Part 38
Haseena looked Karishma, who coming out from the room with the wet hairs, Karishma gives faint smiled to Haseena & asked- aap coffee ya chai lengi!
Haseena says with smiled- jo aapko thik lage!
Karishma says with tired tone- kadvi hogi coffee!
Haseena blink her eyes in yes, & Karishma make them coffee, & they both take a seat infront of each other on dinning table, Karishma sip the coffee with close eyes, while Haseena asked- garam hai, thoda wait toh kariye!
Karishma says with clam tone- dimag ko jaaga rahe hai, itna jaada thaka hua hai!
Haseena says with clam tone- Zohi!
Karishma says with clam tone- Cheetah ne school choda hai!
Haseena asked with confusion- school, mid term mei kaise!
Karishma says with clam tone- ho jaata hai, aur waise bhi Zohi ke school ki branch hai yaha par, toh jaada takleef nahi huyi!
Haseena nod little & she too sip the coffee, & made her face fed & says- itni kadvi!
Karishma says with clam tone- issye dimag khulega, aur yaha waha ki baatein kum hogi, & she looked Haseena..
Haseena shook her head & says- samjh nahi aa raha hai kaha se shuru kare!
Karishma says with firm tone- dekhiye, jo tha humare mann mei woh aapsa kaha hai humein, aur uss baat se hum mukhar ne wale nahi hai, jo hai, so hai, aur uss baat ka aapko kya karna hai, kya nahi humein nahi pata, humein bas itna pata hai, ke hum aap se pyar karte hai, aur humesha karte rahenge, phir chahe aap humse pyar kare yaa naa kare, aap humse dosti rakhe ya naa rakhe, hum humesha aapke saath hoge, bina kisi wajah ya kisi umeed ke!
Haseena says with irks tone- aapki problem kya hai pata hai, & Karishma looked to Haseena with clam face..
Haseena continue her irks tone- aap na samne wale ko kabhi koi mauka deti hi nahi hai, bas bol dena hai, aur uss par khud amal karna hai, khud ki baat sahi, agar samne wale ne koi bhi baat kahi toh woh bhi baat sahi, uss waqt gusse mei humein kaha, ke aaj ke baad humse koi rishta nahi rakhna toh bas nikal gayi, yeh nahi socha, jo dekha hai, woh aage jaakar sach bhi ho sakta hai, aur aapke dost ko uss waqt aapki jarurat ho sakti, bas humein kaha aur aap nikal gayi aur ab jaakar yeh bol rahi hai, ke kuch bhi ho jaaye hum nahi jaayene, kiu ki pyar karti hai, tab bhi karti thi na!
Karishma asked with irks tone- aapko aisa lag raha hai, humare liye sab kuch asan tha uss waqt, jis waqt aapko kisi aur ke saath dekhna, nahi jaati toh khud ko khatam kar deti, aapko uss insan ke saath dekh kar, hum toh dua karte the, ke humein jo dekha hai, woh kabhi sach na ho..
Haseena says with irks tone- lekin sach hua na, toh phir aap kaha thi..
Karishma looked other side, while Haseena says with clam tone- waise aapne uss waqt jo kuch bhi kiya, woh accha kiya, agar uss waqt aap humari zindagi mei hoti toh humein woh guilt jaada hota, aur saath mei dard bhi, aur uss dard se bahar nikalne ka raasta bhi nahi milta, aapki absence ne woh raasta diya, & she smiled..
Karishma smiled & says- baatya aapne! Karika ke saath baatein karti thi, usska beech, beech mei aggressive hona, uss baat ka saboot hai!
Haseena chuckle & says- uss insan ka ansh hai usske andar lekin bahot saari baatein, meri baaton ki wajah se usske andar aapki aayi hai! humein aap se ek baat jarur puchni hai!
Karishma gives confused looked to Haseena, & Haseena asked with upset layer- hum hi kiu, kitni daaf humein aapka dil dukhaya hai, phir bhi aapne humein chuna, kiu Karishma, aisa bhi kya hai humein mei, jo ke aapne humein chuna, itna dard dene ke bawjood..
Karishma twisting her lips & says- pata nahi, kiu humein aap acchi lagi, aur kiu aapse pyar karne lage, dil dukhaya jarur aapne, woh sab kuch aajaane mei hua tha..
Haseena cut Karishma in mid- sab ko aapki aankhon mei pyar dikh raha tha humare liye, phir humein kiu nahi dikha woh pyar!
Karishma smiled & says- kiu ki aapko dosti mei hi pyar mil raha tha, uss wajah se aapko pyar ka sahi matlab samjh hi nahi aaya kabhi! Dosti aur pyar mei choti si line hoti hai, jo hum doono ne mitha di thi, itne saath the hum doono, ke kabhi samjh hi nahi aaya! & she yawing hard..
Haseena says with casual tone- itni boring baatein kar rahe hai hum doono!
Karishma laughs quickly & says- nahi aisa nahi hai, humein bas nind aa rahi hai, 2 ghante soona chahte hai, usske baad phir se office jaana hai!
Haseena getting up from the chair, & says- thik hai, aap aram kariye hum phir kabhi baat karenge!
