MOJZAA (PART 6)
Assalamuaikum,
Mojzaa,
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.
Mojzaa or amna dono college nahi jati or mall me ghoomne jati hai, wo dono kafi ghoomti hai or shopping karti hai.
Yaha college me abeer mojzaa ka wait kar raha hota hai kafi der intezar karne ka baad jab mojzaa nahi ati toh wo gusse se apne dost se kehta hai.
Abeer,
Ye college q Nahi ayi mojzaa.
Ammar(abeer ka dost)
Hume kya pata bhai hum se q poch raha hai or Tu react toh aise kar raha hai jaise kitna pyar karta hai toh usse , time pass hi hai tera wo toh thoda calm ho ja.
Abeer,
Mai calm hi ho toh amna ko call kar or poch k wo dono kaha hai or college q nahi aye.
Ammar,
Ok karta ho but wo kuch batane wali nahi hai.
Ammar amna ko call karta hai ammar amna ko pahle se janta hai issi liye abeer usse call karne k liye kehta hai.
Amna,
Hello, ha bolo q call ki tumne.
Ammar,
Are yaar wo tum college nahi ayi is liye q nahi ayi tum college.
Amna,
Wo aj mood nahi tha mera isliye nhi aye hum log college waise tumhe kya zarurat ho gayi jo tum poch rahi ho.
Ammar,
Bas aise hi khair toh mojzaa tum dono sath me ho.
Amna,
Ha or kuch.
Ammar,
Nahi kaha ho wo bhi bata deti toh acha hota.
Amna,
Acha (amna call cut kar deti hai)
Ammar,
Nahi bataya k kaha hai wo dono bas ye kaha k mood nahi yha is liye nahi aye college.
Abaan apni meeting k liye mall me aya hoa hota hai. Tabhi uski nazar restaurant k bahar mojzaa padh padti hai.
Abaan,
Ye yaha.
So i hope ap sab ko meri presentation achi lagi ho waise toh mai janta ho ki apki ha hai but phir bhi ap mujhe jaldi jawab de dijiye ga.
(Client kehte hai thik hai mai apko ek do din me jawab deta ho nice to meet you)
Abaan,
Me to. Okay I have to go mujhe kahi jana hai.
Client,
Yes sure.
Abaan mojzaa ko dhodhta hoa ladies dress ki shop par pohanch jata hai waha amna Or mojzaa dress dekh rahe hote hai.
Abaan,
Allah ka shukar hai mil gayi.
(Abaan mojzaa k pass jata hai)
Hii, a ap yaha.
Mojzaa,
Q mai yaha nahi a sakti.
Abaan,
(Abaan apne sawal par sharminda hota hai or hasta hai)
Nahi mera wo matlab nahi tha. Bas generally pocha.
Mojzaa,
Waise ye mujhe apse poch na chahiye k ap yaha kya kar rahe hai q k yaha sirf ladies dress milte hai.
Abaan,
Wo wo actually mai yaha (sochne lagta hai)
Mojzaa,
Ohh samajh gayi apni girlfriend k sath aye honge.
Abaan,
Nahi, mai akela Aya ho.
Mojzaa,
Ohh toh ap gift lene aye hai kya apni girlfriend k liye.
Abaan,
Nahi mai apni mom k liye gift lene aya ho unki anniversary ane wali hai isliye.
Mojzaa,
Ohh i am sorry.
Abaan,
It's ok iski koi zarurat nahi hai, bas kya ap meri help kar sakti hai mujhe samajh nahi a raha hai k unke liye kya lo.
Kuch special sa chahiye.
Mojzaa,
Sure.
(Tabhi amna ati hai)
Amna,
Mojzaa dekh maine ye select koya hai kaisa hai (tabhi abaan ko dekh kar rok jati hai ye kon hai)
Abaan,
Hii, mai inka dost ho.
(Mojzaa abaan ko confuse ho kar dekhti hai)
Amna,
Ohh mai bhi mojzaa ki dost ho mera naam amna hai.
Or mera abaan. Chale mojzaa.
Amna,
Kaha.
Mojzaa,
Wo actually kapde lene me inki help karni hai. Tab tak toh ye sab try kar le.
Amna,
Ok
Amna dresses try karne chali jati hai or abaan or mojzaa kapde dekhne lagte hai.
Mojzaa,
Waise hai dost kab bane.
Abaan,
Business partner thoda odd lagta is liye kaha waise mai dost bhi bahot acha ho kya ap meri dost banengi.
Mojzaa,
Mai jaldi kisi ko dost nahi banati.
Abaan,
Ok toh kaise banati hai ap dost.
Mojzaa,
Ye batain chod kar dress select kar le.
Abaan,
Yes, ammi ko purple rang bahot pasand hai but mujhe wo Sare rang me achi lagti hai.
Mojzaa,
Hmm, bhaiya kuch acha sa dikhaye.wo dikhaye.
Ye kaise hai.
Abaan,
Bahot acha hai, but kuch or dekhe . Ammi ko ye pasand nahi ayega.
Mojzaa,
Hmm ok dekhte hai waha chale.
Abaan,
Ha chalo.
Kafi time idhar udhar kai dukano me dekhne k baad finally abaan ek khubsurat sa suit leta hai usse mojzaa ne hi pasand kiya hota hai or wo purple rang ka hi hota hai.
Mojzaa,
Finally tumhe kuch pasand toh aya.
Abaan,
Thank you so much meri itni help karne k liye, apki dost ayi nahi ab tak wo a jaye phir hum coffee pite hai.
Mojzaa,
Coffee q?
Abaan,
Apne itni help ki hai isliye ek coffee toh pi hi sakte hai pls.
Amna,
Ha q nahi hum yaha apke liye toh aye the.
