Episode 27

After one week:-

Ghar mein mukamil khaamoshi thi...sub apnay apnay kamron mein bund thay..sirf khanay k waqt baahir aatay aur bagair koi baat cheet kiyay khana khaa kr wapis apnay kamron mein chalay jatay...ajeeb se chup lg gai thi sub ko...hammad usss din k baad kisi ko nazar nhi aya tha...asfand ne uss ko dhonndhnay ki bohat koshish ki thi magar woh kahin nah mila..tayi jaan ki tbyt bhi bht kharab thi...woh hammad ko lai kr bht preshan thin...amna ko bhi chup lg gai thi..woh bs Quran ki talavat krti rehti aur khana wagaira bna daiti..eshal hr waqt kamray mein bund roti rehti..uss ko pachtawa tha k aakir uss ne q apni behn pr shuq kiya...woh bht toot chuki thi...

Eshal bed pr aarhi tirchi laiti thi jub asfand ander aya..woh ussay daikh k seedhi hoi..
Asfand uss k pas baith gya...

Tumhain pta hai eshal tum udaas bilkul bhi achi nhi lgti..mjh se lra kro mjy tung kiya kro..khud ko taqleef mut do plz...

Asfand ne kha toh eshal ne num aankhon se ussay daikha...

Woh q chor gain hamain?? Mjh se itna pyar krti thin phir bhi chor k chali gain unhain zra tars nhi aya mjh pe??

Nhi meri jaan! Yeh zindagi mot toh Allah k hath mein hain..hum insano ko iss pe koi ikhtiyar nhi..acha howa nah k woh iss dhokay baz dunia se chali gai..hamain uss k liye dua krni chahiyay...

Asfand ne kha  ...

Asfand mein sharminda hun un se...mein un se bht bad-gumaan thi aur mjy pta hi nhi tha k woh meri khaatir itnay arsay se qaid thin...un ki mot ki zimaidar mein hun...sirf haider hi nhi mjy bhi saza milni chahiyay...

Eshal ne rotoy howay kha toh asfand ne ussay galay se lga liya...

Relax ho jao yrr.. tum bilkul bhi zimaidar nhi ho eshal yeh sub aisay hi hona likha tha...zunaira ki zindagi mein azmayish likhi thi..iss mein tumhara koi qasoor nhi aur waisay bhi tum toh hijab krti ho...yeh haider ki glti thi k uss ne tum pe gndi nazar daali....mjy yeh soch k bhi uss se nafrat mehsoos ho rhi hai....khair! Tum bs ab kuch mut socho...aur amna ko sambhalo...uss ka dukh hum sub se bra hai...

Asfand ne kha aur ussay apnay se alag kr k uss k aansoo saaf kiyay...

Mjy baba g se milna hai asfand plz mjy un k pas lai jao....

Kon se baba g??

Asfand ne sawaliya nazron se ussay daikha....

Woh...jub haider k bnday mjy kidnap krnay ayay thay toh aik baba g ne mjy bachaya tha..mene us k baad naqab shuruh kiya tha...mjy un se milna hai..mein un se baat krna chahti hun asfand woh mjy apnay dil k bht qareeb mehsoos hotay hain...

Eshal ne kha....

Okay mein tumhain zaroor lai k jaaoon ga laikin aik promise kro mjh se...

Kesa promise??

Ab tum bilkul bhi nhi ro gi aur apni sehat ka khaiyal rkho gi....aur faaltoo baatain bilkul nhi socho gi...promise??

Asfand ne poocha toh eshal ne sur hila diya...

That's like a good girl!

Asfand ne muskura kr kha toh woh bhi muskura di...

------------☆☆☆☆

Nhi hamza abhi possible nhi hai mein nhi aa skta...eshal mentally bht disturb hai aur yahan sub bht upset hain...

Woh apnay ghar mein tha...

Allah tum logon ko sabar dai...chalo sai hai mein yahan sub daikh lun ga...magar tumhain aik baat bta dun k 4 karor ka nuqsan ho chuka hai...

I know yrr....magar mein kya kroon ?? Mein filhal apni family ko time daina chahta hun...

Asfand ne taaron se bharay asman ko daikha....

Okay tum fiqar nah kro..aur hammad ka kuch pta chala??

Hamza ne poocha...

Nhi..mein report darj krwai hai. Ab daikho kya hota. Allah reham karay sub pe. Pta nhi kahan chala gya hai pagal...

