Episode 12

Uss ne ghar mein qadam rkha...aur aik nigah chaaron taraf dohrai...yeh aik chota sa 2 kamron ka ghar tha...magar ab ussay prwah nhi thi...asman se zameen pr patkhi gai thi woh...kaash woh umer ko inkaar nah krti magar jo qismat mein hota hai woh ho kr hi rehta hai aur kuch insan ki bai-waqoofiyan ussay marvati hain....

Ayy bahoo! Jadli chal langri hai kya??

Sas ki awaz pr wih sochon se baahir i aur aankhon mein aati nami ko roktay howay aagay brh di...

Waseem toh isaay kamray mein lai jaa...mein zra aram kr lun...aur tehreem tu zra mjy chayay bna kr dai...

G ammi...

Uss ki nund ne jawab diya...

Waseem ussay lai kr kamray mein aa gya..woh aik gandumi rangat ka ooncha aadmi tha..woh palamg pr baith gai...

Daikh khadija..yeh mera ghar hai..aur tu meri bivi ...

Waseem ne ussay daikhtay howay kha...woh roohansi ho kr usaay sun rhi thi....

Meri maan ki baat kabhi nah taslin wrna mjh se bura koi nhi ho ga ...aur aik baat yeh k mjy ronay dhonay wali ourtain bilkul pasand nhi iss liye apnay yeh ansoo saaf kr lai...

Waseem keh rha tha aur woh sun rhi thi..

Chal ab yeh gehnay utar kr kaamon mein lg jaa...

Waseem kehta howa baahir chala gya aur woh sun ho kr baithi rhi....

Phir uss ne apnay gehnay noch noch kr utaar diyay...

(Q kiya aap ne aisa bhai?? Q?? Aakhir mera kya qasoor tha??)

Woh dabi dabi ro rhi thi....
Kaafi dair ronay k baad woh uthi aur kapray badal kr apnay bag pr nazar daali jis mein uss k abba ki tasveer, uss ki matric ki sanad, usama ki ghari, aur sketch book thi....

Uss ne bag forun almari mein rkha...aur baahir aa gai...

Bhabhi! Aap aram mr lain mein aap k liye bhi chayay bna daiti hun...

Sehan mein dooodh ubalti tehreem boli...
Ussay hairat hoi k koi us se itnay aram se bhi baat kr skta hai...

Iss se pehlay k woh koi jawab daiti waseem ki amma bol pri ..

Q yeh koi mahrani hai jo aram kr lai...tu zaida munh nah chala aur chayay bna...

Khadija kuch sharminda si ho gai..aur wahan hi confuse se khari rhi.....

Ab wahan kya khari hai munh bna k utha jhaaroo aur safai kro..aur suno ab tum choudary sahab ki baiti nhi ho....aur nah hi yeh tumhara gaaon hai...toh ab apni ouqaat pr aa jao...

Uss se kha jaa rha tha aur woh behri ho jana chahti thi...

Waseem jaman k darakht se jaman tor rha tha...uss ne aik nigah uss pr daali aur jhaaroo utha liya...

---------------☆☆☆

Woh jub apartment aya toh raat ho chuki thi..uss ka dil ajeeb sa ho rha tha...ajeeb se bai-chaini thi, maahol habs zda tha...woh bed pr lait gya...abhi ussay laitay howay kuch lmhay hi howay thay k uss ka phone buj utha...uss ne daikha mithoo k abba ka no tha..uss ne forun utha liya...

Hello mithooo khadija kesi hai??

Uss ne poocha...

Bhai! Un ki zabardasti shadi krwa di gai hai woh yeh gaon chor kr chali gai hain....

Uss k kaano mein bum phora gya.....

Kya????

Ussay lga k woh kisi buray khawab mein hai.....

G bhai!

Tum hosh mein toh ho??

Woh achanak bed se utha aur gussay se chilaya....

Mjy bhi nhi pta tha...un k bhai ne sub se chupa kr rkha tha....

What the hell!!

Uss ne phone bund kr diya...

Aur sir tham kr baith gya....
(Khadija! Mjy maaf kr do mein tumhari hifazat nhi kr paya...i m sorry)
Uss ne apni num hoti ankhon ko poonjha....

-----------☆☆☆

Woh poori raat so nhi ska...baichaini se kamray mein chakar lgata rha....

Dil e umeed tora hai kisi ne...
Apni kahani kesay kahain gai...
Apni khani...
Yaar ki yaad mein jaltay rhain gai...
Naa manzil hai...
Naa manzil ka nishaan hai...
Kahan pe laa ke chora hai kisi ne...
Dil e umeed tora hai kisi ne...
Mein un sheesha garon se poochta hun...
K toota dil bhi jora hai kisi ne...
Dil e umeed tora hai kisi ne...
Chaman mein baa-khuda shabnum nhi hai...
Yahan daman nachora hai kisi ne...
Dil e umeed tora hai kisi ne...
Sahara de k chora hai kisi ne...

