Episode 38
Drwaza khula aur koi ander daakhil howa tha....
Agla lmha qayamut tha..... waqt jaisay ruk hi gya..sub ki saansain ruk gai thin...sub aik sath kharay howay thay aur amna k hath se chayay ki pyali choot kr zameen bos ho gai.....
Samnay khara shakhs bhi kuch aisi hi kafiyat se guzar rha tha...
Taveel khamoshi chaa gai...hr koi hairan preshan tha...aakhir sub se pehlay asfand ko hosh i...
Tumm?????
Ajeeb lehja tha.....
Samnay khara shakhs aagay brha....aik nazar amna pr daali jo hairat se ussay daikh rhi thi aur ansoo nikal rhay thay....
Han...mein haider.....
Uss shakhs ne kha....
Tu....tum toh....tumhain toh phansi...nhi ho gai thi??
Hammad ne ataktay howay poocha....
Amna lrkhara kr sofa pr girri thi....
Mein sub btata hun....
Haider ne kha aur sub ko daikha...hr koi khamosh hairan o preshan khara tha....sub ko jaisay saanp soongh gya tha.....
(past:-
Haider ko phaansi k liye lai kr jaa rhay thay....woh aahista aahista chal rha tha....aaj uss ne iss dunia se chalay jana tha...shyd yehi uss k gunaahon ki saza thi....laikin qismut ko kuch aur hi manzoor tha. Police ussay thanay k pichlay gate se lai kr baahir aa gai...woh hairan howa...
Yahan q layay hain mjy??
Uss ne poocha toh police k aik officer ne saamnay ishara kr diya....haider ne daikha wahan wahaj sahab gari mein baithay ussay apni taraf anay ka ishara kr rhay thay....
Woh un k pas gya...
Baba! Aaj aap apnay iss gunahh gaar baitay se aakhri baar mil lain aur agr ho skay toh issay maaf bhi kr dain....
Haider ne kha...
Gaari mein baitho haider....
Wahaj sahab ne huqam diya....
Mein kesay baithoon baba mjy phaansi honay wali hai....
Tum baitho mein keh rha hun nah....tumhari bail krwa li hai....
Wahaj sahab ne kha toh haider ne bai-yaqeeni se unhain daikha....
Aap ko kya ho gya hai?? Court ne mjy khud sza sunai hai...ab kon se bail?
Woh pagal honay wala tha.....
Meri baat ho gai hai judge se...bs tum baitho wrna mein khud ko khatam kr lun ga.....
Kesi baatain kr rhay hain baba....mein nhi aa skta..
Haider ne kha...toh wahaj sahab ne isharay se police ko bulaya....
Q bhai iss ki phansi ho gi yah nhi??
Wahaj sahab ne poocha....
Nhi ho gi q k in ki jaga doosray bnday ko ho gi....judge k kehnay pr.....
Police officer ne kha....
Kyaa??? Meri jaga koi aur?? Aap ka dimag toh kharab nhi ho gya kisi bai-gunnah ko phansi charhayain gai??
Woh cheekha tha...
Woh bai-gunnah nhi hai...bhai ko qatal kiya hai uss ne...uss ki phansi bhi aaj hi honi thi toh ab 9 baje uas ki ho gi...
Police officer ne kha aur wahan se chala gya...
Aur dimag hamara nhi tumhara kharab tha jo apni dost ko maar diya...mein toh sirf tumhain bachanay ki koshish kr rha hun....
Aur yeh woh taana tha jo uss k jism mein zehar trha apna asar chor jaata tha....
Laikin mein....
Ander baitho haider ....
Wahaj sahab ne kha toh woh gaari mein baith gya.....
Wahaj sahab ussay ghar lai aayay thay...sameena baigam usay daikh k bht roi thin.. aik haftay baad wahaj sahab ne ussay London bhaij diya....aur phir aik saal baad khud bhi wahan hi shift ho gayay....
Yeh arsa haider ne kis trha guzaara tha yeh sirf wohi jaanta tha..din raat pachtaway ki aag mein jalta rha tha .... uss ne glti pe glti ki thi...ussay wahaj sahab ki baat maani hi nhi chahiyay thi...shyd mot k baad hi sakoon mil jata...laikin aisa bhi nhi ho skta tha..q k jub tuk bnday maaf nhi krtay Allah bhi maaf nhi krta....aur shyd Allah ne ussay thori se mohlat di thi k sub se maafi maang lai...thori se mohlat!!
London mein wahaj sahab ne aik hospital bnwaya tha jis mein haider kaam krta aur woh kaafi taraki kr rha tha magar dil bai-chain tha....
Baba mene bhaag kr acha nhi kiya...
Aik raat uss ne wahaj sahab se kha tha....
Tum bhagay nhi thay...judge ki ijazat pe ayay thay...mene uss se paper sign krwaya tha....
Aik hi baat hai baba....
Aur woh tung aa kr chup ho jata...
Aur phir 3 saalon baad woh mentally bht behtur ho gya tha...tub achanak uss k khawab mein roti hoi amna i thi....woh tarap gya tha....ussay amna se mohabbat ho gai thi ywh woh pehlay se janta tha...laikin itni shadeed yeh woh ab jana tha....phir uss se sabar nah howa aur woh wahaj sahab ko bta kr Pakistan chala gya...wahan jaa kr pta chala k sub England mein hain toh woh wahan chala aya....)
Sub hairangi se ussay daikh rhay thay.....
Mein aap sub se maafi maangnay aya hun....aur apni amanat wapis lainay aya hun....
Uss ne amna ko daikha jo bai-awaz ro rhi thi....
