Episode 11
Woh jub apnay ghar k samnay tangay se utra toh uss ne apni jaib se paisay nikal kr tangay walay ki taraf brhayay..laikin taangay walay ne sir nafi mein hila diya...
Jao Umer bhai jaoo ...
Kaisay yrr yeh lo paisay yeh tumhara huq hai...
Umer ne hairat se ussay daikha...
Ab hamain hamaray huq kahan milain gai umer bhai, hamain huq dainay walay ko toh Allah ne bula liya..
Woh tangay wala hud darja afsurdagi se bola...
Toh umer ne uss k kandhay pr hath rkha aur ghar mein daakhil ho gya...
Hamesha uss ki amad pr pooray ghar mein halchal mach jaati thi, sub uss ko josh o kharosh se miltay thay laikin aaj aisa nah howa...sub chup kr k aik jagah baithay howay thay..aur aik doosray k chehron pr kuch talshnay ki koshish kr rhay thay...yahan tuk k ghar k bachay bhi sehmay baithay thay....
Assalam o aliakum!
Uss ne salam kiya...
Wa aliakum aslam! Jao zainab bhai ko paani do..
Chachi ne apni bri baiti ko kha...
Umer puttar choudary sahab chalay gayay...
Abbu uss k galay lg kr ro diyay..
Abbu hosla rkhain...
Woh sirf itna hi keh ska...
Hum ne un k sath bht zayadti ki hai umer! Un k bagair hum kya thay umer??? Rul rhay thay unhon ne hamaray liya itna kuch kiya aur badlay mein hum ne kya kiya? Un ki baiti ko thukra diya...mjy bht pachtawa hai...
Abbu ne kha toh umer k chehray pr zakhmi se muskurahat aa gai...
(Pachta toh mein bhi rha hun abbu uss baiwaqoof ki baaton mein aa kr mene choudary sahab ko kitni taqleef di)
Abbu! Mjy un ki qabar pr lai jayain..
Uss ne kha aur aadhay ghntay baad woh qabar pr fatiha prh rha tha....
---------☆☆☆
Woh kamray mein bund ho gai thi...shazia aur amma ne ussay bht smjhaya magar woh apnay palamg se hili tuk nai aur naah hi darwaza khola....
Chota sa usama poopoo ki sadaiyain lga kr thuk gya tha magar woh un baithi ghut ghut kr roti rhi...
(Naa koi nishani nah koi ishara kaisay chalay gayay aap abba?? )
Woh apnay ansoon ko rok nhi paa rhi thi...
Haan g toh kya haal hai meri sahabzadi ka??
Ussay abba g ki awaz sunai dai rhi thi...
(Aik aap hi toh thay jin se mein dil ki baat kr laiti thi jo meri ankhon se smjh jatay thay k mjy kya masla hai..ab kon sunay ga meri abbaa q chalay gayay)
Woh apna chehra hathaliyon mein chupa kr ronay lgi.....
------------☆☆☆☆
Qabatistan se anay k baad woh mithoo k ghar gya...un k ghar ka maahol bhi uss k ghar se mukhtalif nah tha...
Mithoo apni thori ko hath pr tikayay khula ko ghoor rha tha..woh 15 saal ka bacha tha.
Mithoo!
Umer ki awaz pr woh umer ko daikhnay lga..
Umer bhai!
Han idhar aao meri baat suno....
Woh utha aur umer k pas gya...
Tumhari khadija baji kesi hain??
Umer ne poocha...
Woh bilkul thk nhi hain bhai! Woh bht ro rhi thin aur ab toh unhon ne khud ko kamray mein bund kr liya hai...
Umer ne thook nigla...
Tum jao nah ussay kaho k drwaza kholay aur mjy pta hai uss ne khana bhi nhi khaya ho ga ussay khana bhi khila kr aoo..jaoo shabash...
Umer ne kha toh mithoo ne nafi mein sir hila diya....
Woh drwaza nhi kholain gi..unhon ne usama k kehnay pr bhi nhi khola...
