Episode 22

Agli subha woh bht dair se uthi thi.. uth k sub se pehlay mobile daikha k kahin asfand ka koi msg nah aya ho? Magar koi msg nhi tha. Munh bna k woh naashta bnanay chali gai.

Ammi aap hamaray sath chalain nah England. Akaili yahan kesay rahain gi aur waisay bhi mein bht bore hoti hun.

Uss ne ammi se kha jo chayay bna rhi thin...

Pagal ho gai ho kya? Apni baiti k ghar jaa kr baith jaoon...asfand kya kahay ga.

Ammi ne uss ki aqal pr matam kiya.

Uffo ammi! Asfand aisay nhi hain woh aap ka bht daihaan rkhain gai...

Eshal!. sach btaoon toh dil bht ghabra rha tha k pta nhi asfand kesa salook karay tumharay sath..magar tumhain khush daikh k bht sakoon mila hai. ALLAH tumhain hamesha khush rkhay. Ameen❤

Ammi ne eshal k sir pe hath phaira..

Nhi ammi aap bilkul bai-fiqar ho jayain..aap ki baiti ko logon ko theeek krna aata hai...

Hain kya matlub??

Ammi ne naa-smjhi se kha..

Kuch bhi nhi ammi aap bs ander ja k baithain mein nashta lai kr aati hun aur haan aap hamary sath chal rhi hain...

Eshal ne kha....

Kya baatain ho rhi hain???

Asfand kitchen mein daakhil howa toh eshal thatki..jub k ammi ne asfand ko galay lgaya...

Ammi aap ne raat ko drwaza bund nhi kiya tha??

Eshal ne shararat se kha toh ammi ussay ghoor kr reh gain...

Acha mein ander jaa rhi hun eshal tum asfand ka nashta bhi bna do..

Ammi ne kha aur kitchen se nikal gain...
Eshal uss ko nazar andaz kr k paratha bna rhi thi...

Meray liye aaloo wala paratha bna do bht dino se nhi khaya...

Asfand ne kha..woh eshal k peechay khara tha....

Yeh aap ki khush fehmi hai k mein aap k liye yahan aaloo k parathay bnati phiroon gi..

Eshal ne jul kr kha...

Subha subha q bhookhi shairni bni hoi ho??

Asfand ne ussay chairtay howay kha...

Mr.Asfand mjy abhi aap bajo k ghar lai kr jayain gai. Q k mjy un se milna hai..aur doosri baat yeh k ammi hamaray sath chal rhi hain..

Eshal ne dhoons se kha aur asfand ki taraf muri..

Han zaroor chalo abhi tumhain amna k ghar lai jata hun..aur chachi ko bhi sath lai kr janay mein koi problem nhi bs un ka passport bn jayay..ab aaloo wala paratha bna do..

Asfand ne kha toh eshal muskura di...

Waisay kl aap achay lg rhay thay..😉

Eshal ne paratha bailtay howay kha...asfand ab ussay daikh rha tha jub k woh kaam mein magan thi...

Woh toh mjy pta hai....

Asfand ne kha...

Aap jaisay bnday ki tareef krni hi nhi chahiyay..waisay aik baat kahoon asfand??

Han kaho??

Asfand ne poocha...

Mjy haider bhai khush nhi lg rhay thay.. yaad hai jub pic bnanay ka kha toh bhi itnay saray howay lg rhay thay ..aik toh hum behnon ko saray howay karailay hi milnay thay...

Chup ho jao eshal! Dua kro k amna khush rhay aur baar baar mjy sara howa karaila nah kha kro..smjhi?? Jldi se nashta lai aoo mein chachi k sath baitha hun...

Asfand ka mood achanak badla tha..eshal ne kuch hairangi se ussay daikha..woh kuch kehna chahti thi magar woh ruka hi nhi.....

-----------☆☆☆☆

Subha fajar ki azan ki awaz ne uss ko jagaya...woh aankhain malti hoi uthi.. kuch lmhay lgay thay ussay kl raat ka waqaya yaad aanay mein..uss ne idhar udhar daikha.. haider bed pe soya howa tha... woh uthi aur wuzo kr k namaz prhi. Namaz k baad woh kamray se nikal i..

