Episode 04
Woh England k aik shehar mein rahayish pazeer tha aur buisness man tha....abhi bhi woh ghar se seedha office aya tha....
Good morning sir!
Woh jahan se guzarta uss k kano mein yeh awaz prti...woh hath k isharay se jawab daita apnay room mein chala gya...
Lunch time mein woh sastanay k liye seat se taik lga kr baitha hi tha jub uss ka dost hamza uss k office mein aya...
Yrr... tum bht batmiz ho ..
Hamza ne atay sath kha toh uss ne aankhain khol kr ussay daikha phir seedha ho kr baitha...
I know.. agay bolo??
Yrt hd hoti hai...kis qadar kathor ho tum..
Hamza nenarazgi se kha ...
Kya tum yahan mjy yeh btanay ayay ho??
Uss ne dil chaspi se hamza ko daikha...
Asfand tum shayid bhool gayay ho k aaj kathe ki birthday hai...
Hamza ne kha toh uss ne gehri sans li..
Yaad hai mjy...
Uss ne boriyat se table pr paray globe ko ghoomatay howay kha...
Phir yeh bhi yaad ho ga k uss ne tumhain invite kiya tha...
Hamza ne uss ko ghoortay howay kha....
Yes i remember...
Aafand k ravaiyay mein koi tabdeeli nah i....
Toh tum yahan kya kr rhay ho??utho jldi woh tumhara wait kr rhi hai...aur uss ka gift kahan hai??
Hamza!mjy kahin nhi jana..abhi meeting hai meri GUJAR COMPANY k sath aur mein yeh miss nhi kr skta...tum meri taraf se ussay wish kr daina...
Asfand ne kha...
Aakhir q krtay ho tum aisa?? Kub rishton ko smjho gai??
Mjy rishton ki achay se pehchan hai hamza! Mera aik baap tha jo accident mein fot ho gya...jantay ho abbu mjy yaad kr rhay thay aakhri waqt aur mein yahan uss waqt paper ki tyari kr rha tha...bai-basi ki intaha thi......aur meri aik maan hai jis ne hamisha mjy tanay hi diyay hain....aur mera aik chota bhai hai jo meray liye tarasta rha magar mein nhi tha uss k pas ..aur meri aik behn hai jo....
Oh plz shut up asfand!!
Asfand keh rha tha jub hamza ne gussay se uss ki baat kaati....
Q???
Tum khud ko iss baat ki sza dai rhay ho k tumharay abbu k aakhri time mein tum un k sath nhi thay... aur tumharay bhai ko engineer bnnay k liye khud jobs krni prin...??? Hd hai asfand bilawaja khud ko taqleef q daitay ho tum??
Mjy koi baat nhi krni...you may go...
Uss ne nazrain churatay howay kaha..
Itnay baray buisness man bun gayay magar aqal phir bhi nah i...utho kathe...
Kathe kathe!!! Bus kro hamza! Uss ko keh do k aaj k baad mjh se koi umeed nah rkhay...
Asfand ne kha....
She loves you asfand!!
Hamza ne zor dai kr kaha...
But i dont like her!!
Asfand ne bhi ussi andaz mein kha toh hamza kursi ko thokar maar kr baahir chala gya...
Asfand kursi se utha aur apnay kamray ki mirror wall se baahir daikhnay lga...
-----------------☆☆☆☆
Jis tasalsul se jal rha hai dil...
Ain mumkin hai k raakh ho jayay...
Woh Mr.Shakoor k kehnay pr sight daikhnay aya tha... laikin yahan aa kr bhi woh masalsal zunaira ko hi soch rha tha...(aakhir woh gai kahan?? Achanak yun kesay koi gayib ho skta hai??)
Woh apni sochon mein magan tha jub kisi ne uss k kandhay pr hath rkha...woh ghabra kr mura..samnay Dr.Haider kharay thay...
Assalam o aliakum hammad! I know tum Dr.Zunaira ki wajah se preshan ho...
Haider ko woh janta tha..zuniara k munh se uss ne aqsar haider ka zikar suna tha...
Wa aliakum aslam...g ..
Dont you worry hammad! Woh mil jayay gi...
Haider ne kha toh woh sir hila kr reh gya....
Mein bhi ussaty dhoondhnay ki koshish mr rha hun...mjh se bht pyar krti thi...magar daikho mein bhi uss ki hifazat nhi kr paya....