Karishma says with clam tone- baithiye, baat aaj hi karenge, nahi toh khamoshi badhegi, aur sab khatam hone ki raah mud jaayega!
Haseena looked Karishma's tired eyes, & says- aapko nind ki sakat jarurat hai!
Karishma smiled & says- humein pata hai, lekin yeh bhi humein pata karna hai, aapka kya jawab hai, humein keh diya hai, aur ab aapki baari hai, haan hai toh bhi humari jeet, naa hai toh bhi humari jeet, humein aapke dosti ki jarurat hai, yeh pyar itna nahi maayne rakhta hai, bas aapka saath chahte hai, aur kuch nahi, phir aapka saath humein kaise bhi mile, humein koi fark nahi padta hai!
Haseena smiled & says- hum iss waqt 2 pathar par khade hai, ek taraf pyar ko lekar saath mei chalne ka pathar, aur dusra, jaise sab pata chalne se pehle chal raha tha, waise hi sab kuch chalne dene ka, doono taraf khushi hai, lekin ussmei se ek pathar humein jhooth ka lag raha hai..
Karishma says with smooth smile- pyar wala pathar hai woh!
Haseena looked Karishma with brim eyes & says- humesha aisa hi karti hai aap, humari ulji hi baaton ko sahi tarah se pakad leti hai, aur hum aisa kuch bhi nahi kar paate hai, aur yeh khal hai na, humein humesha chubti aayi hai!
Karishma take seat beside Haseena with smiled, & hold her hands in her, & says- yeh hai aap, yeh hai aapki khal, aapko pata chala, phir bhi aap humein aapko choone de rahi hai, yeh hai aapki aur humari dosti, aapko yeh beshaq pata hai, ke kuch bhi ho jaaye, hum aapke khilaf jaakar, aapko kabhi paane ki koshish nahi karnge, itni jaada aap hum par bharosa karti hai, aur itni badi baat aap humare liye karti hai, toh choti si baat aapke liye hum na kare, Haseena hum aapko jaante hai, aap jab tak dimag se clear nahi hoti hai, tab tak dil mei lekar nahi aati hai koi bhi baat, aur itna humein pata hai, jhoothi baat aapko pasand nahi hai, jhooth dikhawa bhi nahi, poori zindagi hai, aur kahi par bhi hum jaane wale nahi hai, aur naa aap jaane wali hai, safar saath karte hai, dost bankar, aapki bhi nayi shurwat hogi, aur nayi shurwat time leti hai, aur yeh toh mamla aapke liye bahot hi naya hai, humare liye achar ban gaya hai, jo kab se dhoop mei tha, ab jaakar usse dhoop se nikla hai, aur dibba khola hai, toh usski khushboo dil tak pohchne ke liye waqt toh lagega na, pyar hua toh thik, warna dosti bhi kuch kum nahi hai, samjhi aap!
Haseena smiled with tears, & Karishma cupped her face & says while runs her thumbs on Haseena's tears & says- yeh roona band kariye aur humein soone dijiye, waise bhi bahot thak gaye hai, rukna chahti hai toh rukiye, nahi toh jaa sakti hai!
Haseena shocked by Karishma's words, & she playfully hit on Karishma's arm & Karishma says with firm tone with smiled- haan, yeh wali Haseena perfect hai, aise roondu wali shakal ko lekar rehti hai na, iss liye Karika sar par chadhke naachti hai, samjhi aap! Aap humare sar chadhkar naachti thi, ab aapki beti aapke sar par naachti hai! & they both share a laughed together..
Haseena asked with smiled- toh ab!
Karishma says with smiled- aap boliye, kya kare!
Haseena says with smiled- ghumne jaate hai, aur bahot kuch khaate hai, aise kiye huye bahot saal huye hai, aur humein woh sab kuch karna hai, jo hum doono pagalpanti karte the! Shayad tab humein woh line samjh aaye, jise pyar aur dosti samjhe!
Karishma smiled & says- aise karne se accha hai, hum kuch aur kare, kiu ki woh sab karke sirf yaadein taaja hogi aur kuch nahi!
Haseena asked with smiled- jaise ke!
Karishma smiled & says- kadvi coffee aur aapka muh banan..
Haseena give stern looked & says- aisi coffee kon peeta hai!
Karishma says with smiled- acchi hoti hai, abhi ke liye, iss umar mei, aap bhi lijiye!
Haseena says with clam tone- din mei ek baar hi sahi phone ya message ko answer kariye!
Karishma says with smiled- koshish karnge!
Haseena says with smiled- ab hum nikalte hai, aap aram kariye, aur humari taraf se aisi koi shikwa nahi hai, jise aapko yeh lage ke hum gussa hai, yaa naraz hai!
Karishma says with smooth smiled- aap gussa ya naraz hoti toh yaha par aati bhi nahi, aur naa itni subhe humein call karti!
Haseena smiled & she getting up from the chair, while they both exchange the tight hugged with smiled, & Karishma says with smile- thank you!
Haseena smiled & says- toh iss hisab se humein aapko bahot baar sorry bolna chahiye! & they both smiled, & again exchange the side hugged with warmness of new beginning..
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top