Episode 34

Agr yaadain rait hotin toh kya khoob hota mohsin!!
Muthi se nikal jaatin, mein pairon se ura daita!!

Woh ammi k pas baithi hoi thi..ammi ki tbyt kuch dino se bht kharab thi..amna bht preshan thi un k liye....uss ne un ki khidmat k liye koi qasar nah chori thi...ab woh raat ko ammi k sath soti...

Baita meri baat maan lo...mein ab kuch dino ki mehman hun tumhara kya ho ga meray baad...

Ammi ne kha toh amna k sabzi kaattay haath rukay....

Plz ammi aisi baatain toh nah karain..Allah aap ko lmbi sehat wali zindagi ata karay....

Uss ne tarap kr kha...

Daikho amna zindagi mein agay brhna chahiyay haider chala gya ab uss k naam pe kub tuk baitho gi...mjy aram se mrnay do amna....

Ammi ne kha toh amna un k qadmo mein aa kr baithi aur un ki god mein sir rkh liya....

Ammi mjy kisi ki zaroorat nhi hai..mein akailay jee lun gi aap meri fiqar nah karain aur positive positive sochain aap ko kuch nhi ho ga....

Tum q zid kr rhi ho?? Meri baat nhi maan skti??

Ammi ne kha toh amna ne sir utha kr unhain daikha....

Ammi mein emotional blackmail honay wali nhi...aap bs aram karain...

Uss ne kha aur sabzi katnay mein masroof ho gai...

-------------☆☆☆☆

After two years:-

In 2 saalon mein zara aur hammad ki bht achi understanding ho gayay thay aur woh iram ka best couple tha...zara aur hammad ki aik choti se baiti thi jis ka naam hammad ne haya rkha tha...woh bilkul hammad pe gai thi...
Amna aur eshal ki ammi ka intaqal ho gya tha..amna bilkul akaiki reh gai thi uss ghar mein magar uss ne himat nhi haari thi...bht koshish k baad ussay aik office mein nokri mil gai aur woh hostel mein shift ho gai...ghar ko tala lga diya tha...hammad aur tayi ne bht kha k hamar pas aa kr reh lo laikin woh apnay pairon pr khara hona janti thi...kuch arsay baad uss ki mehnut k nateejay mein ussay office ki taraf se aik apartment mil gya...eshal aur asfand ne bhi ussay bht kha k idhar aa jao magar woh nah mani....
Eshal aur asfand ka aik pyara sa baita tha jo asfand pe gya tha aur uss ka naam  eshal ne afaan rkha tha....woh bilkul apnay baap ki trha reserve aur eshal k baqol krwa karaila tha...woh sirf eshal k pas sota tha aur eshal se baihad attach tha...asfand k pas jaa kr rona shuruh kr daita...laikin asfand bhi apnay naam ka aik tha ussay khoob tung krta...
Doosri taraf iram ko treatment k liye England bula liya tha aur ab woh bht taizi se recover kr rhi thi...saharay se chalna shuruh kr diya tha aur iss mein asfand k sath sath hamza ne bhi bht madad ki..woh iram k liye motivational speaker tha aur iram iss ka bht baar aitraaf bhi kr chuki thi....
Iss aik saal mein sub bht khush rhay thay hammad bhi zunaira k gum se nikalnay lga tha sirf aik amna thi jis ko haider ki yaad apni sanson ki trha aati thi...

-----------☆☆☆☆☆

Afaan yrr yeh kya kiya hai aap ne meray nayay coat pe marker lga diya...

Asfand kamray mein daakhil howa toh afaan ko daikha jo bed pe baitha bht fursat se asfand k coat pr painting kr rha tha...eshal bathroom se nikli....

Eshal yeh daikho tumhara daihan kahan hai?? Mera sara coat kharab kr diya afaan ne....

Asfand ne kha toh afaan khara howa aur chotay chotay qadam utha kr bed k kinaray pr aa gya..eshal ne asfand ko daikha aur afaan ko utha liya...

Ashfun gnday hain mama...

Afaan ne kha toh eshal ki hansi nikal gai....

Jaan mera naam Ashfun nhi asfand hai...

Asfand ne kha toh afaan eshal se lipat gya...

Bachay ko q daratay hain aap?? Afaan baita gndi baat aisay toh bad boys boltay hain nah aap toh achay bachay ho nah?? Chalo shabash baba ko sorry bolo...

Eshal ne afaan ko pyar krtay howay kha toh afaan ne mashkook nigahon se asfand ko daikha...

Sholy... (sorry)

Afaan ne kha toh asfand ne ussay god mein utha liya ...

Sholy k bachay ab coat tera baap dhoyay ga??

Asfand ne kha...

