Episode 4

Uss k kano mein soor phoonka gya magar yeh soor phoonknay wala israfil nhi uss ka baap tha. Uss ne bai-chaini se unhain daikha...

Mene kl unhain ghar pr bulaya hai. Mein chahta hun k angothi pehna di jayay...tu tyar ho jana.

Abba g ne kha...

Magar abba g itni jldi kesay matlub abhi toh mein bht choti hun..

Uss ne halki se awaz mein kaha...

Hamaray Nabi (PBUH) ka frman hai k baitiyon ki shadi mein jldi kro. Aur waisay bhi meri zindagi ka kya bharosa. Ab toh bs mein apna yeh aakhri kaam kr k aram se mrna chahta hun...

Abba g ne kha toh uss ne phir un k ghutnon pe sir rkh liya. Aur ronay lgi..

Aap aisi batain q krtay hain? Aap jantay hain k mein aap k bagair nhi reh skti phir bhi tung krtay hain ab mein naraz ho jaoon gi.

Uss ne rotay howay kha toh abba g ne ussay pkar ka apnay pas charpai pr bithaya...

Tu mjh se naraz reh hi nhi skti jhali ( pagal). Acha ab ja k brtan wagaira dho lai wrna naseem ka pta hai nah...

Abba g ne uss ko kha toh woh abba g k galay lg gai..

Abba g mjy bht dur lgta hai mein kesay reh skti hun aap k bagair..aap thora intazar kr lain..

Uss ne kha magar abba g pr koi asar nah howa..

Khadija mein bht majboor hun baita! Rasheed ka baita bht acha hai.. shehar mein hota hai.. prha likha hai aur gaoon mein us k ilawa koi prha likha nhi...pta nhi kya btaya tha rasheed ne k kon se job kr rha hai..

Abba g ne kuch sochtay howay kha...

Acha chor bs tu mjy bta k umar jo itnaaa chokha (zaida) prha likha hai uss se shadi karay gi yah gaoon k kisk bhi lafamgay khaiton mein kaam krnay walay se??

Uss k dil pr waar kiya gya..woh kuch soch hi nah pai..ussay yuk-dum bhabhi ki yaad stanay lgi agr woh hoti toh chutkiyan bajatay uss ki mushkil ka hl bta daitin...

Jo aap ki mrzi abba g..

Uss ne kha aur kamray se nikal gai...

-------☆☆☆☆

Uss raat woh krvatain badalti rhi thi. Pehlay preshanoyan kum thin jo ab yeh umar naami bala bhi galay pr gai thi.. ussay gussa bhi aa rha tha aur bai-badi bhi mehsoos ho rhi thi..

Fajar ki namaz k baad uss ne nashta bna kr amma abba ko diya aur khud chayay lai kr havaili mein aa gai...

Subha subha thandi taza hawa aur mashriq se talooh hota sooraj uss ka pasandeeda manzar tha. Parinday apni khoob-soorat awazon mein gunguna rhay thay. Aur woh aik kursi pr baith kr chayay peenay lgi...

Allah g mein usama ko bht yaad kr rhi hun. Meri uss se baat krwa dai. Aur meri zindagi asan kr dai. Ameen...

Uss ne kha...

Zindagi ki asani ki dua kbhi nhi mangtay balkai yeh dua mangtay hain k Allah mjy zindagi ki mushkilat se lrnay ki himat ata frma...

Aik awaz i toh uss ne mur kr daikha...shazia aur usama kharay thay..

Bhabhi....

Uss ne taqreebun cheekhtay howay shazia ko galay lgaya...
Uss k baad woh usama se mili...

Itni jldi bhi dua qabool hoti hai wahh...

Aisay lg rha tha jaisay uss ki zindagi ki sari preshaniyan khatam ho gai hain...

G haan. Frishtay intazar mein hotay hain k koi bnda dua mangay aur hum Allah tuk pohnchayin...aur meri jaan! Mjy toh pehlay hi meray dil ne keh diya tha k meri nund sahiba udas hain..

Shazia ne kha toh woh muskura di...

Mein bht khush naseeb hun jo mjy aap jaisi bhabhi mili...aur iss jaisa bhanja...

Uss ne usama ko pyar kiya toh woh khilkhila diya...

Khush naseeb toh mein bhi hun k mjy ravayiti nund nhi mili..waisay mera dil hai k hum dono mil k nund aur bhabhi pr aik kahani likhain q k hum ne dunia ki ravayiton ko tora jo hai....

Shazia ne hanstay howay kha...

G zaroor.. aur bhai ayay hain??

Khadija ne poocha..

Haan woh abba g k pas gayay hain zameenon mein..mein amma g ko salam kr k yahan aa gai...

Shazia ne kha..

Acha chalain mein aap k liye chayay bnati hun .phir aap se shehar k qissay bhi sunnain hain..

Khadija ne kha toh woh hans di...

Shehar se acha apna gaoon hai khadija..chalo chayay peetay hain.. chalo bhai usama..

Shazia ne usama ko uthay.. aur khadija kuch ulajh gai...

-----------☆☆☆☆

Chayay lai kr woh shazia k kamray mein aa gai...

Chalin btayain kesa ghar hai wahan? Aur phone q nhi kiya aap ne?

Uss ne poocha...usama amma g k pas tha...

waqt hi nhi tha..aur meray pas phone hi nhi hai asim k pas hai woh itni dair se ata hai..

Bhai kitnay ajeeb hain nah..acha btayain nah ghar kesa hai? Parosi kesay hain?

Woh tajasus se boli...

Ghar 2 kamron pr mushtamil hai wahan... aur aik kitchen hai saath drawing room..