Plz mjy maaf kr dain...hammad tum mjy maaf kr do...phir baishak apnay haathon se qatal kr daina....
Haider ne hammad ko daikha.....jo saktay k aalim mein khara tha....
Nn nhi haider...mene tumhain kub ka maaf kr diya tha....mein bht bai-sakoonn tha..roz dua krta tha k mjy sakoon mil jayay...asfand bhai kehtay thay k maaf krnay wala badla lainay walay se bra hota hai aur mjy apna aap bht chota lgta tha....mein khush hun k tum zinda ho sahi salamat....
Hammad ne kha...dil bra krna prta hai...
Han haider bhai....shyd iss mein Allah ki koi behtri thi k aap itna arsa hum sub se door rhay q k uss waqt hum sub bht preshan thay aur aap ko maaf nhi kr paa rhay thay toh Allah ne aap ko kuch arsay baad hamaray pas bhaija...amna bajo ki aankhon mein mene aap k liye shadeed mohabbat daikhi hai...aap k janay k baad toh yeh muskurana hi bhool gai thin...ab aap aa gayay hain nah ab sub thk ho jayay ga...
Eshal ne kha toh haider ne amna ko daikha .woh bhi ussay hi daikh rhi thi ......
Han haider...hum sub ne tumhain maaf kiya...sach kehtay hain waqt bht bra marham hai....
Asfand ne kha....
Zara ne haider ka ziqar suna tha aur aaj daikh bhi liya tha....uss k shohar ki mohabbat ka qaatil!!!
Haider ko sub ne maaf kr diya tha magar amna bs ussay daikh rhi thi...shyd uss k bolnay ki salahiyat khatam ho gai thi....
Haider uss ki taraf aya aur zameen pr baith gya..aur sir utha kr amna ko daikha....
Tum mjy maaf nhi kro gi??
Haider ne poocha magar amna kuch bol hi nah pai...
Bolo nah amna....daikho mein aa gya hun...tumhara haider aa gya hai...
Haider ne kha toh amna ki aankhon se aik aansoo nikal kr haider k gaalon pr girra...
Haider....
Amna larazti hoi awaz se kha toh haider khara howa....
Han amna....
Haider ne uss ki aankhon mein daikh kr kha toh amna uss k galay lg gai.....
Kuch kehnay sunnay ki zaroorat hi nhi thi...ansooyon aur dil ki dharakno ne sub kuch keh diya tha.....uss raat koi bhi so nhi paya tha...saktay ki halat abhi khatam nhi hoi thi....sach hai jissay ALLAH rkhay ussay kon chakhay....
---------------------☆☆☆☆
Fajar ki azaan tuk sub lounge mein baithay rhay thay...jub azan hoi toh sub namaz prhnay apnay apnay kamron mein chalay gayay....amna namaz prhnay i toh haider bhi thori dair baad uss k peechay aa gya...woh dua maang rhi thi aur masalsal ro rhi thi...yeh tashakar k ansoo thay...
Haider aya toh uss ne jayay namaz samait di..
Amna!! Tum ne sachay dil se mjy maaf kr diya hai nah??
Haider ne poocha....
3 saal pehlay hi kr diya tha....
Phir thk se baat q nhi kr rhi??
Haider ne uss ki aankhon mein jhaanktay howay poocha....
Mjy abhi tuk yaqeen hi nhi aa rha k aisa bhi ho skta hai....haider aap ne q mjhay itna intazar krwaya...3 saal se mein taqleef mein thi....koi din aisa nhi tha jub mjy aap ki yaad nah i ho...
Ab woh rotay howay bol rhi thi....
Pichlay 3 saalon mein aisa koi lmha nhi tha jub mjy tumhari yaad nah i ho amna....mein hairan hun k itnay kum arsay mein kisi ko mohabbat kesay ho skti hai....
Haider ne kha....
Mohabbat k liye toh aik hava ka jhonka, aik lmha hi kaafi hota hai....
Thk keh rhi ho.....i love u soo much amna...i love u so much....
Haider ne ussay apni baamhon mein samait liya...
--------------☆☆☆☆
Aglay roz iram ko pta chala toh woh bhi bht hairan aur khush hoi....
Aaj sub ne waleemay pe jana tha...iss kiye sub tyar ho rhay thay....hr chehra thaka howa tha magar hr dil mutmayin tha...aur aaj toh iram bhi pur-sakoon thi...uss ki motivational speaker jo khush ho gai thi....
Kis soch mein gum ho eshal??
Asfand ne khamosh baithi eshal se poocha...
Mein hairan ho rhi hun hum sub ki zindagiyon k baray mein soch kr.... khush honay ka dil chah rha hai ab sub kuch thk ho gya hai bajo bhi khush hain...laikin...
Laikin kya eshal??
Asfand ne poocha...
Zunaira baji ki bht yaad aa rhi hai...mjy haider bhsi mein zunaira baji nazar aati hain...woh baat krtay hain toh lgta hai k zunaira baji baat kr rhi hain..laikin asfand! Mjy..mjy un ki bht yaad aa rhi hai....
Eshal ro di....asfand ne uss ka hath pakar kr ussay tasali di...
Yaad aa rhi hai toh us ki pic se baatain kr lo...aur chup ho jao daikho makeup sara kharab ho rha hai...plz chup ho jao wrna kuch dai mein tum churail bn jao gi....
Asfand ne kha toh eshal muskura di....
Aap ne mjy jeena sikha diya hai asfand...thankuu so much....
Eshal ne kha toh asfand muskura kr reh gya....woh kya btata k ussay bhi toh eshal ki mohabbat ne hi jeena sikhaya tha....
------------------☆☆☆☆
Kesi lgi epi?
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top