Epilogue part A

Hey everyone..
I am dividing epilogue in two parts because u all are so eager for update..
So here u go..
Stay calm keep smiling..

** **         ** **          ** **
After 1 day
After the confession manik was not ready to go office but due to an important meeting he went cursing all the people associated with the meeting. Niyonika was gone to the NGO where she works while mukti went with abhi for shopping. Nandini was sitting alone on the bed in her room thinking about her life.

Nandini's pov

I, Nandini Murthy the only daughter of a known bussiness man Prakash Murthy and Akansha Murthy. I was a pampered child. When i was 4 years old my parents died in a car accident. Aur mei jise apni maa ki goodh k alawa kahien neend nhi atti thi sari raat jagti rehti. Sara din is intezaar mei kat jata k abhi dad office se ayen gye aur mujhe apni bahon mei ly kr pyaar karien gye. Magar woh sab toh ab khawab ban gye thy. Mom dad ki death 2 weeks bad mere chacha chachi ne sari property per claim kr liya aur mujhe orphanage bheej diya.

Jab mei ne us orphanage mei pehla kadam rkha ussi lamhe mere lye dunya, zindaagi aur zindaagi guzarne ka tareeqa sab badal gya. Woh bachi jise yeh keh kr us ka baap apni goodh se nhi utarta tha k kahen meri beti ko chot na lag jaye, woh gir na jaye aaj ussi larki ko kismat ne kanton k raste per kharah kr diya tha. Aur in raaston per wapsi nhi hoti.

Kun k mei orphanage mei new thi aur sirf 4 saal ki thi is lye mere se bare bache mujhe apna kaam de dita krte thy. Aur chooty hone ki wajah se mei unge mana bhi nhinkr sakti thi.

Orphanage mei aik rule tha jab tak aap apna kaam nhi kr lyte aap ko khana nhi mile ga. Matlab muft ka kuch nhi.

Jab mujhe orphanage mei aye howe 6 months ho gyd toh aik din kuch log bari car mei wahan aye aur woh apne saath bohat sare cheezien ly kr aye thy. Kuch hi time k bad sare bachon ne line bana li aur woh bari bari un bachon mei woh khilone kapre aur khane ki cheezien distribute kr rhe thy. Mujhe bhi kaha k ja kr line mei khari ho jaon. Magar issi mere baap k khoon ka kamal kaho ya meri maa k doodh ka asar us age mein bhi mei kisi k agye haath nhi phela sakti thi. Mei jab un logon ko dekh rhi thi k mujhe dad li baat yaad ayi unhon ne mom ko bataya k woh orphanage mei donation krne gye thy. Mere dimagh ne synthesize kr k bataya k donate krna matlab bheek dena. Mujhe kisi ki bheek nhi chahiye thi is lye mei chup gye aur tab bahar aye jab woh log chale gye thy.

Is sab abhi 2 weeks guzre thy jab mujhe realize howa k yeh sab cheezien mujhe bhi chahiyen magar bheek mei nhi apni mehnat se. Is lye us k baad jab bhi koi senior mere paas ata apne kaam k lye toh mei usse bol deti k mei us ka kaam issi deal per karon gi k badle mei woh mujhe kuch de ga. Free mei mein kuch nhi kr sakti. Kuch din toh seniors ne drama kiya magar jab samjh gye k mei nhi manne wali toh woh meri baat per raazi ho gye. Is tarha un k badle brush lagana, bartan( utensils) dhona(washing), ya per dusting krne k badle ya woh mujhe apna koi khilona( toy) dete thy kuch dair khailne ko ya phir apne khane mei se thora sa mujhe dete.