Woh kholay gi zaroor tum jao toh sahi..ussay kehna k aap ne hi kha tha nah k baimari aur azmayish gunnah jharnay k liye aati hai aur woh toh khush naseeb hotay hain jin ko Allah azmayish daita hai...
Yaah tum aik kaam kro apnay abba ka mobile lai jao. Mein phone kroon ga meri uss se baat krwa daina...
Umer ne kha....
Aap khud chalay jayain un se milnay...
Nhi jaa skta majboori hai tum jaa rhay ho yah...
Acha acha jaa rha hun...rukain mein mobile lai aaon...
----------☆☆☆
Woh ghutno mein munh diyay ro rhi thi jub drwaza baja aur sath hi mithoo ki awaz i...
Khadija baji drwaza kholain....
Uss ne koi jawab nah diya....
Baji aap ne hi kha tha nah k baimari aur azmayish gunnah jharnay k liye aati hai aur woh toh khush naseeb hotay hain jin ko Allah azmayish daita hai...aap toh bht khush naseeb hain...
Uss ne mithoo k munh se sunna aur kuch lmhay drwazay ko ghoorti rhi phir uth kr drwaza khol diya...samnay afsurda sa mithoo khara tha...
Baji yahan baithain aap! Daikhain jo howa woh Allah ki mrzi se howa....
Mithoo ne kha toh woh palamg pr baith gai mithoo bhi sath hi baith gya...
Han mithoo mein janti hun magar mjy sabar nhi aa rha...
Aik minute...yeh koi aap se baat krna chahta hai..
Mithoo ne call attend kr k phone uss ki taraf brhaya...toh uss ne kaan se lga liya...
Nabi kareem (PBUH) ne frmaya:-Allah jub kisi k sath bhalai ka irada krta hai toh uss ko jald hi dunia mein taqleef dai daita hai aur jub Allah kisi k sath shur ka irada krta hai uss k gunnah rokay rkhta hai aur qayamat mein uss ka badla daita hai..
Dil mein utar janay wali awaz ussay sunai di...woh rona bhool gai...
Hadees hai:- Bari jaza bari azmayish k sath hai aur baishak Allah kisi qom se mohabbat krta hai toh un ko azmayish mein daal daita hai aur jo raazi ho gya toh uss ko bhi raza milti hai aur jo naraaz howa Allah se toh Allah ki uss pr narazgi aati hai...
Doosri jaanib se wohi pur-kashiah awaz aa rhi thi...
Mein Allah se naraaz nhi hun...
Uss ne tarap kr kha...
Khadija Allah se sabar mango...woh hi sub ko dainay wala hai...woh q azmata hai? Bs yeh daikhnay k liye k kon uss azmayish mein se sabar krta howa guzar jata hai aur kon aansoo bahata rehta hai..darasal yeh test hi toh hai kamzor iman walon ka aur mazboot imaan waalon ka ab yeh decide toh hum logon ko krna hai nah k hamara iman kesa hai.?
Doosti taraf wala shaid kavay kha kr aya tha khamosh hi nhi ho rha tha...
Nhi mera imaan kamzor nhi hai ...
Uss ne ansoo saaf kiyay...
Mithoo yeh kon hai ??
Uss ne mithoo se poocha....
Woh nhi btayay ga k mein kon hun magar mein..
Aap umer hain nah??
Khadija ne poocha toh doosri taraf chund lmhon ki khamoshi chah gai....phir awaz i...
Han khadija mein umer hun...tum mjh se wada kro k ab kamzor nhi pro gi ...
Doosri taraf se bht dhoons aur pyar se wada manga jaa rha tha...woh bhala apni mohabbat k waday ka kesay inkar kr skti thi....
Pka wada umer!
Uss ne kha...
Very good aur ab khana kha lo...
Mjy bhook nhi hai..
Unnhun! Bhook hai yah nhi hai kha lo...
Roub-daar awaz i...
Acha..
Chalo thk hai apna khaiyal rkhna Allah hafiz...
Phone bund ho gya woh kuch dair bai-yaqeeni se phone ko daikhti rhi....
