Episode 2
Woh abba g aur asim ko khana dai kr sehan mein hi kikar k darakht k neechay charpai pr baith gai aur saiyah hotay asman ko daikhnay lgi...
Amma g bhi abba g aur asim k sath baith k khana kha rhi thin...
Oye puttar tu bhi aa ja khana kha lai..
Abba g ne ussay awaz di...
Nai abba g mjy abhi bhook nhi hai aap khayain...
Uss ne kha aur jhaaro ka aik tinka lai kr matti pr lakeerain kheenchnay lgi...
Wahan se uth ja sham ko darakhton k neechay nhi baithtay. Aur yeh kya hr waqt udaas ruh bni rehti hai??
Amma g bhi tokna nhi bhooli thin...
Bhai aap bhabhi ko mut lai kr jayain nah..
Uss ne umeed se asim ko daikha jis k khana khata hath ruk gya..abba ne savaliya nazron se pehlay khadija aur phir asim ko daikha...
Q g kahan lai kr jaa rha hai tu bahoo ko??
Abba g ki karak dar awaz i...asim ne khadija ko ghoora...
Abba g mein shazia ko apnay sath lai kr jaa rha hun bs ab mjh se aur sabar nhi hota..aur abhi filhal hun karayay k makan mein rahain gai phir apna ghar lai lun ga..
Asim ne aahista aahista kha toh abba k chehray k tasurat badlay....
Chup kr ja asim. Aur yeh khaiyal toh dil se nikal hi dai k tu bahoo ko lai jayay ga..mene teri hr baat maani . Tu ne pasand ki shadi ki, tu ne nokri ki mein chup rha magar ab tu bht phit gya hai..gk sun lai meri kaan khol k bahoo kahin nhi jaa rhi ..
Abba g ne kha toh asim hath jhaarta uth gya...
Abba g! Mein toh shazia ko lai kr hi jaon ga. Aap ko jo krna hai kr lain. Ab mein aap pe munhasir nhi krta apna kamata hun apna khata hun aur mein apni zindagi apni mrzi se jeeoon ga...
Asim gussay mein ghar se nikal gya..abba g preshani k alam mein baithay thay..khadija ne tinka phainka aur abba k pas i..
App preshan nah hon abba g! Bhai gussay mein thai iss liye bad-zubani kr di..
Uss ne abba g ko pani ka glass diya...
Abba g ne pani piya aur kamray mein chalay gayay...
Aakhir kya taqleef hai tjy agr woh shazia ko lai jata hai toh??
Amma ne poocha toh woh chup rhi...
-------☆☆☆
Aglay roz woh nashta bna rhi thi jub asim, shazia aur usama ghar mein daakhil howay...abba g ne toh aasim se koi baat hi nah ki...
Poopoo...
Usama totli zuban mein ussay Phupho kehta us ki taraf brha...woh muskura di..magar aglay hi lmhay uss ki muakurahat simit gayi..usama janay wala tha...
Aray bhai utho mein bnati hun nashta..aik toh asim bhi nah itni dair kr di uthnay mein mein keh bhi rhi thi k namaz k baad nikal jatay hain...
Shazia abba aur amma se milnay k bad uss k pas i..
Nhi bhabhi mein kr laiti hun. Aap ka bhi bna dun nashta??
Khadija ne kha...aur tavay pr ghee rkha...
Nhi hum kr k ayay hain..acha khadija mein safai krti hun.
Shazia ne kha toh woh uthi aur shazia k galay lg gai...
Aray lrki kya ho gya??
Shazia ne hairan ho kr poocha..toh woh ronay lgi...
Baaqi sub bhi unhain hi daikh rhay thay...kitchen toh tha nhi. Sehan k aik taraf hi khana pkana hota tha iss liye sub unhain daikh sktay thay...
Bhabhi mein aap se bht pyaar krti hun. Mjy chor k mut jayain.
Khadija ne sisaktay haway kha toh asim utha aur bai-dardi se ussay shazia se alag kiya....
Yeh apnay dramay kahin aur jaa k krna. Ronay baith jaati hai hr waqt..
Asim ne talkhi se kha...
Bhai mein aap sub k bagair nhi reh skti. Khuda k liye aap bhi wapis aa jayain. Hum mil k rhain gai.
Uss ne kha toh shazia ne naa-smjhi se ussay daikha...
Mein kahin nhi jaa rhi tum chup kro meri jaan?
Shazia ne uss ka hath thama...
Pka??
Khadija ne chamakti abkhon ne poocha...
Shazia tu meray sath jaa rhi hai wrna meri taraf se tu faarig hai..
Asim ne hd kr di..shazia kuch dair sktay k aalim mein ussay daikhti rhi..
Abba g ne aik thapar asim k munh pr mara..