Jab mei 7 years ki howe toh mujhe realize howa k sirf itne se kuch nhi hoga mujhe agar apna future theek krna hai toh mujhe parhna ho ga aur parhne k lye mujhe paise chahiye hon gye. Aur paise kamane k lye mujhe kaam krne ki zarorat hai. Issi lye mei agly hi din aik ache 3 star restaurant mei bartan dhone (washing utensils) k job k lye apply kiya. Mei ne unhe bataya k mei parhai k lye paise jamana krna chahti hon toh Wahan k manager ne mujhe free mei paise dena ka kaha magar yeh toh meri self respect ko gawara kahan k koi mujhe bheek de. Is lye mei ne kaha k woh mujge kaa k adle paise mile. Mei un ke lye yek kaam krti thi aur sath hi sath school mei study k lye apply kr diya. Yeh jaane k bad k mei aik orphanage hon woh mujhe scholarship dene ko tyaar thy magar mujhe un ki yeh help bhi manzur nhi thi is lye mei ne un se kaha k mujhe scholar ship sirf tabhi den jab mei test paas kr lon tab tak mei apni parhai ki fees pay karon gien. Life aur bhi mushkil ho gye. Subah jaldi jaag kr mujhe apna kaam krna parta phir school jana. Wahan se wapas anne k baad kaam per jana aur phir 4 to 5 hours kaam kr k aa kr parhai krna. Magar mei zindagi se haarna nhi chahti thi aur kisi k agye jhukna toh bilkul nhi chahti thi.

Jab mei 13 years ki howe toh mujhe andaza howa k aik larki hone k nate meri bohat sari needs hon gi aur un ko pura krne k lye mujhe paise chahiye hon gye. Tab mei ne parhai ka waqt barha kr scholarship test paas kiya aur is tarhan mujhe job se jo paise milte thy un mei se kuch mei use kr lyti thi kuch ko safe kr lyti thi.

Jaise jaise waqt guzarta gya aur mei bari hoti gye mei aur khoobsurat hoti gye aur meri khoobsurti ne meri lye kafi problems create kien. Jab mei 15 years ki ho gye toh senior larke mujhe buri intensions se dekhne lagye. Mei sari raat so nhi pati thi kun k woh sharab( drink) pe kr meri room ka darwaza bajaya krte thy. Mei ne 2 saal issi khouf mei guzare magar ys k baad mei ne decide kiya k mei head ko complain karon gi magar jab mei wahan gye toh mujhe realize howa k mei ne kitni bari mistake kr di yahan aa kr kun k head toh khud un k saath mile howe thy. Jab mei buri tarhan se phaas gye aur mujhe laga k aab life mei sab kuch khatam tab abhimanyu ne meri help ki aur us k baad se woh mera friend ban gya. Woh hamesha mera khayal rakhta tha magar us k pas bhi zaida time nhi tha kun k woh 18 ka ho chuka tha aur kafi time se woh isse taal rha tha magar ab usse orphanage choor kr jana hi tha. Is lye woh chala gya.

Agar dekha jaye toh life ko is k baad asan hona chahiye kun k jab mei 21 ki howe toh mei is layak ho gye k apni property per claim kr sakon magar jab mei chacha chachi k paas gye toh wahan toh un ka irada hi kuch aur tha. Woh meri shaadi apne bete se krna chahty thy aur itni bewaqoof toh mei nhi thi k mujhe pata na chale is lye mei ne mana kr diya. Mujhe laga woh log samjh jayem gye magar unhon ne toh haad hi kr di. 6 months tak mujhe aik kamre mei lock rakha. Woh sari family jab bhi gussa hoti toh apni.fustration nikalne k lye us room mei aa kr mujhe maarti. Us ghar k maard aik larki ler haath utha kr apni mardangi prove kr rhe thy. Huh..!! Magar mei bhi nandini murthy hon na mei ne un k bete se shaadi ki aur na hi property per sign kiya balky aik raat jab woh sab soo gye toh mei ne ghar ki aik purani maid se help le aur ghar se bhaag gye. Wahan se mei dad k lawyer k ghar gye aur us se kaha k aise papers banwaye jis se dad ki sari property truest ko chali jaye. Aur waisa hi howa. Us k baad mei orphanage gye aur meine wahan ki female head se kaha k mei orphanage sambhalne mei un ki help krna chahti hon aur woh maan gyen.

Waqt guzarra gya mafar meri life na badle aur ab toh shayad mei bhi badlna nhi chahti thi apni life ko magar phir life mei turn aya. Dhruv k parents us ka rishta ly kr aye. Jisse meine saaf mana kr diya magar phir baad mei aunty (female head) k insist krne per mei ne haan kr di. Aunty ne mujhe us k saath bahar bheeja aur us din barish ho gye. Barish mere bachpan k bohat se khoobsurat lambhon ko zinda krti hai. Mere mom ko bohat pasand tha barish mei nachna(dance).