Kitchen mein jaa k apnay liye chayay bna rhi thi jub haider ki mama wahan aayin...

Assalam o aliakum auntie..

Amna ne salam kiya...

Wa aliakum aslam baiti jeeti raho..

Sameena baigam ( haider ki mama) ne pyaar se kha...

Mein apnay liye chayay bna rhi hun aap k liye bhi bna dun??.

Uss ne poocha..

Han baita bna do..apnay uncle k liye bhi bna daina..actually hum roz fajar k baad lawn mein baith k chayay peetay hain..aaj tum bhi ho gi toh mza ayay ga..

Sameena baigam ne kha toh amna muskura di...
Kuch dair baad woh chayay lai kr lawn mein aa gai jahan sameena baigam aur wahaj sahab baithay thay..halqi halqi roshni ho rhi thi aur sooraj talooh ho rha tha..prindon ki awazain maahol ko aur bhi haseen bna rhi thin...

Aao baita...

Wahaj sahab ne amna ko daikh kr kha...

Kesay hain uncle??

Uss ne muskua kr poocha aur baith gayi...

Mein thk hun baita aap btao haider thk rha aap k sath??

G g uncle..

Woh bs itna hi keh ski aur chayay wahaj sahab aur sameena baigam ko thamayi...

Mjy nhi pta tha k meri qismat itni achi ho gi k mjy meray jaisi bahoo milay gi...

Wahaj sahab ne kha...

Yeh toh itnay preshan rehtay thay k pta nhi bahoo kesi ho gi? Din charhay uthay gi aur ghar mein dandanati phiray gi aur bhi pta nhi kya kya sochtay rehtay thay...

Sameena baigam ne kha...

Han baigam sahiba aap toh bs meri shikayitain hi lgati rha karain..kam az kam bahoo ka toh laihaaz karain woh kya sochay gi...

Wahaj sahab ne kha toh amna hans di..

Aap dono bht achay hain..

Aur tum ne bht achi chayay bnai hai...

Wahaj sahab ne bai-taqalfi se kha...ussay bht acha lga...aisay lga jaisay abbu bol rhay hain...

Mjy yeh manzar bht acha lgta hai... jub sooraj talooh ho rha ho aur thandi thandi hawa mein ajeeb sa saroor hota hai.. mera dil chahta hai k waqt ko qaid kr lun aur saari zindagi iss khoob-soorat scene ko hi daikhta rahoon...

Wahaj sahab ne kha toh sameena baigam ne apna sir pakar liya..

Lo ho gai in ki filmi baatain shuruh😑

Aap toh bs jealous hi hoti rahiyay mjh se..q amna baiti iss mein kya filmi baat thi??

Wahaj sahab ne itni masoomiyat se kha k amna ko raat ka sara waqt bhool gya..ussay in dono k sath bht mza aa rha tha..

Bilkul thk kha uncle ne...yeh koi filmi baatain nhi hain...

Acha?? Ab tum bhi mil jao apnay uncle k sath.. soch lo baita mein buri saas bhi sabit ho skti hun..

Sameena baigam bht shokh tabiyat ki maalik lg rhi thin aur wahaj sahab un se bhi 2 haath agay..amna hans di...

Acha mein walk pe jaa rha hun...tum dono baatain kro aur haan amna ... mein tunhara uncle nhi baba hun..

Wahaj sahab ne kha aur chalay gayay jub k amna num hoti aankhon k sath unhain jata daikhti rhi...

Haider ne batmizi toh nhi ki tumharay sath??

Sameena baigam ne poocha...

Nn nhi...

Uss ne kha..

Baita woh gussay ka thora yaiz hai magar dil ka bht acha hai..tumhain uss ko smjhna ho ga..mera baita bht taqleef mein hai..

Aakhir mein woh udas ho gai thin...

Kya howa hai auntie?? Mera mutlub hai mama??

Uss ne preshani se poocha...

Kuch nhi..phir kbhi btaoon gi abhi aao..mein wahaj k liye nashta bnaon tum mjy company do..