Bai-haya. Bai-sharam. Mjy sharam aa rhi hai tjy apni oulaad kehtay howay..
Abba g ne gussay se kanptay howay kha...
Khadija bad-hawas se khari thi..
Toh mut kahain mjy oulaad..aur khadija tu hi fasad ki jr hai. Hamesha teri wajah se abba g mjy danttay hain...
Asim ne apni topon ka rukh khadija ki taraf kiya....
Iss ki waja se nhi teray kartooton ki wajah se tjy daant prti hai...
Asim yeh tum kya keh rhay ho? Kya waqai mjy chor do gai??
Shazia ki halki se awaz i..uss awaz mein kya kuch nhi tha, bai-yaqeeni, hairat, dard, umeed...
Haan...
Asim ne kathor pun ki intaha kr di...
Aray bnd kro yeh jhagra! Asim tu lai ja bahoo aur usama ko... Asim k abba tum smjho nah! Bahoo ka ghar ujar jayay ga...
Amma g ne pehli baar munh khola aur mamla rafa dafa krnay ki koshish ki...
Soch lo tum sub. Mein kamray mein jaa rha hun...
Asim keh kr ander chala gya.. jub k shazia ,abba g aur amma g charpai pr baith gain..koi bol nhi rha tha sub chup thay...khadija ne abba aur amma ko nashta diya...
Mjy nhi khana lai ja issay. Mein zameenon pe jaa rha hun. Khuda Hafiz!
Abba g ne kha aur uth kr chalay gayay...
Mjy bhi nhi khana. Bahoo mein zra supaara prh lun...
Amma g ne kha aur woh bhi uth gain...
Khadija ne num aankhon se shazia ko daikha....
Tum fikar nah kro nashta kro aur hum tum se milnay aatay rhain gai nah..
Shazia ne kha toh woh kuch kahay bina ghar k peechay waseh havaili mein chali gai..yeh havaili bhi Akhtar ki thi aur iss mein aik darakht k neechay peeng bndhi thi jis pe woh baith gai...prindon ki awaz uss k kanon mein goonj rhi thi. Uss ne chiriyon ko daikha jo subha ka ailaan kr rhi thi aur phir aik nazar mashrik se munh nikalay sooraj ko daikha...
Itnay mein uss ki sahaili pari havaili mein daakhil hoi..
Oye khadija kesi hai??
Pari (preeshay) ne aatay sath poocha aur uss k jhoolay k pas aa gai...
Thk hun..
Uss ne afsurdagi se kha..
Kya howa hai teri shakal pe 12 q baj rhay? Aur shazia bhabhi bhi udas thin. Khair toh hai nah??
Pari! Bhai iss baar bhabhi aur usama ko bhi shehar lai jayain gai. Mein bht udas hun. Mein kesat rahoon gi bhabhi aur usama k bagair...
Uss ne kha toh pari ne apnay sir pe hath mara..
Uffoo aik toh tu nah itni choti choti baaton pr preshan ho jati hai..yaad hai tu 2 din soi nhi thi jub asim bhai shehat gayay thay aur ro ro kr bukhar charha liya tha..aur ab bhi tu roni shakal bna k baithi hoi..yrr sub ko jana hota hai..tu q khud ko kamzor bna rhi hai...
Pari hamesha ussay smjhati rehti thi aur bht bahadur bhi thi ..
Tu apni taqreerain bnd kr..bs mera dil krta k mera koi apna mjh se door nah jayay ankhon k samnay rhay..
Uss ne udasi se kha...
Acha meri maan! Tu ro lai jitna rona hai. Phir nehar pr chalain gai..aaj mosam bhi thk hai...
Mjy kahin nhi jana. Tu apnay ghar ja..
Uss ne kha toh pari ne ussay ghoora...
Yeh q tu naaqaam aashiq jaisi shakal bna k baithi hoi. aik baat bta..
Pooch...
Tera irada hai agay prhnay ka. To jub toh shehar jayay gi toh wahan bhi toh hostel mein rehna ho ga nah toh phir tu kesay rhay gi..
Pari ne usss ki preshani mein izaafa kr diya...
Hayeee Allah yeh toh mene socha hi nhi tha.. mein amma g aur abba g k bagair kesay rahoon gi..
Woh ronay wali ho gai...
Teray abba ne tjy bilkul hi darpok bna diya hai..itna laad bhi nhi daina chahiyay baiti ko..chal mein chalti hun ab wrna amma joota lai kr yahan hi aa jayay gi. Jub dil kray meray ghar aa jana..aur ab tu baith k soch k tera prhnay ka sapna zaida wazni hai yah tera apnon se juda honay ka khof..khuda hafiz..
Pari wahan se chali gai aur ussay saanp soongh gya tha....
-------☆☆☆☆☆
To be continued...
So beautiful people! Kesi lgi epi??
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top