki nhi hai. Poori family ki hai. You know kaise relations hai hamari families ke. Especially mom aur Sonia Aunty. Mein uss ladki ke saath kaise kuch bhi sochoo jab mujhe pata hai na to hamari moms maanengi na khush hongi. To jis taraf jaana nhi soch kar bhi kya faida. Point hi kya hai? Mom kbhi maanengi hum dono ke lie. Na meri mom na uski. Aur unke against na mein kbhi jaaoonga na wo jaegi. To aap hi sochke dekho na. Baad mein bhi to hamara kuch hona nhi hai.  To fir kya faida hai iss sabka? To frankly speaking ye sab bekar ki baatein hai. Hum dono ka aesa kuch na hai na kbhi hoga. Aap sirf apna time waste kar rahe ho. So let it be

Abhi: Ho gya? Ab mein boloo?

Sid: Aapko kon rok sakta hai?

Abhi: Hnn wo bhi hai. Dekh Ashu tu sirf mom ke dar se Avneet se baat nhi kar raha hai? To yrr tu baat to kar aur kaha tujhe shaadi aaj hi karni hai? Abhi to hnn achhi lagti hai pasand hai. Mein to baas accept karne ko bol raha hu. Usse baat to kar. Abhi to tum logo ka college poora hone mein bhi time hai. Feelings deny to matt kar. Aur kaha har pasand karne walo ki shaadi hoti hai. Ek chance to de hi sakte ho ek doosre ko. Fir agar lagega ki tum log sure ho ek doosre ke baare mein. Time aayega shaadi wagera to mom se baat bhi kar lenge. Dad hai. Mein hu. Par wo to baad ki baat hai na. Abhi ye sab kyu sochna?

With Jaineet

Avu was beating him with pillow.

Avu: Ye le. Pitta reh

Jai was laughing at her. Then he took away the pillow and sat straight.

Jai: Muskan mazak ki baat aur hai. But seriously kab tak apni feelings ko deny karne ka plan hai tera?

Avu: Konsi feelings?

Jai: Jo tera haal hai na hota to ye tbhi hai jab koi pasana aa jaye. Achha lagne lage. Aese to hota nhi

Avu: Aur tujhe lagta hai ki mujhe wo bandar pasand aayega?

Jai: To koi aur ladka hai kya? Kyuki jo teri harkate hai koi to hai hi Siddharth nhi to koi aur hoga

Avu: Nhi koi ladka nhi hai

Jai: To ladki hai?

Avu: Jaiii

Jai: Dekh mujhe koi problem nhi hai. I am a modern educated person and I respect your choice. But hnn mom dad ko manana padega

Avu: Shut up okk?

Jai: Theek hai. Tu accept karle tujhe koi pasand hai. Mein nhi chidaunga

Avu: Mummy ko bhi pasand aana chahie na

Jai: To uske lie mein hu. Dad hai. Aur jab mom ko pasand karwane ka time hoga tab dekha jaega. Filhaal to tujhe pasand karna hai. Wo tu kar chuki. Ab accept karna baki hai

To be continued

Stay tuned for next chapter

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top