MOJZAA (PART 3)
Assalamualaikum,
Mojzaa,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.
Abaan ki ammi abaan se pochti hai k wo itna khush q hai tabhi Abaan hadbada jata hai or smile band kar k kehta hai, wo actually meeting bahot achi gayi isliye khush ho. Abba ne bataya nahi kya.
Ammi,
Bataya hai par tum aj se pahle kisi deal ko le kar khush nahi hoye toh aj kaise ho gaye.
Abaan,
Ha nahi hoa but ye wali meeting bahot important thi apko toh pata hai ammi.
Ammi,
Acha chalo fresh ho kar a jao khana khate hai sath me.
Abaan,
Ji bas thodi der me aya.
Mojzaa k ghar par Mojzaa Or uski ammi living room me sath baithe coffee pi rahe hote hai
Mojzaa ki ammi,
Acha ladka hai.
Mojzaa,
Kis ki baat kar rahi hai ap ammi.
Ammi,
Abaan Mujhe toh yaad bhi nahi tha k mai usse mile ho wo khud samne se meri help karne aya aj kal kaha aise ladke hote hai jo kisi ki madad kare dekh kar bhi chale jate hai log but help nahi karte.
Mojzaa,
Right, but uske liye humne isse thanks bol diya hai.
Ammi,
Ha janti ho mai bas aise hi keh rahi thi chalo khana khate hai jao abba ko bula kar lao.
Mojzaa,
Ok.
Sab log mil kar khana khate hai dinning table par ammi phir Abaan ki baat ched deti hai shahir sahab ko batane k liye k unke dost k bete ne aj help ki.
Shahir sahab,
Acha Abaan waise wo bahot acha ladka hai apne walid ka saya bane hoye rahta hai business ki knowledge bhi kafi achi hai usse.
Ammi,
Ha sahi kaha apne.
Mojzaa,
Bas bhi kare ammi jab se mili hai ap us Abaan se ussi ki baat kiye ja rahi hai.
Shahir,
(Mojzaa ko pyar se dekhte hai)
Ha bhai humari beti se toh maine ab tak baat hi nahi ki.
Toh kaisa raha college ka aj ka din.
(Tabhi mojzaa ki choti bahen bhi kehti hai ha batao na didi kaisa raha aj ka din.)
Mojzaa,
Bahut acha sab kuch bilkul sapne ki tarah lagta hai sab kuch kitna perfect hai.
Shahir sahab,
Tumhari zindagi me sab kuch perfect hi hoga dekhna tumhare abba kabhi kuch galat hone hi nahi denge.
Mojzaa,
Janti ho mai acha ap bataye apka din kaisa guzra?
Shahir sahab,
Are jab din ki shuruaat apne pyare se baccho ko dekh kar karta ho tab mera din acha hi jata hai.
Mojzaa ki dadi,
Acha mera ho gaya mai aram karne ja rahi ho.
Shahir sahab,
Q ammi tabiyat thik hai na apki.
Dadi,
Ha thik hai bas thodi thakan lag rahi hai aram karongi toh thik ho jaongi.
Shahir sahab,
Pakki baat hai na ammi ya mai doctor ko bulao.
Dada,
Thik hai beta ab is umar me ye sab toh laga rahta hai.
Shahir sahab,
Thik hai ap kehte hai toh but agar koi bhi taklif ho toh ap mujhe furan bataye.
Mojzaa,
Acha mai aj dadi k pass so jati ho.
Q dadi.
Dadi,
Ha ye thik hai mojzaa sath hogi ho mai jaldi so jaongi.
Mojzaa,
Par dadi mai apke sath jaldi sone k liye nahi balki batain karne k liye ane wali ho mai apko sone nahi dongi.
Dadi,
Ha thik hai beta tum khana kha kar ao mai tab tak aram kar leti ho.
Mojzaa,
Ha ap chale mai chai bana kar le kar ati ho phir hum teeno sath baith kar khoob batain karenge.
Dadi,
Thik hai.
(Dadi apne room me chali jati hai sab khana khane k baad sab log apne apne room me chale jate hai tabhi mojzaa chai le kar dadi k room me ati hai dadi Or dadi baithe batain kar rahe hote hai.
