Epidode 24


Uss ne maathay pr hath phaira aur kha toh amna uss ki halat daikh k preshan ho gai...
Aur forun paani daal kr ussay diya woh bed pr baith chuka tha...

Aap ki tbyt toh thk hai??

Amna ne poocha toh woh uss ki taraf daikhnay lga...

Kisi ne kuch kha hai haider??

Woh pooch rhi thi magar haider ko kuch sunai nhi dai rha tha...zunaira k ilfaaz uss k kaano mein goonj rhay thay...

(Haider...tum un logon ko...saza do gai nah jinhon ne meri yeh halat ki?? )

Woh taiz taiz saans lainay lga...

Ya Allah khair in ko kya ho rha hai..

Amna ne ghabra kr uss ka hath zor se thama aur buland awaz mein ayit ul kursi prhnay lgi....

Kuch dair baad haider kuch pur-sakoon howa toh apna haath amna ki garift se chura liya..amna ne ussay daikha...

Aap ko kya howa hai haider plz mjy btayain??

Uss ne iltaja ki...

Kuch nhi howa....mjy kuch dair k liye akaila chor do plz...

Haider ne kha toh amna naa-chahtay howay bhi uthi aur baahir chali gai...

-------------☆☆☆☆

Woh sahi maano mein ghabra gai thi...aakhir haider ko kya howa tha?? Woh kamray se nikal kr seedha sameena baigam k kamray mein chali gai... drwaza knock kiya toh ander se un ki awaz i...

Aa jao...

Assalam o aliakum auntie...i mean mama..

Amna forun ander daakhil hoi...

Wa aliakum aslam..kya howa hai baita preshan lg rhi ho??

Sameena baigam ne uss ko daikh kr poocha...amna un k pas baith gai...

Mama! Mjy aap se kuch poochna hai plz mjy inkar mut kijeay ga..

Uss ne iltaja ki..

Kya baat hai amna? Poocho??

Sameena baigam ne kha..

Haider k baray mein...mama woh khud rishta lai kr ayay thay hamaray ghar..unhon ne khud mera rishta manga... laikin woh mjy khush aur satisfy nhi lgtay...aisay lgta hai jaisay meri soorat mein un pr bojh daal diya hai kisi ne...mama! Mein aap ko bta nhi skti k aaj un ki tbyt kitni kharab thi...mein bht dur gai hun...plz mjy btayain k un ko kya problem hai?? Plz mama...

Uss ne kha toh sameena baigam ne pehloo badla...

Mama btayain nah....

Haider ki tbyt ab kesi hai??

Sameena baigam ne fiqar mandi se poocha...

Thk hain ab laikin achay nhi hain .. unhain acha hona chahiyay nah??

Amna ne kha..

Bri lmbi kahani hai baita...phir kisi din...

Unhon ne amna ko taalnay ki koshish ki magar amna ne baat kaat di...

Nhi plz aaj hi bta dain...

Amna k kehnay pr unhon ne gehra sans liya...

Bht chota sa tha woh jub uss ki ammi ki death ho gai...uss k abbu ne dooari shadi kr li...gujat mein rehtay thay yeh log...haider ki doosri maan ravayiti sootaili maan saabit hoi thi...woh bhi aik baiva thi jis k 2 bachay thay...aur woh bht zaalim thi... mein un k paros mein rehti thi...aqsar jub un k ghar jaati toh daikhti k woh ourat apnay bachon ko waqt pe khana daiti aur haider ko kaam pe lgai rkhti phir jo bacha kucha khana hota uss ko dai daiti...aur woh yeh sub itni deeda dalairi se krti thi k haider ka baap bhi ussay kuch nah keh pata...us pr uss ourat k ishq ka bhoot sawar ho gya tha....

Sameena baigam sans lainay k liye rukin..amna hairat se unhain daikh rhi thi....

