MOJZAA (PART 17)

Assalamualaikum,
Mojzaa,
Online novel by;
Chahat Akhter shaikh💖.

Abaan mojzza ki pics dekh kar bahot khush hota hai or pic dekhte dekhte so jata hai subha abaan jaldi uth jata hai or office chala jata hai usse apne new project ko le kar bahot excitement hoti hai or wo chahta hai k is me koi bhi kami na rahe.

Kafi der kaam karne k baad lunch time ho jata hai. Abaan abhi bhi file me laga hua hota hai.

Aalimin,
Sir lunch time hogaya hai.

Abaan,
Nahi mujhe bhook nahi hai.

Aalimin,
Are mujhe toh lagi hai na bhook Or mai apne liye keh rahi thi.

Abaan,
Hhh kuch kaha tumne.

Aalimin,
Nahi.

Abaan,
Acha tum kha kar a jao than kaam karte hai mai bhi abba se mil kar ata ho.

Aalimin,
Ok sir.
(Wo jaldi se canteen ki taraf bhagti hai usse sach me bahot bhook lagi thi)

Abaan,
Isse kya hua aise q khush ho rahi hai jaise jail se nikal kar ja rahi hai.

Yaha college me project submission hone ki wajah se mojzaa or baki k student college me hi hote hai dupehar k kareeb 2 3 baje honge mojzaa apna project submit kar k ghar k liye nikal jati hai.

Mojzaa,
Thank god finally ek tension sir se utra chalo kahi bahar ja kar khana khate hai kya kehte ho tum dono.

Amna,
Hmm nahi yaar aj nahi bahot thak gayi ho aram karongi ghar ja kar phir kabhi jayenge.

Zoha,
Ha sahi keh rahi hai amna.

Mojzaa,
Ok
Yaha abeer mojzaa k jane k baad uski assignment le kar usme kuch papar Or add kar deta hai tabhi sir waha a jate hai.

Professor,
Abeer what are u doing here,?
Abeer,
Wo sir mere or mojzaa k project k kuch paper attach karna rah gaya tha bas wahi lagane aya tha laga diya bas jara raha ho.

Professor,
Ok go now.

Abeer,
Yes sir.

Abeer chala jata hai, abaan apne abba se baat karne k baad unke sath khana kha kar apne cabin me wapas a kar kaam karne lagta hai.

Mojzaa,
Sir maine sara kaam kar diya hai mai bahar hi ho koi kaam ho toh bula lijiye ga.

Abaan,
Ok.
(Phir wo kuch soch kar kehta hai)
Are ha tumhari ammi kaisi hai ab.

Aalimin,
(Aalimin ki awaz bhar ati hai or ankh bhi bhar ati hai)
Thik hai mashallah pahle se bahot bahter hai wo bp ki problem thi ab thik hai.

Abaan,
That good acha mai kehna chahta tha k agar tumhe koi bhi help chahiye ho u can tell me. Or ye mai ek boss ki tarah nahi dost k tarah keh raha ho.

Aalimin,
Thank you sir.

Abaan,
Ok u can go now I call u if I need u.

Aalimin chali jati hai or apna kaam karne lagti hai abaan bhi apna kaam karne lagta hai.

Afreen Aalimin ko cabin se ata dekh rahi thi or phir kuch der baad uske pass ati hai.

Afreen,
Hii

Aalimin,
Hii
(computer par nigahe jamaye usse jawab deti hai)

Afreen,
Tum toh abaan sir k sath hi rehti ho sara din kitni khush naseeb ho tum.

Aalimin hair and ho kar afreen ki taraf dekhti hai.

Aalimin,
Kya matlab.

Afreen,
Matlab itna young or handsome boss ho toh uske sath kaam karne ka maza hi alag hai. Din ka pata hi nahi chalega.

Aalimin,
Aisa kuch nahi hai at least mere sath toh bilkul nahi hai.

Afreen,
Kya matlab Mr abaan handsome nahi lagte tumhe.

Aalimin,
Nahi mera wo matla nahi tha wo hai handsome or bahot ache bhi hai. But iska

Afreen,
Dekha tumhe bhi lagta hai na kisi ko bhi pyar ho jayega mujhe ho gaya hai but meri toh baat hi nahi ho pati unse.

Aalimin,
Mera matlab hai mai unke bare me aisa kuch nahi sochti.abaan sir k bare me wo bass me boss hai that's it.