Un k kehnay pr woh un k peechay chal di magar dimag haider pr hi atqa tha...

Taqreebun aadhay ghantay baad wahaj sahab aa gayay..woh sub mil k nashta kr rhay thay jub haider seerihan utar kr neechay aya..amna ne nazarain utha kr ussay daikha...woh grey shirt air black jeens mein bht acha lg rha tha...

Good morning mama baba...

Uss ne laa-prwahi se kha aur uss k samnay ki kurai pr baith gya...

Baita! Yeh lo nashta?? Juice peo gai yah chayay??

Coffee...

Uss ne yuk-lafzi jawab diya toh sameena baigam ne amna ko daikha q k table pr coffee nhi thi...

Mein bna daiti hun...

Amna ne kha toh haider ne ussay daikha...

Mama mjy aap k hath ki coffee peeni hai...plz jldi se bna dain phir mjy hospital bhi jana hai...

Haider ne kha toh amna jo uth rhi thi wapis baith gai...uss ka halaq krva ho gya tha aur naashtay se bhi dil uth gya...

Wahaj sahab ne taasuf se haider ko daikha...

Aaj chuti kr lo...amna ko ghumao phirao...

Baba! Aap ko toh pta hai k hospital se chutti milna possible nhi hai.. phir q apnay ilfaz zaya kr rhay hain...

Haider ne kha...

Aik din chutti kr lo gai toh qayamut nhi aa jayay gi..kam az kam apna nhi toh amna ka hi khaiyal kr lo ..

Wahaj sahab ne dabay dabay gussay se kha...

I m sorry... magar mein apni job ko khatray mein nhi daal skta..

Haider ne kha...itnay mein sameena baigam coffee lai kr aa gain...

Thank you..
Haider ne jldi se khatam ki aur khuda hafiz keh kr baahir chala gya..

Yeh lrka apni tameez bhoolta jaa rha hai...

Wahaj sahab ne gussay se kha...

Baba aap tension nah lain ..doctors ko chutti nhi mila krti meri bhn bhi doctor thi mjy pta hai nah..aap bs aram se nashta karain ..

Amna ne kha toh sameena baigam ne dil hi dil mein Allah ka shukr ada kiya jis ne unhain itni achi bahoo aur haider ko itni achi bv di thi...

--------------☆☆☆☆

Nashta krnay k baad woh log amna k ghar k liye niklay...hammad aur asfand aagay jub k ammi aur eshal peechay baithay thay..eshal ne naqab kiya howa tha..aur baar baar asfand ko daikh rhi thi..jo k pta nhi q naraz ho gya tha....

Amna k ghar pohach kr woh gaari se utri...ammi aur hammad aagay chalay gayay jub k woh asfand k sath abhi baahir hi thi...

Kyu naraz hain mjh se??

Mein kub naraz hun??

Asfand ne poocha..

Acha sorry ab nhi kehti aap ko sara howa karaila..

Uss ne bachon ki trha kha...

Nhi tum kaha kro mjy acha lgta hai...laikin bs meray baray mein..

Ohhhh toh yeh problem thi...k mene haider bhai ko q bola aisay??

Eshal ne poocha...

Problem yeh thi eshal k mjh se bardasht nhi k tum meray ilawa kisi aur ko yeh laqab do..yeh sirf mera hai...

Ayee hayee..😉.bri baat hai..chalain ab ander..

Eshal ne uss ka baazoo kheenchtay howay kha toh woh muskura kr reh gya....

Amna aur sameena baigam ne un ka bht achay se istaqbal kiya....
Chayay ka dor chala aur ab woh log lounge mein baithay thay....

Haider nazar nhi aa rha kahan hai??

Hammad ne poocha...

Woh un ko zaroori kaam tha hospital mein wahan gayay hain...

Amna ne kha...

Bajo aap khush toh hain nah?? Haider bhai aap k sath thk toh hain nah??

Eshal ne ussay sargoshi ki.....

Han...

Amna ne kha...

Q aap ko lgta hai k mein apni bv ka khaiyal nhi rkh rha??

Haider pta nhi kahan se tapka tha...sub ne choonk kr ussay daikha...

--------☆☆☆☆


Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top