Chapter 27
After breakfast, Vibha was in kitchen washing utensils. Others were sitting in living room.
Ram: Hnn ab bol tu kuch bol raha tha na. Teri maa to koi baat karne hi nhi deti hai
Abhi: Umm wo hnn wo kuch important baat karni thi aap sabse
Ram: Hnn to bata na. Koi gadbad to nhi ki hai tune? Ashu kuch kia isne?
Sid: Arre nhi nhi papa. Aesa kuch nhi hai
Abhi: Nhi papa gadbad to nhi ki hai
Ram: Fir theek hai bol. Paise waise chahie kya? Itna gabrane ki zaroorat nhi hai usme
Abhi: Nhi dad aesi koi baat nhi hai. Aap ma ko aane di jie. Mein dono ko ek saath bata doonga
Ram: Okk
Ram shrugged off and picked up his phone. Vibha came after sometime and sat down.
Vibha: To aaj lunch mein kya khaoge tum sab?
Abhi: Kya ma aapko sirf khaane ka hi soojta rehta hai saara din. Abhi to pehle wala bhi muhh mein hi hai. Aur abhi to just bartan dhoye hai
He said irritatedly.
Vibha: Hnn tum sab ko to sirf khaane ke lie beth jaana hai. Mujhe to banana padega. Fir tumhi log bolte ho ye kya bana dia? Fir nakhre aa jaate hai tum logo ko. Abhi poochh rahi hu to aese bol raha hai
Abhi: Maa aapko jo banana hai bana dena. Hum kha lenge. Hume koi problem nhi hai
Vibha: Hnn to theek hai aaj mein lauki bana deti hu
Abhi: Hnn theek hai chalega
Sid: Oh hello. Kya chalega? Mereko ye sab nhi khana. Aapki baat important hai I understand. Par iss chakkar mein mein ye sab nhi khaoonga. Mere lie kuch aur banao
Vibha: Dekho beta jii. Yaha na hotel nhi khol rakha maine. Ki ek ko kuch chahie aur doosre ko kuch. Aur teesre ko kuch aur
Ram: Maine kaha kuch bola? Aur tum kyu pooch rhi ho inse. Banake saamne rakho. Kaise nhi khayenge? Tumne khud hi sir par chada rakha hai inko
Vibha: Maine sir chada rakha hai. Hadd hoti hai
Sid: Mereko lauki nhi khaoonga
Abhi: Shut up. Aapko sabko ye sabzio ki padi hai. Mein itni der se kuch bolne ki koshish kar raha hu. Meri koi kyu nhi sun raha?
Ram: Tu bolle pehle. Aesi kya baat hai?
Abhi: Okk. But ab koi aaltu faaltu baat nhi hogi. Pehle meri baat suno
Ram: Hnn to bol na. Kya baat hai?
Abhi: Umm mom dad darasal ek ladki hai
Ram understood immediately what he was gonna say but he suppressed his smile and maintained a stern face. He continued looking at his phone showing he was not much interested.
Ram: Hmm uska kya?
Abhi: Actually wo mere hi college mein padti thi. Ahh Vaishnavi Rao. Aur hum dono ek doosre ko kaafi pasand bhi karte hai
Ram: Hnn to?
Abhi: To aapko batana tha
Ram kept his phone away.
Ram: Achha beta? Pasand karte ho ya pyaar karte ho? Normally just achhi lagti hai ya aage future ka bhi soch rakha hai?
Abhi: Dad pyaar karte hai
Ram: Arre wahh Vibha bada ho gya tera ladla. Dekhle. Ab bata bhi do aage ka kuch socha hai
Abhi: Dad hum log ek doosre se bohot pyaar karte hai. Aur hum ek doosre ke life spend karna chahte hai. Islie aapko bata raha hu. I mean dono kaafi sure hai ek doosre ke baare mein. Time pass nhi kar rahe ho aur hum 5 years se ek doosre ko jaante hai aur 3 years se relationship mein hai. And we are pretty sure. Islie aapko bata raha hu. Aage aap jaisa theek samjhoge
Vibha: Pehle pasand. Fir pyaar. Fir bohot pyaar. Ek jagah to tikk
Sid: Bhayia na bhabhi se beimteha mahobbat karte hai
Vibha: Tujhe bhi pata tha?
Sid: Hnn meri kaafi achhi dost hai wo. I know her. Pehle bhi thoda bohot jaanta tha. Milaya bhi tha bhayia ne ek do baar. Aur jabse college join kia tabse kaafi achhi dost hai
Ram: To tu hi bata deta hume gadhe
Sid: Mein to kayi baar batane wala tha but bhayia hi mante the
Abhi: Itna blackmail kia hai na uske naam par tune mereko
Ram: Ab bata jab dinner time par call aata tha chhutiyo mein. Aur tu cut karta tha ya kbhi family ke saath bethe call aata tha aur tu nikalne ke bahane doondta tha to usika hota tha na
Abhi: Dad aap ye sab kya bol rahe ho?
Ram: Beta baap hu. Aur maano ya na maano baap ko pehle din se pata hota hai ki beta kya gul khila raha hai
Abhi: Ab papa
Ram: Chal ab photo to dikhade. Aur kuch bata uske aur uske family ke baare mein. Fir milne ka program banate hai
Abhi: Hnji dad
Abhi opened his gallery and showed them pics. He told a bit about her and her family.
To be continued
Stay tuned for next chapter
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top