Last episode (40)
Amna:-
Mene apni zindagi se seekha hai k aap ka best friend aap ka Allah hai...mera maana yeh hai k insan ki zindagi mein jo kuch bhi hota hai woh insan ki behtri k liye hota hai..zunaira ne hum sub k liye bht bri qurbani di aur aaj kai saalon baad bhi woh hamaray dilon mein zinda hai....ussay bhulaya nhi jaa skta.. mein apnay rub ki bht shukr guzaar hun jo uss ne mjy haider jaisay saathi se nawaza...baishak woh jo krta hai best krta hai❤❤
Haider:-
Mein haider wahaj aaj sachay dil se qabool krta hun k meri zindagi mein sub se khaas meri bv amna hai...mene uss ki behn ka qatal kiya magar woh meray sath khari rhi...mene apni zindagi se aik cheez seekhi hai k insan ko kbhi bhi ehsas e kamtri aur khud tarsi ka shikar nhi hona chahiyay...aap k pas jo hai acha hai....bht say logon k pas woh bhi nhi hota...mene apni bht se zindagi ehsas e kamtri mein guzaar di ...agr amna nah hoti toh shyd mein aaj bhi waisa hi hota laikin Allah ne ussay meri qismat mein likha....mein bht lucky hun...mein zoni k liye roz Allah se dua krta hun k mjy maaf kr dai...ho skta hai k woh mjy maaf kr dai...❤❤
Hammad:-
Mein hammad aziz...mein bht khush hun k meri shadi zara jaisi lrki se hoi jo mjy smjhti hai...mjh se pyar krti hai....mene apni zindagi ka aik nachor nikala hai k insan ko apna maazi bhulanay ki koshish krni chahiyay ...aik insan ki yaadon mein reh kr baaqi logon ko preshan nhi krna chahiyay...zunaira mjy chor k chali gai...laikin zara mjy mili ...mene janat mein zunaira k sath ki dua ki thi ...ab mein dua krta hun k mjy zara bhi milay...q k mein uss k bagair ab kuch bhi nhi hun...kbhi apni zindagi pr nazar daalon toh ehsas hota hai k mene kya khoya hai aur kya paya hai...aur jo paya hai woh khoyay howay se kisi tor bhi kum nhi...❤❤
Zara:-
Mera dil chahta hai k dunia ko cheekh cheekh k bta dun k mene apni zindagi paa li hai...mene jeena seekh liya hai....meri khawahish hai k apnay bhai se kbhi miloon aur uss ko btaoon k mein kitni khush hun...meri jaan hr waqt haya aur hammad mein akti rehti hai....mene aik cheez seekhi hai apni life se k rishton k beech kbhi bhi ana ko nhi anay daina chahiyay q k yeh rishton ko deemak kj trha chaat daiti hai....mene bht compromise kiya aur issi liye toh Allah ne mjy hammad dai diya...mera hammad..❤❤
Iram:-
My motivational speaker amna and my husband hamza! Aaj mein jo kuch nhi hun sirf aap dono ki waja se....mein mayoos ho gai thi laikin mjy amna bajo ne yeh sikhaya hai k yeh dunia toh faani hai...iss mein aap ko jo bhi taqleef ho woh bhi faani hai....aur Allah aap ko kbhi akaila nhi chorta...Allah is always here for us...❤❤
Asfand:-
Kuch hai hi nhi kehnay ko...bs itna hi kahoon ga k mjy ab smjh i hai k rishtay kya hotay hain....eshal se shadi jis soorat e haal mein hoi kis ko pta tha k woh meri zindagi bn jayay gi...bs issi ko Allah k faislay kehtay hain....love u eshal meri baiwaqoof😍😍😘..love u afaan❤❤
Eshal:-
Mene apni zindagi se seekha hai k rishton mein sub se khaas cheez aitbaar hota hai...yeh bad-gumaniyan rishton ki dori ko tor daiti hain...mene zunaira baji pe aitbaar nhi kiya tha...mein aaj bhi kbhi kbhi ro prti hun un ko soch k..laikin i know Allah mjy maaf kr dai ga...❤ aur aik aur baat log kehtay hain k hr ilm walay k ooper aik aur ilm wala hota hai...gr dheeth k ooper aik aur dheeth hota hai aur mein kehti hun hr krvay karailay k ooper aik aur krwa karaila hota hai......meray dono karailon ( asfand aur afaan) mein meri jaan hai...Allah dono ko salamat rkhay .ameen❤❤
--------------------☆☆☆☆☆
So guyz!! Finally novel end ho gya...aik aur safar ikhtatam ko pohancha....tamam readers ka bht bht thanks mjy motivate krnay k liye aur itnay dhair saray comments k liye...mjy bht rona aa rha hai iss novel ko end krtay howay....i will really miss asfand and eshal❤ and amna haider and all characters 😍
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top