Pta nhi q woh khud ko qaaboo nhi kr paa rha tha..ganay ki awaz uss k lahoo mein utar rhi thi...
( i love u soo much khadija..mjy nhi pta tumhara chehra kaisa hai?? Magar mjy tum se bht mohabbat hai..mein tumharay bina kesay rahoon ga?? Kaash mein tumhari baat nah sunta..tumhain kon smbhaalay ga...asim ko toh mein maaf nhi kroon ga...uss ne tumhari zindagi ko khalona smjh liya hai... )

Woh smjh nhi paa rha tha k ab ussay kya krna hai...

( Mjy kahan chor kr chali gai ho yrr.. mein ab bht aagay brh chuka hun peechay nhi ho skta... mein kya karoon)

Uss ne dressing table pr hath maar kr saray perfumes neechay gira diyay.....
Dil tha k chain hi nhi lai rha tha....

Phone ki ring tone pr woh bed ki taraf brha aur phone uthaya....

Hello...

Okay sir mein aata hun!!

Dr.Irfan ka phone tha woh bula rhay thay...
Fresh ho mr woh hospital chala gya...

------------☆☆☆☆

Woh hospital ka aik kamra tha jahan woh Dr.Irfan ko apnay dil ka haal suna rha tha....

Umer! Tum khud ho smbhalo aur uss k liye dua kro k woh khush rhay...

Dr.Irfan ne uss k kandhay pr hath rkh kr kha tha...

Sir! Mein ussay aik baar daikhna chahta tha..aik baar milna chahta tha...

Uss ne kha...

Issay Allah ki mrzi smjh kr sabar kr lo umer! Agr Allah ki mrzi hoi toh tum ussay zaroor daikh lo gai...

Dr.Irfan keh kr rukay nhi...woh sabar k ghoont pe kr reh gya tha...

-----------☆☆☆☆

Aahista aahiata umer ko sabar aa hi gya..aur ALLAH jub azmayish daita hai toh sabar bhi dai hi daita hai....
dhai saal ho gya tha khadija ki shaadi ko...aur woh uss ghar mein roz jeeti thi roz mrti thi..uss ka chehra daikh kr lgta nhi tha k woh choudary sahab ki khadija hai...aur ab toh uss ne bhi rona chor diya tha...sach hai insan ko jo cheez zaida azeez hoti hai..Allah ussay ussi se azmata hai..khadija ko rishtay bht azeez thay aur uss se wohi chin gayay...

Aaj bhi woh kapray dhonay k baad handi pka rhi thi jub waseem cheekhta howa kamray se baahir aya...

Tu ne meray kapray q nhi istri kiyay..mene kitni baar kha hai k mjy itni laa-prvayiian bilkul pasamd nhi...

Waseem ne ussay choti se pakar liya tha aur woh dard zabt krnay ki koshish kr rhi thi...

Woh amma ne chayay ka keh diya tha phir mein kapray dhonay lgi toh yaad nhi rha...

Uss ne halki se awaz mein kha...

Acha?? Tjy meray kaam hi bhoolnay hotay hain?? Kbhi roti khana bhooli hai?? 2 minute k ander ander kapray istri kr k dai wrna pankhay k sath latqa dun ga...

Waseem ussay thokar maartay howay baahir chala gya jub k woh aik taraf pri hoi thi, kisi bai-jaan cheez ki trha...woh iss waqt sirf Allah ko yaad kr rhi thi....

Allah...
Allah...
Allah...

Woh aahishta aahista Allah ka naam lai rhi thi...

Uth bhi jaa ab phir maar khanay ka irada hai??

Waseem ki maan ne kha toh woh uthi aur kamray mein chali gai...

Allah...
Allah...
Allah...
Allah...

Kapray istari krtay howay bhi woh Allah ka naam ka wird krti rhi aur phir woh aahista aahista pur-sakoon ho gai...yeh tareeka uss ne dhai saal pehlay hi seekh liya tha...bht muskhil waqt mein bhi woh Allah ka naam laiti toh rouh pur-sakoon ho jaati....
Kapray waseem ko dainay k baad uss ne almari kholi aur bag se sketch book nikal kr zameen pr hi baith gai q k waseem ussay palamg pr bairhnay nhi daita tha, woh zameen pr hi soti thi...

Woh na-mukamal sketch khol kr uss pr hath phairnay lgi....

Nabi kareem (PBUH) ne frmaya:-Allah jub kisi k sath bhalai ka irada krta hai toh uss ko jald hi dunia mein taqleef dai daita hai aur jub Allah kisi k sath shur ka irada krta hai uss k gunnah rokay rkhta hai aur qayamat mein uss ka badla daita hai..

Uss k kaano se umer ki awaz takra rhi thi...aik ansoo umer k honton pr girra aur jazb ho gya...