Abaan,
Sorry maine ap logo ko distrub kiya ap ne meri help ki hai toh mai bhi shopping karne me apki help karonga. But pahle coffee pi lete hai.
Amna,
Ha thik hai Chalye but sirf coffee se kaam nahi chalega hum toh khane bhi wale hai bahot bhook lagi hai.
Abaan,
Yes yes off course.
Mojzaa,
Nahi nahi iski koi zarurat nhi hai hum kar lenge shopping bhi or lunch bhi ap jaye waise bhi apko der hori hogi.
Abaan,
Nahi mujhe koi der nahi ho rahi hai pls aye na ap log.
Teeno restaurant me jate hai or coffee or khane k liye order deti hai tabhi waha abeer apne dosto k sath ata hai.
Abaan ko zain ki call ati hai isliye wo baat karne bahar a jata hai.
Abaan,
Ha bol.
Zain,
Kaha hai toh subah se call kar raha ho but Tu koi rply hi nahi kar raha hai.
Abaan,
Ha meeting me tha phir mojzaa k sath ho lunch kar ne aye hai hum dono.
Zain,
What ye kab hoa tune kuch bataya q nahi.
Abaan,
Bata ta ho lunch k baad tere pass hi ane wala ho phir batata ho ok.
Zain,
Ok.
Abeer,
Toh ms mojzaa yaha hai college q nahi ayi tum kitna wait kar raha tha mai tumhara.
Mojzaa,
(Mojzaa usse hairan ho kar dekhti hai)
Excuse me tum mujh se baat kar rahe ho.
Abeer,
Ha tumse baat kar raha ho kya kar rahi ho yaha , khair chodo let me join u guys.
Or ek baat dobara agar college nahi ane wali ho toh mujhe bata dena mujhe kisi ka wait karna nahi pasand hai.
Mojzaa,
Kya bakwas kar rahe ho tum, or is tarah hukum mat chalo mujh par ho kon tum janti bhi nahi ho mai tumhe or tum ho k peeche hi pad gaye ho .
Amna let's go.
Amna Or mojzaa jane lagti hai tabhi abeer mojzaa ka hath pakad leta hai. Mojzaa gusse se abeer ko dekhti hai or ek zordaar thappad abeer k galo par marti hai jiski awaz abeer k kano me gujne lagti hai. Or wo mojzaa ka hath chod deta hai.
Mojzaa,
Don't touch me isse yaad rakhna phir mere bare me nahi socho ge.
Mojzaa amna waha se chale jate hai abeer gusse se mojzaa ko jate hoye dekhta hai or table palat deta hai.
Abeer,
Isse toh aisa jawab donga k iski rooh bhi kanpe gi mere naam se .
Abeer or uske dono dost waha se chale jate hai tabhi waha abaan ata hai.
Abaan,
Ye dono kaha gaye or ye sab kya hai.
(Abaan yaha waha dekhta hai but usse koi nahi dekhta.)
Kya karo mere pass toh number bhi nahi hai mojzaa ka.
Kuch der wait karne k baad abaan bhi mall se nikal kar zain k office me jata hai.
Abeer apne ghar par ata hai uske abba drawing room me uska wait kar rahe hote hai.
Abeer k abba,
Aja meri jaan kab se wait kar raha ho mai where are u?
Abeer,
Abba, ap kab aye.
Abba,
Bas thodi der hoyi chalo ab apne bete ko dekh liye sakoon mil gaya.
Abeer,
Abba mujhe thoda rest karna hai hum baad me baat karte hai.
Abba,
Ok meri jaan go and rest will meet to night.
Abeer apne room me ja kar bed par let jata hai or gusse se mojzaa k bare me sochne lagta hai.
Yaha mojzaa amna k sath apne ghar ati hai.
Amna,
Dekh apne gusse ko control kar kisi ko. Ghar me pata chala toh problem ho jayegi.
Dono mojzaa k room me jate hai tabhi mojzaa ki ammi waha ati hai.
Mojzaa ki ammi,
A gai ladkiyon kafi time laga diya tum logo ne.
Kya shopping ki batao mere liye kuch liya k nahi.
Amna,
Liya hai na unti ye dekhiye
(Wo moh bana kar. Kehti hai)
Ye toh abaan ka hai.
Mojzaa uski taraf modti hai.
Mojzaa ki ammi,
Abaan par ye admi k kapde nahi hai. Mere liye hi honge lao bahot pyara hai.
Mojzaa,
Nahi ammi mera matlab ye abaan ne apni mom k liye liya tha galti se hum le kar a gaye.
Amna,
Ha hum Sare bags apne sath le kar a gaye hai, Tu usse call kar k bata de.
Mojzaa,
Mere pass no nahi hai uska.
Mojzaa ki ammi,
Wait ye abaan kon hai.
Amna,
Mojzaa ka friend hai.
Mojzaa,
Ammi wo jo apko ghar chodne aya tha wahi abaan.
Ammi,
Acha toh dosti ho gai tumhari usse great bahot acha ladka hai.
Mojzaa,
Acha isse chod ye ye dekho na ammi ye a k liye hai kaisa hai acha hai na.
Abaan zain se baat karta hai dono sham tak sath rakhte hai or abaan sham ko ghar jata hai car se nikal kar wo gift ki bag lene k liye car ki back seat par modta hai par waha bags nahi hote.
Abaan,
Bags kaha gaye kaha bhool gaya ammi ka gift.
Kahi mojzaa ya amna k pass toh nahi hai call kar leta ho are par mere pass no toh nahi hai.
Koi baat nahi kal uske ghar chala jaonga issi bahane mojzaa ko dekh bhi longa wo smile karne lagta hai........
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top