Humari shaadi bohat jaldi mei ho rhi thi. Phir jab mehandi k funtion per manik aya aur us ne woh sab kiya toh mujhe gusaa aa gya. Manik ne shaadi k exact time per dhruv ki woh video bheeji mujhe us video ko dekh kr jitna gussa aya mei woh bayan nhi kr sakti. Aur kya krti mei jis larki ne 4 sal ki age se apni self respect ko uncha rakha in 2 larkon ne aik hi lambhe mei sab khaak kr diya. Mei gusse mei manik ki office gye aur us se shaadi ki baat ki. Aur woh toh jaise tyaar beitha tha. Huh..!!

Shaadi ki pehle raat mujhe manik aur dhruv ler gussa tha aur yeh gussa mei ne manik se jure har rishte per wazih kiya. Magar jab agle subah ankh khuli aur mei manik ko dheka woh bohat handsome lag rha tha. Aur tab jab mei us needh aur gusse se jagi toh mujhe manik aur dhruv k bajaye khud per gussa aya. Mei ne kabhi kisi se bheek nhi maangi aur aaj aaj mei ne manik malhotra se shaadi ki bheek mangi. Yeh ehsas mujhe andar hi andar khaye ja rha tha.

Manik ki family bohat achi hai meri lakh batameezi aur ignorance k baad bhi unhon ne mujhe kuch nhi kaha. Woh sab manik ki pasand ki izat krte hain.

Jab mei ne abeer ko bachaya aur ankhen kholne per manik ka chehra dekha toh us ki swollen amd red eyes aur frowns ko dekh kr mujhe yeh ehsas howa k kisi ko mere marne ka jeene se farq parta hai. Aur jab us ne behaad masoomiyat se kaha k woh mujh per apna naam likh rha hai toh mujhe us per behad pyaar aya magar phir mei ne us ehsas ko daba diya.

Yeh sach hai k jab manik mujhe kiss krne wala tha toh mei ready thi. Imfact jab us insaan ki wajah se humari kiss barbad howe toh mei bohat irritate howe.
Aur jab neeche pohanch kr mei ne usse kisi larki ko hug krte dekha toh mujhe bohat gussa aya. Aur aoh larki meri jagah per baith gye. Huh..!!

Jab manik ne sab k samne kaha k us k lye pyaar mei hon toh mujhe us ki pyaar per pyaar aa gya. Kitna masoom hai apni mohabbt dekhane mei.

Jab mei us ki family members k saath ache tarhan se baat krne lagi woh kitna khush tha. Abeer itna cute tha k mei us ko pyaar krne se khud ko rok hi nhi paye.

Yeh bhi sach hai k jab us ne mere haath ka bana khana nhi khaya toh mujhe bohat bura laga.

Jab mei bemaar thi tab mei ne mukti ki baatein sunni aur issi lye mei ne us se kaha k woh abhimanyu k fiancy ban kr mujhe di bula sakti hai aur saath hi saath mujh se apne dil ki baat bhi kr sakti hai.

Jab mom manik se divorce ki baat kr rhi thein us waqt mei us room k washroom mei thi.
Mukti ne jo kaha mei ne us per socha aur decide kiya k mei manik ko apne dil ki baat bataon gi. Magar wahan woh sab sunne k bad mujhe manik se aur pyaar ho gya. Is lye meine socha k mei manik ko surprise don.

Mei ne aise act kiya jaise mei divorce se bohat khush hon.

Mei ne jaan bujh kr dhruv ko wahan bulaya. Mei kabhi mujhe dhoka dene walon lo maaf nhi krti. Jab dhruv ne mere badle paise liye thy tab mei ne kuch logon ko bhijwa kr woh paise chori krwa liye aur orphanage mei de diye. Mei ne dhruv ko party mei sirf yeh dikhane k liye bulaya tha k mei apni life mei kitni khush hon.

Aur manik se apne pyaar ka izhaar krne k baad mei sach mei bohat acha mehsoos kr rhi hon.

Recap : epilogue part B
Manan moments
Secret of dairy

Do u think nandini was wrong? What should a girl do when she is in such sitution?
How was the update.

End of chapter
Love u all
Anni

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top