Haider ne makari se kha toh hammad ka khoon khol kr reh gya magar woh kuch nah bola...
Excuse me!!
Woh keh kr wahan se hut gya...
(Kahan chali gai ho yrr!)
Uss ne Zaid ko phone kiya jo k policeman tha...aur zunaira ka case daikh rha tha....
Zaid kub tuk hum yun hath pe hath dharay baithay rhain gai??
Daikho hammad! Mene bht koshish ki magar uss ka kuch pta nhi hai....
Uss nhi unn...
Hammad ne gussay se kha...
Okay....tum fikar nah kro agr Allah ne chaha toh woh mil jayain gi....
In sha Allah...magar tum kya kr rhay ho...zaid 3 mahinay ho gayay hain...
Woh ro dainay ko tha....
Mein iss silsilay mein tum se milna chahta hun...
Zaid ne kaha....
Okay...shaam ko miltay hain....
Hammad ne kaha aur phone bund kr diya .....
----------------☆☆☆☆
Aaj woh university se ghar i toh aik handama brpa tha...tayi ammi ko bura bhala keh rhi thin aur amna ammi ko sambhalnay ki koshish kr rhi thi.....
Hello!!
Eshal tayi k samnay i....
Ohh toh tum aa gai?? Aik baat meri kaan khol kr sun lo lrki..agr aaj k baad hammad k aas paas bhi bhatki toh mein tumhari hadiyan tor dun gi...
Tayi me zehrilay andaz mein kaha....
Pehli baat toh yeh k mein hammad bhai k aas paas nhi bhatakti woh mjy uni se lainay ayay thay uss din...aur doosri baat yeh k mene apni hadiyan tornay ka huq aap ko nhi diya...aur teesri baat yeh k hamaray ghar mein kharay ho kr aap hum pr chilla nhi sktin so aap jaa skti hain....
Abhi uss ne tahamul ka muzahira kiya tha warna eshal kya kr skti thi yeh woh khud bhi nhi janti thi...
Yeh tarbiyat ki hai tu ne apni oulaad ki??
Tayi ab ammi se mukhatab thin....
G haan yehi tarbiyat ki hai meri maan ne meri...mein Allah ki lakh lakh shukar guzar hun k unhon ne mjy aap k ghar paida nhi kiya wrna mein aap k baray baitay asfand ki trha kathor hoti jo apnay baap k marnay pr bhi nhi aaya..yah aap ki baiti iram ki trha bad-zuban hoti...aik hammad bhai hi hain jo aap ki family mein mis-fit hain...shyd taya jaan pr chalay gayay...
Uss ne batmizi k saray record tor diyay ...
Acha??? Mera baita kathor hai?? Meri baiti bad-zuban hai??
Yes mene yehi kahan hai pyari tayi jaan!! I think aap ko apnay kaaon ka ilaaj krwana chahiyay....
Eshal ne kha aur amna apna sir pakar kr baith gai...
Allah karay teri kbhi shadi nah ho tu kbhi khush nah rahay....
Tayi ne cheekh kr kha....toh woh hansi....
Jub jawabat khatam ho jatay hain toh bad-duayon pr utar aati hain...wah kya dastoor hai ....waisay woh rha drwaza...
Eshal ne kaha toh tayi pair pathakhti hoi chali gain...
Ammi palang pr baith gain...
Kya zaroorat thi us se behas krnay ki??daikho kesi bad-dua dai kr gai hai...
Ammi ne ussay daikh kr kaha...
Ammi! Mein kisi se nhi drti....nah hoi shadi toh kya ho jayay ga?? Plz aap stress nah lain aur in ki baaton ko toh aik kaan se sun kr doosray se nikal hi diya karain...
Tum ammi ko woh krnay ka keh rhi ho jo khud bhi nhi krti....
Amna ne kaha....
Mein yehi krti hun bajo...
Agr tym yeh krti hoti toh yun jahilon ki trha un k agay zuban nah chalati...eshal tumhain q samjh nhi aati k buray logon k sath bura nhi bna jata...apnay aur un k darmiyan farq ko bar-qarar rkhtay hain...
Amna ne kha..
Bajo hr koi aap ko trha nhi hota...sehta rhay aur kuch bolay bhi nah...apnay huq k liye lrna seekhain yrr...
Uss ne tink kr kha....