Mjy haider pr bht tars aata tha...meri koi oulaad nhi thi aur ho bhi nhi skti thi iss liye mjy haider apnay dil k bht qareeb lgta tha...laikin woh mjh se door door hi rehta...woh bht introvert tha...kisi se baat nhi krta tha..uss waqt woh 8 saal ka tha..logon ko daikh k chup jata tha... ussay baat krni bhi nhi aati thi woh baat krta krtay akat jata aur phir ro daita... agr ussay kuch chahiyay hota toh woh chup chap chut k aik konay mein jaa kr Allah se baatain krta...mein aik din apnay chut pe gai thi jub mjy uss ki roti hoi awaz sunai di woh Allah se apnay dil ka haal keh rha tha..woh keh rha tha k ussay apni ammi ki bht yaad aati hai..woh leh rha tha k ussay apni sootaili ammi aur sagay baap se khof aata hai...mein phir roz raat ko chut pe jaati aur uss ki baatain sunti...kbhi woh keh rha hota k Allah mjy pencil chahiyay thi magar nhi mili plz aap kahin se bhaij dain kisi pari ko bhaij dain.. kbhi keh rha hota k Allah mjy bhook lgi hai plz khana dai dain...kbhi keh rha hota Allah mjy bht dard ho rha hai plz mjy doctor k pas bhaij dain...phir kehta Allah tu mjy doctor bna dai..

Sameena baigam ki awaz bheegnay lgi thi...ro toh amna bhi rhi thi...

Aik roz mein uss k baap k pas gai aur kha k haider ko meray pas tuition k liye bhaij daiya karain mein fees nhi lun gi toh uss ne haider ko meray pas anay ki ijazat dai di...jub woh meray ghar aata toh mein uss ko acha sa khana daiti woh kha laita magar kuch bolta nhi tha...mein uss ko sunna chahti thi...laikin woh khud mein hi simta rehta...aik roz woh tuition nhi aya toh mein uss k ghar pta krnay gai... baahir taala lga tha..mene socha k yeh log ghar pe nhi hain magar tub hi mjy haider k sisaknay ki awaz i...mene wahaj ko bolya unhon ne lock khola aur hum ander ki taraf bhagay...aur..aur ander ka manzr daikh kr mein hairan reh gai...woh grill se bndha howa tha aur hr taraf andhaira tha...woh iss qadar ro rha tha k mjy khof anay lga...hum ne uss ki rasi kholi aur mene ussay khud se chimta liya...woh kafi dair rota rha..phir uss ne mjy pehli baar mukhatab kiya (auntie Allah nazar q nhi ata?? Mein ussay..ussay daikhna chahta hun...mein uss ko kehna chahta hun k mjy bhi ammi k pas jana hai...) uss ki baat sun kr mjy rona aa gya tha...mene ussay kha k( baita Allah toh hr jagah hai woh aap ko sunta hai..aap uss se baatain krtay ho nah??) Uss ne mjy daikha phir nafi mein sir hila diya( meri toh nhi sunta...jaisay abbu nhi suntay) aur mera dil chah rha tha k uss ki baap ka qatal hi kr dun...

Sameena baigam k chehra laal ho rha tha..amna butt bni sun rhi thi....

Mene ussay pyar kiya aur apnay sath lai gai...wahaj ne adalat mein case krwaya aur haider bht arsa police ki custody mein rha...woh baap k hotay howay bhi yateem tha...phir aakhir kaar uss ki custody hamain mil gai aur hum wahan se shift ho kr yahan aa gayay...laikin haider kbhi bhi apnay maazi se nhi nikal paya...amna bachay k dimag mein jo baat aik baar naqsh ho jayay woh sari zindagi nhi mitti..haider k haath se khana cheen liya jata tha, uss se uss ki maan juda hoi, aik ourat ne uss k baap cheen liya, uss ki khilonay, kapray jootay sub woh log cheen laitay thay iss liye haider abhi bhi yeh smjhta hai k uss se sub kuch cheen liya jayay ga ..woh bht dara howa hai amna.... mein uss k faislon mein nhi bolti...woh jo kehta hai hum maan laitay hain...mjy nhi maloom k uss ne tum se shadi q ki magar itna zaroor janti hun k woh dil ka bura nhi hai...uss ne khud pe burayi ka khol charha rkha hai aur tumhain uss ko torna ho ga...tum toro gi nah??

Sameena baigam ne poocha toh amna ne sir hila diya...

