Episode 7
Aaj mosam bht khush gawar tha. Thandi hawa chal rhi thi. Woh fajar k baad chut pr chali gai. Pta nhi q itnay achay mosam mein bhi dil udas tha jaisay kuch kho diya ho. Jaisay ghar i naimat ko thukra diya ho..woh choti choti baaton pr roti thi aur abhi bhi chut ki dewar pr khuniyan tikayay, door daikhtay howay woh ro rhi thi. Magar yeh uss ko bhi nhi pta tha k woh q ro rhi hai...
(Oh aap rona q shuruh q ho gai'n. chup ho jayain. Sakoon se baat karain q nhi krni shadi mjh se??)
Awaz bhool gai thi lehja yaad tha aur ilfaz hifz thay...
Mein q ro rhi hun Allah?? Q mera dil iss qadar vairan ho gya hai? Q mein apnay apay se baahir ho gai thi un k doobnay ki khabar sun kr. Allah meri madad kr. Mjy seedhay rastay pr chala. Mene bht bari glti ki thi un ko phone kr k ...
Woh soch rhi thi aur sooraj talooh honay ka manzar daikh rhi thi...
Khadija meri jaan yahan q khari ho??
Shazia ki awaz i toh uss ne ansoo saaf kiyay aur palti...
G bhabhi kuch nhi mosam daikh rhi thi..
Haan nah aaj mosam gadaari pr utar aya hai..
Shazia ne qehqa lgaya..
Kya matlub??
Khadija ne naa-smjhi se ussay daikha...
Aaj hum ne jana tha wapis shehar aur daikho mosam ki kharabi. Mjy toh khushi ho rhi magar asim aag bagola ho rha...
Shazia ne btaya..
Yeh toh Allah k kaam hain nah bhabhi.
Haan...
Bhabhi! Hamari zindagi mein wohi hota hai nah jo Allah chahta hai??
Woh pta nhi kya soch rhi thi...
Haan! Kya howa khadija??
Shazia preshan ho gai...
Kuch nhi bhabhi...chalain neechay chal k nashta bnatay hain baarish honay wali hai...
Uss ne kha aur woh dono neechay aa gain....
---------------☆☆☆☆
Woh jub ghar aya toh sub ne uss ki bht daikh bhaal ki...abbu toh baar baar ussay smjhatay k aram se chala kro...aur woh chup chap sub sun rha tha...
Aaj uss ki night duty thi iss liyay ussay nashtay k baad nikal jana tha magar jub woh utha uss waqt halqi halqi baarish ho rhi thi...
Abbu!
Uss ne abbu ko awaz di...uss k ghar mein sirf abbu thay. Laikin joint family thi iss liyay chachi ghar k saray kaam krti thin....
Han..
Abbu yeh mosam itna kharab ho rha hai mein abhi hi nikal rha hun. Baarish taiz nah ho jayay...
Uss ne kha toh abbu ne ussay ghoora...
Koi zaroorat nhi. Jub baarish ruki toh chalay jana. Aik din dair se pohanchay ga toh qayamat nhi aa jayay gi...
Magar abbu....
Chup kr ja...
Abbu ne danta toh woh chup ho gya...itnay mein chachi nashta lai kr i....
Bhai sahab ab kub mangni kr rhay ho umer ki??
Chachi ne poocha toh umer ne pehlay chachi phir abbu ko daikha..
Bs bhai ab iss mangni ko choro filhal..
Abbu ne taala..
Q bhai sahab???
Abhi mangni hoi nhi aur yeh bad-shagooni ho gai aur mera puttar nehar mein jaa gira agr shadi ho gai toh kya ho ga....
Abbu ne kha toh ussay un ki soch pr afsos howa...
Dil achanak udas sa ho gya tha...
(Allah g tjy teray raheem honay ka wasta umer ko bacha lai)
Kaano se koi awaz takrai thi...
(Agr umer ko kuch ho gya toh mein khud ko maaf nhi kr paoon gi)
Uss ko daikhnay ki khawish paida hoi...magar phir sir jhatak kr nashta krnay lga...
Naashta krnay k baad woh bahir nikal gya...
Aray umer ruk ja abhi nah jaa barish taiz ho rhi hai..mosam bht kharab hai..toofaani barish ho gi aaj...
Abbu ne ussay awaz di jub k woh mukamal bheeg chuka tha....
Abbu mein nhi ja rha abhi bs thora khaiton se ho aaoon...
Uss ne kha..
Acha...
Abbu bai fikar ho kr mur gayay....
Jub k woh ghar se nikal kr gaoon ki galiyon mein bila waja ghoomnay lga...