-------------☆☆☆
Umer mithoo ko uss ka khaiyal rkhnay ka keh kr wapis chala gya..khadija ko bhi sabar aa gya tha...
Aik mahina aisay hi guzar gya...ghar mein ajeeb se chup thi.. asim abhi tuk wapis nhi gya tha...
Woh brtan dho rhi thi jub asim ne ussay bulaya..sub baramday mein thay..woh bhi wahan chali gai...
Khadija mene aik faisla kiya hai..
Asim ne kha...
Kaisa faisla??
Uss ne drtay drtay poocha...
Sath walay gaon mein mera aik pura baili (dost) hai uss se teri shadi kra dun ..
Uss k kanon mein bum phora gya...
Aur issi haftay tjy rukhsat kr dun q k abba ki aadhi zaminain toh mene baich di hain baaki bhi aik 2 hafton tuk bik jayain gi toh mene shehar mein aik ghar kharida hai amma ko bhi sath lai jaoon ga...
Asim ne kha toh woh uss k paaon mein gir gai...
Bhai mjy bhi sath lai jayain khuda k liye ...mein aik konay mein pri rahoon gi ..ghar k saray kaam bhi kr dun gi magar mein aap sub k bagair nhi reh skti..
Uss ne rotay howay kha magar asim chund qadam peechay ho gya....
Daikh khadija mein tera bojh kandhon se utaar kr aagay brhna chahta hun...aur waisay bhi mein tjh se pooch nhi rha tjy bta rha hun...toh aglay jumay ko tyar rahin tera nikaah hai..smjhi??
Woh bol rha tha aur khadija zameen pr baithi thi...
Bhai plz aisa mut karain mein mur jaoon gi...amma aap hi kuch smjhayain nah bhai ko yeh aisa q kr rhay hain??
Woh uth kr amma k pas i...
Tu ne shadi toh krni hi hai nah toh aaj kr lai bhai hai tera..tera bhala hi soch ho ga nah...
Aaj tuk kon sa bhala socha hai inhon ne mera amma??? Mein yeh shadi nhi kroon gi i smjh aap sub ko??
Uss ne chilla kr kha...
Kya kha tu ne shadi nhi karay gi??
Asim ne ussay aoni taraf kheench kr aik zanatay-daar thapar ussay mara..woh shashud se reh gai...
Kya kr rhay ho asim? Bachi hai q maar rhay ho??
Shazia aagay brhi ....
Magar asim ne ussay bhi ghaseet kr peechay kr diya..
Agr tu ne iss ka sath diya toh phir tu apni amma k ghar hi jayay gi...aur tu khadija...kaan khol kr sun lai teri shadi waseem se hi ho gi bs!!!!
Asim ne kha...
mein yeh shadi nhi kroon gi ....
Jub zulm hd se brh jata hai tu goongay bhi bolnay lgtay hain....
Tehr mein tjy btata hun...
Adim ne ussay dhaka diya toh woh larkharati hoi gir gai..uss ka sir charpai se lga aur khoon rasnay lga...asim baahir nikal gya jub k amma wahan baith gain...usama sehma sa khara tha aur shazia uss ki taraf brhi ....
Pagal ho gya hai yeh toh...khadija tum rona bund kro..
Shazia uss ki taraf brhi magar uss ne hath k isharay se rok diya....
Jub badshah mur jata hai toh shehzadiyon k sath yehi salook hota hai....
Woh uthi aur amma pr aik nazar daal kr un k pas i ..
Q k malkayain kbhi bhi shehzadiyon ko nhi paal sktin..
Amma ko kehtay howay woh kamray mein chali gai...
---------------☆☆☆
Uff oo Dr.Umer aap yahan hain mene aap ko kha tha nah k aaj aap ko meray dad se milna hai...
Woh staff room mein baitha khadija k baray mein soch rha tha jub Aliya i...
Mein nhi milna chahta...
Kya kha aap ne??
Aliya ne bai-yaqeeni se umer ko daikha....
Wohi jo aap ne sunna mein aap ka puppet nhi hun jo aap mjh pr apni mrzi chalayain....aur ab mein permanent ho chuka hun so aap mera kuch ngi bigar sktin..so now u can leave...