Mein hamesha un ka sath dun gi mama aur aap daikhiyay ga mein aik din un k dimag se yeh weham bhi nikal dun gi...in sha Allah...

Amna ne kha

Woh khudkushi ki koshish bhi kr chuka hai...tum uss ka bht daihan rkhna...

Allah hai nah mama...woh zarokr madad karay ga..chalain ab aap aansoo saaf karain aur baahir aa jayain mein chayay bnati hun....

Amna ne kha toh sameena baigam muskura din...

Kaash k haider jaan lai k ussay kitna anmol heera mila hai...kaash...

Mama ne kha toh amna muskura di...

---------------☆☆☆☆

Uss ka sir dard se phata jaa rha tha...woh cigarette ki poori dibi khatam kr chuka tha .. kamray mein dhoyan hi dhoyan tha....uss ki aankhain dehshat k maaray surkh ho rhi thin...

( nhi Allah plz zoni ko kuch nhi hona chahiyay....mjy utha lai magar uss ko zindagi dai dai Allah...)

Woh ro rha tha...

( i m sorry zoni... i m so sorry..)

Woh phoot phoot k ro diya....

Hr shakha saniha hai...
Hr zaat it kahani...💔

----------☆☆☆☆☆

Woh raat k waqt kamray se nikla....amna lounge mein sofa pr laiti thi...uss ko daikh k forun uthi...

Haider...aap uth gayay?? Khana dun??

Uss ne poocha toh haider ne nafi mein sir hila diya....

Chayay bna daiti hun aap baithain yahan...

Uss ne kha...

Mene kha nah mjy kuch nhi chihiyay plz mera peecha chor do...

Haider ne saari bharas uss pr nikali...amna kuch seham gai magar abhi toh safar ka agaz howa tha woh himat nhi haar skti thi...

Laikin khana tkh kha lain phir gussa kr lijeay ga...aap ki tbyt bhi thk nhi hai ..

Amna mein keh rha hun jao yahan se...balkai mwin hi jaa rha hun..

Iss time kahan jaa rhay hain??

Woh poochay bina nah reh ski....

Meri mrzi mein tumhain jawab dainay ka paband nhi hun...

Mjy pta hai k aap ko kya preshani hai...

Amna ne kha toh haider uss ki taraf palta...uss ka saans ruka tha...
Amna uss k qareeb i aur uss ka hath tham liya...haider uss ki harkatain daikh rha tha...

Kbhi kbhi hum Allah se naa-umeed ho jatay hain...jub hum ussay pukartay hain aur woh jawab nhi daita toh hum smjhtay hain k woh hamain sun hi nhi rha laikin woh sub ko sunta hai...aur phir kuch logon ko apnay bht qareeb krnay k liye un ko intazar krvata hai taa kai azmayish kr sktay, imtihan lain skay k kon uss ki qurbat hasil krnay k laiq hai ... aur hum yahan hi himat haar jaatay hain...hum sabar ki jagah shikwa krnay lgtay hain...hum smjhtay hain k hamaray satg zulm ho skta hai...magar aisa nhi ho skta...Qayamut k roz zaalimon ko shajht saza milay gi..aur phir mazlooon log shukr ada karain gai k dunia mein un pr zulm howa aur qayamut k roz zaalimon ki nakiyan un ko mil gayin...hamain bs Allah paak pr bharosa krna hai...

Woh keh rhi thi aur haider sun rha tha..kitna acha bolti thi woh...kitna sehar tha uss ki awaz mein...haider ka dil chaha woh ussay sunta rhay...uss ne aik nazar apnay hath pr daali jo abhi tuk amna ki garift mein tha...

Aur ab aap khana kha lai medicine bhi lain...q k mein aap ki bv hun aur mera poora farz hai k aap pr huq jatayoon...

Amna ne uss ko normal karnay k liye mazak kiya toh haider kuch keh nah ska... woh sofa pr baith gaya..laikin aik awaz uss ka peecha nhi chor rhi thi..
(Haider...tum un logon ko...saza do gai nah jinhon ne meri yeh halat ki?? )

----------▪☆☆☆☆

Assalam o aliakum.. kesi lgi episode???

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top