Ishq cheez hi aisi hai yrr aur uss ka gum bht bara hai...

Hamza ne kha...

Kaash mein kuch kr skta... dua kro mera bhai mil jayay...

Asfand ne preshani se kha...aur phir kuch baatain krnay k baad phone rkh diya....
Raat ko usaay eshal k pas jana tha q k woh akaiki dur jaati thi iss liye asfand uss k pas hi sota tha...

------------☆☆☆☆☆

Sooraj garoob ho rha tha aur woh samundar k kinaray baitha iss manzir ko daikh rha tha...uss ki halat bht kharab thi..aankhain soojhi hoin thin aur rangat zard pr chuki thi...

Zunaira tum q chali gain mjy chor k?? Abhi toh mene tum se apni mohabbat ka izhar bhi thk se nhi kiya tha...abhi toh mene tum se bht se baatain krni thin...tum kesay jaa skti ho mjy akaila chor k??

Woh soch rha tha....aur aankhon se aansoo nikal rhay thay....

Kaash Allah mjy bhi apnay pas bula lai.. mein nhi jee paoon ga zunaira..mein tumharay bagair kesay jee skta hun?? Pehlay tum meri aankhon se door thin magar aik tasali toh thi k tum yahan hi ho..tum zinda ho...laikin ab?? Tum kahan ho zunaira??plz waapis aa jao...

Usss k dard ka andaza sirf ussi ko tha...woh aik haftay se ghar nhi gya tha...samundar k kinary hi baitha rehta aur zunaira ko sochta rehta...

Log kehtay hain k mrnay walon k sath mra nhi jata magar marnay walon k baad jea bhi toh nhi jata zunaira..mjy yaad hai mein aik dafa haider k farmhouse tuk gya tha Kaash mein under chal jata...kaash!!

Woh rota rha...

Excuse me!

Tbhi usaay kisi ki awaz i..uss ne sir utha kr daikha woh 20 yah 21 saal ki lrki thi jis ne blue kurta aur white trouser pehna howa tha..duppata sir pr tha...

G??

Kya mei yahan baith jaoon??

Uss lrki ne poocha...toh hammad ne kndhay uchka diyay..toh woh baith gai aur asman ko daikhnay lgi..hammad bhi asman ko hi daikh rha tha....

Yeh dunia sehra ki maanid hai jis mein hamain safar krna hota hai...hum aatay bhi akailay hain aur jana bhi akaily hai.. aur iss safar mein hum kai baar girtay hain, zakhmi hotay hain magar palatna toh Allah k pas hi hai....sirf uss ki zaat pr bharosa hona chahiyay..

Woh lrki acha bolti thi...hammad ne ussay daikha...

Agr Allah hum se hamari pasandeeda cheezai lai lai toh??

Uss ka dil chaha k woh apna gum baant lai..

Toh phir yeh soch k sabar krna chahiyay k di bhi toh ussi ne thi nah...

Lrki ne muskura kr kha...

Aap ka naam??? Sorry bs waisay hi pooch rhi..

Hammad aziz...

Hammad ne btaya...

Nice..me zara..zara malik..

Uss lrki ne apna taruf krwaya toh hammad ne sir hila diya...

Aik baat kahoon??

Zara ne kha...

G pooch lain...

Khud ko kamzor nhi prnay daina chahiyay...aap ki baat se andaza howa k koi aap ko chor k chala gya hai..toh mein bs itna kahoon gi k aap ko aik insan chor kr gya hai laikin baqi sub toh hain nah?? Jo hain un k liye jenay ki koshish karain q k mur toh hr insan ko jana hai bs hamara imtahan hai yeh dunia...

Hmmm....

Hammad ne bs itna hi kha....

Samundar ki in lehron mein, sooraj ki in kirno mein bht sakoon hai magar jo sakoon apno k galay lg k dukh share krnay mein hai woh kisi mein nhi....chalti hun Allah Hafiz☺

Woh uthi toh hammad ne ussay daikha...

Thanks zara! Aap ne meri bht help ki...mjy ghar jana chahiyay...

Hammad ne kha aur uth kr aahista aahista qadam brhata chala gya jub k zara ussay daikhti rhi jub tuk k woh uss ki nazron se oojhal nhi ho gya....

-----------☆☆☆☆☆

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top