Hayee haamri qismat aisi kahan..😕

Eshal ne kha toh asfand ne aik hath se ussay pakar k apnay qareeb kiya aur halka sa thapar uss k sir pr lgaya...

Ashpun meli mama ko naa maalo(maro)

Aafaan ne kha toh asfand aur eshal dono ne hairangi se ussay daikha phir eshal zor zor se hansnay lgi aur asfand munh bna kr reh gya...

Aap dono aik team bna liya kro daikhna meri baiti jub ayay gi nah toh woh meri team mein ho gi..

Asfand ne afaan se narazgi ka izhaar kiya....

Astagfar sharam karain aur jayain bathroom mein ghussain mein aap ka doosra coat nikalti hun phir kahain gai k baigam ne late krwa diya....

Eshal ne kha toh uss ne sir tasleem e kham kiya...😍

----------------☆☆☆☆☆

(Meri zindagi kya hai?? Agr mukhtasarun likhoon toh yeh naa-umeedi se umeedi ka safar hai...sach kahoon toh mein sochti thi k shyd ab kbhi apnay pairon pr khari nhi ho skoon gi laikin mjy amna bajo ayr hamza ( asfand bhai k dost) ne motivate kiya...zindagi kya hai yeh mjy ab pta chala hai... mein smjhti thi k meray sath kuch nhi ho skta...zunaira baji ki death ho gai pur mene hamesha yehi socha k meray sath aisa kuch nhi ho ga...haider bhai ko phansi ho gai aur mjy lgta tha k yeh sub un k sath bilkul thk howa hai...magar jub mera accident howa toh mjy ehsas howa k azmayish toh kisi pr bhi aa skti hai.... kuch log soch badalnay ka hunar jantay hain...meri soch amna bajo ne badli...aur kuch logon k pas doosron ko hansanay ka hunar hota hai....mjy hansna hamza ne sikhaya....mein apni life mein in 2 logon ki bht shukr guzaar hun....aur..)

Kya ho rha hai jnaab??

Abhi iram diary likh hi rhi thi k asfand kamray mein daakhil howa....

Kuch nhi bhai bs aisay hi....

Iram ne kha toh asfand uss k pas aa kr baith gya...

Mjy tum se aik zaroori baat krni hai...

G bhai??

Iram ne poocha....

Iram kl hamza ne mjh se kha k woh tum se shadi krna chahta hai...mene koi jawab nhi diya q k mein chahta hun k tum khud faisla kro...

Asfand ne kha toh iram ki aankhain bheeg gain...kya duyain itni jldi bhi qabool hoti hain??

Bhai! Mjy koi aitraz nhi ...

Soch smjh k faisla krna sari zindagi ka sawal hai ..

Asfand ne kha....

Allah hai nah bhai...woh meray sath galat nhi karay ga....

Iram ne kha toh asfand muskura diya....

Aisay lgta hai amna baat kr rhi hai.. mera dil hai afaan ko bhi amna k pas tuition lgwaoon tameez hi aa jayay gi thori ...

Asfand ne shararat se kha....

Bhai mjy amna bajo k liye bht bura lgta hai...bilkul akaili reh gai hain woh...kya hum unhain yahan nhi bula sktay??.

Iram ne udasi se kha....

Baita! Hum ne ussay bht kaha magar woh nhi maani...pta nhi kya chahti hai...

Mene suna tha k Allah apnay khas bndon ko azmayish daita hai. Amna bajo ko daikh k mjy iss baat ki smjh i hai...

Iram ne kha...

In khas bndon ka ajar bhi toh bara hota hai phir...tum daikhna sub thk ho jayay ga...

Asfand ne kha toh uss ne sir hila diya....

Chalain janab hum jaa rhay hain office aur aap apni exercise karain...raat ko hum dinner pe jaa rhay hain...tum bhi tyar ho jana....

Asfand ne kha aur baahir chala gya...

--------------☆☆☆☆☆

Tumhari himat kesay hoi in k samnay zuban chalanay ki???

Uss ne karakht lehjay mein kha...pooray hospital mein khamoshi chah gai....

S ...sir woh yeh....

Iss hospital ka sara staff barabar hai aur mein bardasht nhi kroon ga k koi kisi k sath batmizi karay...aur agr ab kisi ne aisa kiya toh phir woh aglay roz se yahan nah ayay....

Woh gusssay se dhaara...

I m sorry sir!!

Samnay wala girgiraya...

Mjy nhi in ko bolain sorry jin ka dil dukhaya hai aap ne....

Uss ne kha aur lmbay lmbay qadam utha kr apnay room mein chala gya....

--------------☆☆☆☆☆

Soo guyz! Kesi lgi episode??

     

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top