Kon sa huq?? Ammi se abbu ne pasand ki shadi ki thi... aur zunaira ghar se gayib ho gai hai...hum toh yeh haqeeqat jantay hain laikin baahir walay nhi jantay eshal! Unhon ne apni soch k mutabiq hi baat krni hai nah??
I m sorry bajo mein aap jaisi nhi bun skti..yeh sub meri bardast se baahir hai...
Uss ne kha aur bag utha kr kamray mein chali gai...
Ammi aap tension nah lain mein issay smjha dun gi...
Amna ne ammi se kha...
Agr tum meray pas nah hotin toh mera kya hota amna...
Q nah hoti?? Aap bs kuch mut sochain..aap hath munh dho lain mein khana lgati hun...
Uss ne muskura kr kha toh ammi bhi muskura din...
Allah tumhain khush rkhay..kis qadar naram dil ho tum!!
Ammi ne socha...magar woh nhi janti thi k iss naram dil lrki k sath agay kitna sakht honay wala hai...aur qismat ko bhala koi jaan ska hai??
--------------☆☆☆☆
Toh aap yahan baithi hain??
Amna seerihon pr baithi eshal k pas aa kr baith gai...
Mjy hammad ki call i thi mene unhain smjha diya hai aayinda woh mjh se nhi milain gai...
Eshal ne mobile se nazrain uthayay bagair kha...
Hmm...good!!
Amna ne kha magar eshal ne uss pr daihan nah diya...
Kya kr rhi ho madam??
Thori dair baad woh boli...
Notes daikh rhi hun zoology k maliha se....
Uss ne kha....
Umm....eshal! Tumharay khaiyal mein insan kia cheez se pehchana jata hai??
Amna ne kha toh eshal ne mobile bund kr k god mein rkha...
Aaj kl k zamanay mein toh dolat se hi pehchana jata hai...
Okay....uss k baad??
Amna ne poocha...
Doston se.....
Eshal ne naa-smjhi se ussay daikha....
Very good! Uss k baad??
Amna ne poocha....
Uss k baad....apni aadat (habits) se...naram dil se...achay ikhlaq...
Exactly....insan pehchana jata hai apnay achay ikhlaq se....aur pta hai insan tub tuk mutqi nhi bnta jub tuk uss ka ikhlaq acha nah ho jayay....haqooq ul albad mein sub se pehlay sub k sath husan e ikhlaq aata hai....hamaray NABI (PBUH) iss qadar khush ikhlaq thay k koi un ko bura bhala kehta toh woh agay se muskura kr uss k liye dua krtay....
Amna ne keh kr eshal ko daikha....
Chalo mein tumhain aik waqiya sunati hun...bachpun mein abbu sunaya krtay thay...Nabi (PBUH) jub bhi gali se guzartay toh aik ourat un pr koora phainkti thi....laikin hamaray NABI PAAK (PBUH) ki zubaan se kbhi buray ilfaz nah niklay...phir aik din woh ourat nazar nah i toh unhon ne logon se poocha k woh kahan hai toh logon ne btaya k woh baimar hai...toh NABI (PBUH) uss ourat ki ayadat k liye gayay....just imagine eshal! Koi aap pr gund ka dhair phaink rha hai aur aap uss ki ayadat k liye jaa rhay ho....yehi toh hamara deen hai aur hum kya krtay hain?? I know tayi ki baatain bht dil dukhaati hain magar un ki baaaton ko ignore kiya kro... un se khush-ikhlaqi se mila kro....
Amna ne kaha...eshal khamoshi se ussay sun rhi thi...amna kitna acha bolti thi....
Hum yeh sochtay hain k woh hamaray sath acha nhi toh hum q hon kya faida?? Meri jaan jaza toh aglay jahan mein milay gi....jub hamaray pas koi naiqi nhi ho gi toh hamara ikhlaq hamari safarish krwayay ga....
You are right bajo....mein bht bai-waqoof hun..aaj k baad mein tayi se bilkul buray tareekay se baat nhi kroon gi i promise....
Eshal ne kha toh amna ne muskura kr ussay daikha...
I am proud of you...
Woh mein soch rhi thi bajo k aaj jo halva bna rhi hain aap tayi k ghar nah dai aayoon un ko bht pasand hai...
Eshal ne kha toh amna ne hairat se iss kaya-palat ko daikha...phir dono hansnay lgin....
Door baithi ammi ne un ko khush rehnay ki dua di thi....
--------------☆☆☆☆
Soo guyz! Kesa jaa rha novel???
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top