Jo Hoon Woh Dikha Nahi

Jo tha woh ab raha nahi, 
Jo hoon woh kisi ko dikha nahi, 
Kuch baatein hai dil ke paas, 
Par unko kabhi keh paaya nahi. 

Zindagi ke safar mein kuch kho gaya, 
Apno ke beech main akela ho gaya, 
Jo muskurahat kabhi chehre pe thi, 
Woh aansuon mein chhup gaya kahi. 

Sapne the, kuch apne the, 
Waqt ke saath woh sab bikhar gaye, 
Dil toh ab bhi dhadakta hai, 
Par ehsaas woh pehle jaise nahi rah gaye. 

Chhaya hai andhera mann ke kone mein, 
Par roshni ki talash ab bhi jaari hai, 
Jo tha woh ab raha nahi, 
Lekin khud ko paane ki aas ab bhi baaki hai. 

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top