Woh bol rhi thi jub khadija ne baat kaati...

Woww... bilkulaisa jaisa mene socha tha...

Haan... aur parosi koi khas nhi aik uncle hain jo naa-beena hain bs un se hi kuch baat ho jati...

Aww..

Khadija ko afsos howa...

Han. Magar mera wahan bilkul dil nhi lga.. raat ko asim ne btaya k aj tumhari mangni hai toh mein bht khush hoi...

Shazia ne kha toh uss ne hairat se ussay daikha..

Mangni??

Khadija aray khadija choudary sahab aa gayay hain tu idhar aa yeh jora istri kr k rkh dai phir khana bna acha sa.... jldi bhi kr...

Amma g ki awaz i toh woh sun hotay dimag k sath uthi aur baahir chali gai....

--------☆☆☆☆

Woh operation theatre se baahir nikla aur gehri sans li..uss ne apni zindagi mein pehli baar barah e rast operation daikha tha...apna mask utarnay k baad woh reception ki taraf brh gya...

Assalam o aliakum umar kesa rha first experience??

Aik doctor uss ki taraf aya...

Sir! It was so horrible.

Uss ne kha toh doctor hans diya...

Mazboot bnna ho ga is k liye toh. Acha yeh lo tumhara phone..

Doctor ne apni jaib se phone nikal mr ussay diya..

Thank you so much Irfan sir! Bs ab toh intazar hai k kub mein khud operation kroon..

Bht jldi In sha Allah. Bs 2 month hi reh gayay hain tumhari house job k..

Sir! Meri aik request hai..

Umar ne jhijiktay howay kha..

Haan kaho...

Mein chahta hun k mein issi hospital mein job kroon.. q k mein ap sub se bht manoos ho gya hun. Aur ab toh yeh hospital bhi ghar jaisa lgta hai...

Woh dono ab chalnay lgay thay...corridor mein se guzartay howay woh bbt sarshari mehsoos kr rha tha...

Daikho umar! Yeh toh ab mjy nhi pta but tum aik application likho. In sha Allah sub thk ho ga..waisay mein bhi tum se bht attach ho gya hun..

Dr.Irfan ne kha...

Hello Dr.Irfan and honay walay Dr. Umar!!

Dr. Aliya ne muskura kr kha toh woh bhi muskuranay lgay...Dr. Aliya k sath aik lrka bhi tha...

Qasim in se milo yeh hain Dr.umar aur umar yeh qasim hai mera cousin... actually raat k dinner pe yeh bhi invite hai toh socha milva dun. Mjy pick krnay aya tha..

Oh acha..nice to meet you qasim..

Umar ne musahafa kiya...

Waisay aliya aap ki bht tareef krti hai..

Qasim ne kha toh umar ne Dr.Irfan ko daikha jo zair-e-lub muskura rhay thay..

G yeh toh in ki meharbani hai..
Uss ne kha..

Aap tareef k qaabil hain tbhi krti hun. Wrna mein hr kisi k baaray mein baat nhi krti..😞

Dr.Aliya ne kha toh woh sirf muskura kr reh gya...
Itnay mein uss ka phone baja toh woh excuse keh kr wahan se ht gya..

Abbu calling likha tha...uss ne phone uthaya...

Assalam o aliakum abbu..

Uss ne apnay hath pr bndhi ghari se time daikha...

Wa aliakum. Putar tu jldi se gaon aa jaa..

Abbu ki awaz i toh woh ghabra gya...

Q abba khariyat toh hai nah??

Haan haan sub khariyat hai. Tu naraz nah hona woh asal mein...mene tery liye choudary akhtar ki dhee ka hath manga tha aaj angoothi pehnanay ki rasm hai tu aa ja..

Uss ko 440 Volt ka jhatka lga...

Kyaaa?????

Abbu yeh kya keh rhay hain aap?? Kya yeh mazak hai?

Nhi mjy kya shoq hai mazak krnay ka.. tu ne khud hi kha tha k meri pasand se shadi karay ga...

Abbu ne kha...toh uss ne sir pakar liya...

Abbu mene yeh zaroor kha tha magar itni jldi.. nhi mein abhi mentally tayar nhi hun aur abhi toh meri house job bhi khatam nhi hoi...

Daikh mjy kuch nhi pta tu jldi se aa jaa din mein wahan khana khana hai..aur tu inkar nhi karay ga. Choudary akhtar ki wajah se hi tu aaj wada doctor hai . Agr woh qarz nah daitay toh tu bhi yahan hul chala rha hota.. apnay mohsan ka toh janwar bhi kehna manta hai aur tuh...

Umar k abbu ne jazbati taqreer kr di...

Acha aap tension nah lain mein aa jaoon ga..

Uss ne phone bund kr diya...

Uff yeh kya nai museebat hai!!

Uss ne socha aur Doctors ki taraf brh diya...

I m sorry Dr.Aliya aaj mjy apnay ghar jana hai.. dinner aap log kr lain. ..

What? Umar mein tumharay bagair dinner nhi kroon gi..

Dr.Aliya ne kha toh woh sharminda sa ho gya...

Thk hai aap log kisi aur din plan kr lain q k mera jana zaroori hai.. Dr. Irfan ko mein call kr dun ga.. mjy chutti chahiyay Dr. Aliya..aap senior doctors se baat krain...

Woh janta tha k aliya uss ki koi baat nhi taal skti..

Okay umar magar yeh last time hai..smjhay??

Gg...

Uss ne kha toh aliya muskura di ..

------------☆☆☆☆

So guyz kesi lgi??



Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top