Main aur Mera Mann

Ahista ahista
Har roz hi
Kuch hai jo mujhe
Aage dhakelti hai

Har mod pe
Har dukh mei
Yahi hai jo mujhe
Badhati chalti hai

Jaane hai kya ye
Jo mere sookhe mann ko
Iss kadar bheegati hai
Aage le jaati hai

Kai baar hi
Mann kiya ye mera ki
''Aab bas bahut hua''
''Aab na hoga aage mujh se''
''Kar nahi sakti aab chal aur''
''Main khud hi khud se''

Tab tab
Ussi bal ne mujhe
Aage dhakela hai
Aage badhne ki icha jagai hai
Jab bhi aisa socha meine, andar se ek awaz aai hai
''Bas aab manzil door nahi''
''Itna chal aai aab kuch door aur sahi''

Meine jaane kitni baar
Aise hi khud ko sambhala hai
Raat ko ansu khud se ponchh
Subha ko fir muskaya hai

Mann mei kai baatein toh hai
Fir bhi chup reh gayi hoon main
Socha toh tha bol dungi
Bikhar naa jaaye kuch soch ke
Sehem ke reh gayi hoon main

Apni icchaon ko maar ke bhi
Kai baar aage badhi hoon main
Fir bhi naam toh mila mujhe
Kai baar ''matlabi'' ka hi hai!

Jaanti hoon itni khash toh
Nahi hi hoon main
Fir bhi kaise har wat hi
Maar dun apni icchaon ko main

Jaane kyun lagta hai sabki ko
Mujhe koi gam hai hi nahi
Muskata hua chehra dekh ke mera
Kehte hai chintamukt hoon main

Koi puch mere takiye se
Kitni raat usne mujhe sambhala hai
Puch le koi chadar se mere
Jisne mera dard chup aya hai
Aur puche koi mere hothon se
Kaise wo har waqt muskate hai
Par puche na koi nain se mere
Kaise wo chup ke
Boond barsata hai!!

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top