Zindagi...

Zindagi kisi ka intazaar nhi karti... bas guzarti chali jaati hai...yeh nhi daikhti k kon ussay jee rha hai aur kon sirf ussay guzar rha hai... hr insaan k paas hoti hai.. laikin kisi k liyay rehmut hoti hai aur kisi k liyay zehmut... kisi ko khushiyaan hi khushiyaan daiti hai toh kisi ko taqleeefon k tohfay daiti hai... kisi ki dost hoti hai toh kisi ki dushman... magar yeh toh Allah ki amaanut hoti hai ... iss k bus mein toh kuch nhi hota.. yeh toh Allah k aik kun ki mohtaaj hoti hai.. iss pr toh Allah ka hukam chalta hai... toh jub hum kehtay hain k meri toh zindagi hi aazaab hai toh kbhi socha hai k hum kis ki Naashukri kr rhay hainn.... dar-haqeequt hum Allah ki naa-shukri kr rhay hotay hain...zindagi mein bohat se mushkulaat aati hain magar yeh hamain mazboot bohat mazboot bna daiti hain... jaisay game levels hotay hain.. shuruh mein aasaan hota hai phir jub hum woh khail chuktay hain toh agla uss se mushkil aata hai phir hum ussay jeetnay k liyay koshish krtay hain .. aur thori se koshish k baad hum woh level bhi complete kr laitay hain.. phir uss se agla level aa jaata hai jo k aur bhi mushkil hota hai jissay hum khailtay hain aur expert hotay jaatay hain.. din badin behtur hotay jaatay hain.... issi tarha kabhi socha hai k Allah pehlay choti aazmaayish daita hai hum paar krtay hain.. mazboot hotay hain.. phir agli uss se bari aazmaayish daita hai uss ko mukalmal krtay hain.. aur mazboot hotay hain.. phir issi trha woh aazmaayishon k zariyay hanain mazboot sw mazboot tur bna daita hai.... aur phir hamain kehta hai k apni koshish se in aazmaayishon se niklo.. baishak wohi nikaalta hai... aur hum bs yehi kehtay hain k ya Allah hamesha mjy hi q aazmaayish mein daalta hai?? Yeh nhi sochtay k woh hamain kitna mazboot kr rha hai...
Baishak 70 maayon se zaida pyaar krta hai...
❤❤❤

~~~~~~~~~~~

So friends kesi lgi??

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top