Saiyah kurtay aur pajamay mein woh bala ka handsome lg rha tha...aur bheegay howay baal!!
(Wo...mm ....mmm....mein)
Uss k chehray pr aik muskurahat i...
(Mein khadija hun choudary akhtar ki baiti)
Uss ne apnay maathay se bheegay balon ko peechay kiya...
(Allag g tjy teray raheem honay ka wasta umer ko bacha lai )
Uss k qadmon ka rukh khud bakhoon nehar k pul ki taraf ho gya....
Baarish mein mazeed taizi aa gai thi..baadal garaj rhay thay...woh aahista aahista chalta nehar k uss kinaray pr aa gya jahan woh lrki khari ho kr us k liye dua mang rhi thi....
------------☆☆☆☆
Nashta krnay k baad woh shazia ko lai kr chut pr aa gai...baarish zor pakar chuki thi..
kitna mza hai nah baarish mein bheegnay ka??
Shazia ne kha...
Han bhabhi bht mza hai...
Khadija boli...
Tum q udas ho??
Shazia ne poocha...
Nhi. Mein udas toh nhi. Soch rhi hun abba g se baat kroon prhai ki..
Uss ne kha...
Mjy pta hai tum ne abba g ki baatain sun li hain..magar tum khush naseeb ho jo aisi choti doch walay khandan mein nhi gai.
Shazia ne kha..
Pr bhabhi! Zaroori toh nhi k umer....
Woh kuch kehtay kehtay ruki....
Kya?
Kuch nhi... mein bs yeh chahti hun k mein prhoon aur kuch bra kroon.. aur aap iss waqayay ko bhool jayain..
Uss ne barish k pani ko muthi mein qaid krnay ki naaqaam koshish ki...
In sha Allah sub acha ho ga.
Shazia ne kha...
Acha ab mera dil kr rha hai k pakoray khaoon..
Khadija ne kha...
Chalain janab jo aap ka hukam hum abhi pakoray bnatay hain...
Haha...chalain mein bhi chalti hun..
Nhi tum barish ki dewani ho mzay lo mein bs 5 minutes mein awaz dun gi aa jana..
Shazia ne kha aur chali gai...
Woh baahir daikhnay lgi....
----------☆☆☆
Uss ne kuch socha aur choudary sahab k ghar ki taraf qadam brha diyay...aaj woh khadija ko daikh hi laina chahta tha...
Woh choudary sahab k ghar k darwazay k samnay aa khara howa..
Pta nhi aaj itni himat kahan se aa gai thi...magar ab woh iss kashmakash se nikalna chahta tha..uss ne drwaza khatkataya...
Kon hai bhai aa rha hun sabar kro...
Asim ki awaz i....
Aur drwaza khul gya...woh confuse sa khara tha....
Umer tum??
G mein..aap choudary sahab k baitay hain nah?
Uss ne khud pr qaboo paya...
Han..aur tum kya lainay ayay ho yahan..mangni tor k sakoon nhi mila??
Asim ne tursh lehjay mein kha..
Magar mangni toh hoi hi nhi ...
Bs bs zaida bolo mut...aao ander..
Asim ne kha toh woh uss k peechay chal diya ..
Woh pehli baar choudary sahab k ghar aya tha...waseeh sehan...bht se kamray aur bra sa baramda aur sehan k aik taraf ooper jaati seerihaan, yeh bila shuba aik khoob soorat ghar tha...
Asim ussay kamray mein lai gya..
Kamray mein choudary sahab aur un k baigam baithay thay...
Assalam o aliakum!
Uss ne salam kiya...
Wa aliakum aslam!
Choudary sahab ne jawab diya...
Woh...mein ...
Baitho..kya lo gai?
Choudary sahab ne poocha ...
Kuch nhi shukriya..
Waisay tumhara baap bht hi kachi soch ka nikla...
Choudary sahab ne kha toh woh sharminda ho gya....
G mein un ki taraf se maagi mangnay aya hun...
Woh aya toh khadija ko daikhnay tha magar abhi ussay baat sambhalna thi...
Koi baat nhi barkhoodar! Ho jaata hai aisa..tum preshan nah ho . Aur sunao doctori ki degree mil gai??
Woh choudary sahab thay jin ki waja se woh aaj doctor bnnay jaa rha tha...woh bht ala zarf thay..
G bs kuch mahinay baad milay gi...
Shabash..Allah salamat rkhay...
Choudary sahab ne kha tbhi ussay kisi ki awaz sunai di...
-----☆☆☆☆
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top