Afreen,
Tum nahi sochti par office ki adhe se jayada ladkiya toh aisa hi sochti hai.

Aalimin,
Acha hai good choice.

Afreen,
Acha ab jab tum sir k pass jana toh mujhe bhi sath le kar chalna.

Aalimin,
But ye office hai school hai jo maam k pass jane ho toh dost ko bhi le kar jao.

Afreen,
Hmm u are right but ap try karna.

Aalimin,
Hmm ok.

Manager abaan ki cabin me ate hai.
Manager,
Abaan beta clients ne aj ki meeting cancel kar di hai ushe kuch argent kaam a gaya tha wo next week ki date mang rahe hai.

Abaan,
What but achanak se kya ho gaya humne puri tayari kar li hai or end time par ye sab ap call kare i want to talk to them.

Manager clients ko call laga kar abaan ko deta hai kafi der baad karne k baad abaan ko malum hota hai because of some personal issue wo log nahi a sake toh abaan unhe next Friday ki date deta hai.

Abaan,
Uncle majne unhe friday ki date di hai after dinner toh ap baki sabko bhi bata de n kafi der bhi ho gayi hai toh unhe jane k liye bhi keh de.

Manager,
Ok.

Manager sabko bata dete hai or sab ghar chale jate hai.

After week on Friday,
Mojzaa in college sir distributing projects.
Sir,
Sabhi k project bahot ache hai n ap sab ne itni mahnat bhi ki hai i can see it. I really impressed from this class but kuch projects mujhe bahot jayada pasand aye hai i mean i really like the content.
Like sabiha, noman, zafar and mojzaa very good n keep it up.
Now u guys can take ur projects.

Sir k jane k baad sab apne projects le lete hai.

Zoha,
Kya baat hai mojzaa lagta hai aj kal tere sitare bulandi par hai. Abeer, abaan, or ab ye best project.

Mojzaa,
Shut up.
Wo project open kar k dekhne lagti hai tabhi usme usse extra lagaye huye pages .
Ye sab toh maine nahi likha hai phir kisne?

Amna,
Kisne kiya hoga it's clear abeer ne kiya hai.

Zoha,
Are ha ussi ne kiya hoga. Mojzaa ki attention pane k liye.

Mojzaa kuch der kuch sochne lagti hai phir project bag me rakh deti hai.
Abaan ki office,
Abaan apne staff k sath meeting room me discussion kar raha hota hai.

Abaan,
Ok dosto toh aj bas humari presentation ache se show ho jaye or ye contract hume mil jaye than hume apni pori jee jaan laga deni hai is project ko successful karne me.

Meeting k liye office k kuch menmber abaan k sath jate hai or akhir kar wo project abaan ko mil jata hai is project k liye abeer k abba bhi waha par aye hoye the but unhe nahi mila jiski wajah se wo bahot disappoint hote hai.

Abeer k abba,
Is ladke ki wajah se mere hath se ye deal kaise ja sakti hai aj tak is company k Sare project humne kiye hai but aj ye project inhe kaise mil gaya.

Manager,
Pata nahi sir humne apna sab se best deal de thi pata nahi kaise Mr abaan ki company ko kaise mil gaya ye project.

Sab log abaan ko congratulat karte hai abeer k abba bhi abaan ko congrats kar hai.

Abeer k abba,
Congratulations young boy I am glad k business ki duniya me ek naya competition dekhne ko milega.

Abaan,
Thank you.

Abeer college me apni class attend kar k ghar k liye wapas jane k liye nikal hi raha hota hai tabhi mojzaa uske pass ati hai

Mojzaa,
I wanted to thank you.
Q k tumne meri project banane me help ki.

Abeer,
Ohh pls I don't need your thanks maine ye sab tumhare thanks k liye nahi kiya or na hi tumhari good books me ane k liye so pls mai koi good boy nahi ho jo thank you sun kar khush ho jao i want to that k tum meri dost ban jao simple achi lagti ho tum mujhe is liye chahta ho k meri dost bano koi girl friend banne k liye nahi kaha tha tumhe but tumne sabke samne hi bezzati kar di.
It's ok

Your always wlm can i go now.

(Abeer rude ho kar chale jata hai.mojzaa soch me gum ho jati hai k akhir abeer ne itna sab suna diya or mai chup chap sun rahi thi mujhe na is gamandi ladke k pass ana hi nahi chahiye tha or wo bhi ghar chale jati hai)


Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top