Pinjara...

Saara qasoor hi in aankhon ka hai...khawab daikhtay howay apni oqaat hi bhool jaati hain aur phir jub bai-dardi se inhain in ki oqaat yaad dilayi jaati hai toh barasnay lgti hain...
Uss ne apni ungli aankh k neechay rakh kr aansoo roknay ki naa-kaam koshish ki..

G nhi.. saara qasoor soch ka hai..
Uss ne cigarette ki kush laitay howay kha...

Aur hum jaisay logon ki soch ko toh uss waqt hi pinjaray mein qaid kr k chaabi guma di jati hai jub hum paida hotay hain..
Woh ab neechay daikh rhi thi..

Laikin agr tum log chaho toh iss pinjaray ko tor saktay ho..
Uss ne lighter table pr rakha...

Sub kehnay ki baatain hain..
Woh halqa sa muskurai aur uth kr chali gaii...

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top