Woh gussay se kehta uth gya...
Mein daikh lun gi tumhain...choroon gi nhi...
Aliya keh kr chi gai..woh sir jhatak kr reh gya....
---------☆☆☆☆
Aaj juma tha aur shazia ne ussay tyar kr diya tha..shazia chali gai toh woh khud ko ayinay mein daikhnay lgi....
(Allah g mene iss azmayiah ko qabool kr liya hai ab tu hi meri madad krna)
Itnay mein asim ander aya...
Jldi kr ....aa ja baahir!!
Asim keh kr janay lga jub uss ne asim ka baazoo pkra...
Asim ne mur kr ussay daikha....
Bhai kya mein khud pr aap k ghar k drwazay bund smjhoon?? Kya aaj k baad mein aap se apna rishta khatam smjhoon??
Uss ki ankhon mein kya kuch nhi tha...woh surkh motiyon walay joray mein bht khoob-soorat lg rhi thi magar.....
Asim ne apna baazoo uss ki garift se churaya...
Mjy apna jawab mil gya bhai shukriya...
Khadija zakhmi sa muskura kr bahir nikal gai...
Kuch dair baad woh khadija akhtar se khadija waseem bn gai thi...rukhsati k waqt woh nah amma k galay lgi thi nah asim k bs uss ne usama ko utha kr pyar kiya tha aur shazia k galay lg kr ro di thi....
Bhabhi mjy aap bht yaad ayain gi...
Woh boli....
Mjy bhi tum bht yaad ao gi...kaash abba g itni jlti nah jatay...
Shazia ne kha toh uss ne shazia k kandhay pr hath rkh kr ussay dilasa diya aur waseem k humra bahir nikal gai...uss ki bai-aitnai ko asim aur amma ne shidat se mehsoos kiya tha....
Waseem ki sirf aik behn thi aur aik maan thi ...jub woh tangay pr baithnay lgi..toh uss ki sas ne kha...
Apni maan aur bhai se toh mil laitin??
Mera koi bhai nhi aur nah hi koi maan hai ..aap aik yateem maskeen lrki ko lai kr jaa rhay hain....
Uss ne bai-tasur chehray se kha.
Abhi woh thori door hi pohanchay thay k peechay se mithoo ki awaz i ..
Khadija baji kahan jaa rhi hain aap??khadija baji. .
Uss ki awaz pr tanga ruk gya..mithoo phoolay howay sans se uss k pas aya....
Aap ne shadi kr li baji??
Mithoo hairat zda tha..
Meri shadi krwa di gai mithoo...apna bht daihaan rkhna..mein shayid ab iss gaoon mein kbhi nah aa skoon aur shayid tum se kbhi nah mil sakoon...tum bs meray liyay dua krna ..
Woh ahishta awaz mein bol rhi thi...
Aur umer bhai ??
Mithoo ne poocha toh woh muskura di...
Un ka sketch meray pas hai daikho iss bag mein. mein un se baatain kiya kroon gi...ho skta hai zindagi k kisi mukaam pr yeh sketch mukamal ho jayay...
Baji aap bht achi hain phir aap k sath itna bura q howa??
Mithoo bht preshan tha...
Oye bibi bs kro khusar phusar dair ho rhi hai....
Khadija ki sas ki awaz i toh uss ne mithoo ko janay k liye keh diya....
Gaaon se nikalnay k baad uss ki ankhon mein ansoo aa gayay...nehar aur aoni peeng bht yaad anay lgi thi...
(Abba g aap k janay k baad mein bht akaiki ho gai hun..apno k hotay howay bhi mein iss dunia mein bilkul akaili hun..)
Uss ne shidat e gum se ankhain bund kr lin....
-----------☆☆☆☆
Assalam o aliakum friends!
Sorry mene aik epi urdu mein likhi phir se roman mein...q k kuch readers urdu nhi jantay toh un k liye problem ho rhi thi..i will upload my new novel in urdu In sha Allah...
Comments mein batayiyay ga k kesi lgi epi??
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top