Khadija Allah se sabar mango...woh hi sub ko dainay wala hai...woh q azmata hai? Bs yeh daikhnay k liye k kon uss azmayish mein se sabar krta howa guzar jata hai aur kon aansoo bahata rehta hai..darasal yeh test hi toh hai kamzor iman walon ka aur mazboot imaan waalon ka ab yeh decide toh hum logon ko krna hai nah k hamara iman kesa hai.?

Umer uss k aas pas hi rehta tha...woh uss se bht baatain krti thi..

(Umer! Mene apnay imaan ko bilkul kamzor nhi prnay diya...mene toh Quran ki tafseeer bhi prhni shuruh kr di hai... mjy sakoon mil jata hai Allah se baatain kr k Allah kaa naam lai ke..mjy nhi pta k mein aap se kbhi mil bhi paaoon gi yah nhi...magar meray dil mein aik khawahish hai k mein aap se miloon aur aap ka shukriya ada kroon...)

Woh uss k sketch ko choomtay howay boli...

(Pta hai umer! Mene apni zindagi se samjhota kr liya hai..ab meri zindagi ka sirf aik hi maqsad hai k mein uss paigaam ko smjh sakoon jo Allah ne Nabi Pak ( PBUH) k zariyay hum tuk pohanchaya...umer! Pehlay mjy lgta tha k mjy matric se agay prhna chahiyay magar ab ehsas hota hai k mene kufran e naimat kr k kitna bra gunnah kiya hai laikin khush naseen hun jo issi dunia mein sza mil rhi hai)

Ab woh muskura kr sketch book bund kr rhi thi...

( oho kapray dho rhi thi mein...chalain aap se baad mein dhair saari baatain kroon gi pehlay kaam kr lun)

Uss ne bag bunf kr k almari mein rkha..

Uss ki nund tehreem ki shadi ho gai thi jub tuk woh thi khadija ki taraf-daari kr laiti magar uss k janay k baad toh woh bilkul hi akaili ho gai thi ...kbhi kbhi ussay apnay gaaon ki, apnay jhoolay ki, nehar ki, abba g ki, nana jaan ki aur bhabhi aur usama ki yaad stanay lgti toh woh takiyay mein munh chupa kr apnay ansoo takiyay k havalay kr daiti q k waseem ko ronay wali lrkiyan bilkul pasand nhi thin....

Woh ab kapray dho rhi thi...

Jldi hath chala lai handi kub bnayay gi??

Waseem ki amma ki awaz uss k kaano mein pr rhi thi woh muskura kr kapray dhoti rhi... ( jub azmayish sehni hi hai toh hans k hi sahi)

-------☆☆☆☆

Aaj waseem aur amma kisi ki shadi mein gayay howay thay....
Woh sub kaam nipta kr sehan mein hi charpai pr baith gai...aisa pehli baar howa tha k woh ghar mein akaili thi...
Uss ne jhaaroo ka aik tinka liya aur zameen pr lakeerain kheenchnay lgi...yeh uss ka pasandeeda kaam tha...

Oye puttar tu bhi aa ja khana kha lai..

Ussay abba g ki awaz apnay bht qareeb sunai di...

Abba g!!

Uss ne kha..woh uss k samnay thay, muskuratay howay...

Meri dhee rani q udas hai??

Abba g ki awaz i toh woh uthi aur un ko bai-yaqeeni se daikhnay lgi...

Abba g!!

Woh zor zor se ro di...

g meri jan!

Abba aap kahan chalay gayay hain mjy chor kr...daikhain aap ki shehzadi k sath kya ho rha hai...

Woh ro rhi thi...bht arsay baad yun roi thi....

Tu roti hai nah toh mjy taqleef hoti hai khadija tu mut roya kr..

Acha ab mein bilkul nhi royon gi abba g...

Uss ne bachon ki trha forun ansoo saaf kiyay....

Shabash...

Abba g ne kha toh woh muskura di...

Itnay mein hawa se aik brtan gira uss ne achanak peechay mur kr daikha..phir samnay daikha toh abba g nhi thay...uss ne idhar udhar daikha...

Abba g...abba g...

Woh paglon ki yrha un ko talashnay lgi phir thuk k charpai pr baith gai...
Aur phir se tinka utha liya....

Naa mera khuda koi aur hai...
Naa...te..tera khuda..koi..aur hai...

Uss ne bheegi awaz mein gana shuruh kiya....

Naa..tera..khuda koi aur....haii...
Naa mera...khud..a koi aur ...hai..

Yeh jo raaa..raastay hain juda juda...
Yeh maamla...koi...aur..hai...

Uss ne mati pr abba g aur umer likh diya...

Itnay mein drwazay se waseem aur amma ander daakhil hoin ...

☆☆☆☆☆☆☆☆

Kesi lgi epi??

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top