Dada,
A gayi beta ao hum tumhari hi baat kar rahe the.
Mojzaa,
Meri o acha i know meri tarif hi kar rahe honge.
Dada,
Ha beta jo tarif k kabil hota hai uski tarif toh hone hi chahiye.
Mojzaa,
Acha ab ap dono mujhe apne bachpan k qisse bataye apki shadi kaise hoyi ye bataye.
Dada,
Acha ab ap dono baat kar mai sone ja raha ho chote k pass.
Mojzaa,
Chale dadu mai apko chod kar ati ho.
Dada,
Ha chalo.
Mojzaa dadi ko chod kar ati hai apne bhai k room me Or phir wapas dadi k pass ati hai.
Yaha abeer apne kamre me ankhein band kiye leta hota hai uske khayalo me mojzaa hi ghum rahi hoti hai.
Abeer,
Mojzaa mojzaa ye ladki toh mere dimag par havi hoti ja rahi hai isse toh mai apni gf bana kar rahonga.
(Tabhi uski ammi room me a jati hai)
Rafiya saheba,
Kya kar k rahoge kya hoa abeer koi problem hai.
Abeer,
No kuch nahi wo bas kuch soch raha tha nothing serious ap bataye ap ko koi kaam tha? (Wo uth kar baith jata hai)
Rafiya saheba,
Nahi koi kaam toh nahi tha actually mai apne bete se baat karne ayi thi kaisa raha first day of college.
Abeer,
Kya ammi ap bhi koi baccha thodi ho mai jo ap ye sawal kar rahi hai or na hi mai koi naya naya gaya tha college bas thik tha.
Rafiya saheba,
Ha bachche nahi ho tum, chodo tumse kuch pochna hi bekar hai let's go khane khate hai sath me.
Abeer,
Hmm ap chale mai bas ek call kar ke ata ho.
Rafiya saheba,
Hmm ok.
(Rafiya saheba abeer k room se chali jati hai or unke jane k baad abeer apne dost ko call karta hai)
Abeer,
Mujhe mojzaa ka number chahiye 1ghate k me.
Kabir,
Ok mai dekhta ho.
Abeer,
Dekhta nahi hai mujhe chahiye.
Kabir,
Ha bhai ab toh phone rakhe ga tab toh mai uska number tujhe de paonga na.
Abeer,
Good.
(Abeer khane k liye nichee ata hai)
Abba kab tak wapas ane wale hai.
Rafiya saheba,
Kal sham tak.
Abeer,
Hmm Waise kabab bahot ache hai ap ne banaye hai na special mere liye.
Rafiya saheba,
Ohh toh tumhe apni maa k hatho ka zaika yaad hai mujhe laga jaise jaise bade ho rahe ho meri zarurat nahi padti tumhe.
Abeer,
Ab aisa bhi nahi hai ammi mujhe apki or abba ki zarurat hamesha rahegi.
Acha mera khana ho gaya mai sone jara ho.
(Ye keh kar abeer chala jata hai)
Rafiya saheba,
Pata nahi ye ladka kam serious hoga.
Aban k ghar sab khana khane k baad baithe bataein kr rahe hote hai.
Aban k abba,
Abba ap jante hai aj ki deal mere liye bahot important thi or mujhe bahot khushi hai k abaan ne ye deal final karayi hai.
Aban k dada,
Acha ye toh waqai bahot achi baat hai mujhe khushi hai k abaan family business me maan laga raha hai.
Aban k abba,
Ha sahi kaha acha abba chale ap bhi aram kar le mai bhi bahot thak gaya ho.
Abaan,
I also go to bed room kuch kaam hai phir so jaonga.
Sab apne apne room me chale jate hai. Abaan mojzaa k bare me soch raha hota hai laptop par kaam karte ho yaha abeer bhi mojzaa k bare me hi soch raha muskura raha hota hai (bahut jaldi tum meri bano gi ms mojzaa) or mojzaa apni dadi k sath batain kar rahi hoti hai or apne future plan bata rahi hoti hai.
Mojzaa,
Bahot maza ane wala hai dadi dekhna mai khub enjoy karne wali ho apne college life.
(Mojzaa apni life me mashgol hai usse ane wali musibat ki koi kabar hi nahi dekhte hai age kya hota hai)
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top