S2: TS- Lost & Found Part 1
"kya hua aise chup chap kiu baithi hai" Haseena's mom asked Haseena, who was seated on a chair with cuddling legs near to her chest..
Haseena looked at her mom, & says with a calm tone- Karishma ko doono envelope dekar aayi hun, ab mujhe yeh tension ho rahi hai, ke woh ticket accept karke mere saath Dubai aane ke liye tyar hogi ya nahi!
Haseena's mom comes near to Haseena & says- tum doono ki jaan bachpan se ekdusre mei basti hai na!
Haseena looked at her mom & says- haan, kiu ki Karishma ko aaj tak aise kabhi dekha nahi maine aur waise bhi Karishma kuch kum nahi hai, mujhe jab Dubai jaana tha, toh khud khudke ghar par bhook hadtal par rahi thi, aur poore 7 din yeh sab chala tha!
Haseena's mom smiles & asked- hmm, haan yaad hai..
Haseena says with smile- bas ab woh meri baat maan le aur chale mere saath Dubai, kuch waqt ke liye usse iss mohol se dur lekar jaaungi toh thik ho jaayegi!
Haseena's mom asked with upset layer- lekin waha par tum akeli rehti ho, aur kaam ke time par, kaam par jaati ho, toh kaise usske saath poora time rahogi, yaha par hum sab hai, usska khayal rakhne ke liye!
Haseena shook her head & says- aap bol rahi hai, woh baat mai samjh rahi hun, lekin maa agar usse aap sab ke saath rakha na, toh badi chaliki se khud ko alag karke, akeli baith jaayegi, khud ki hi soch mei, aur yeh hone toh de nahi sakte na, usse waha par lekar jaaungi, toh sar par baar, baar nachungi na, toh woh kahi jaakar, uss baat se thodi divert hogi, nahi toh usse hum sab khoo dege!
Haseena's mom shook her head & asked- toh ab Karishma ka koi jawab aaya!
Haseena shook her head in no & says- arye kaha maa, woh itni asani se jawab dene walon mei se nahi hai, aapna khud ka time legi, aur mann manega toh hi haan bolegi..
Haseena's mom says with a soft tone- phone karke baat karo na usse, toh pata chalega na!
Haseena shook her head no, & says- nahi, phone nahi karungi, aur naa hi usse milne jaaungi, yeh faisla usse khud se lene dena chahti hun, taki woh khud ek kadam nayi zindagi ki aour badhya! Haseena's mom shook her head & walks out of the place..
5 days later, at Airport, Haseena restlessly marched out of the airport, Haseena's mom looked at her daughter marching with irks face, nodding an unbelievable way, Haseena quickly says with irks tone, with stumping foot- maine usse faisla lene ke liye bolna hi nahi chahiye tha, pata tha mujhe, woh abhi kisi bhi faisla lene mei capable nahi hai, phir bhi maine yeh kiya, oh god! & she hit her foot on the path, & winced with pain..
Haseena's mom says with irk tone- tod de, tod de woh paire, aur gale mei bandh kar jaa Dubai!
Haseena look her mom with poor eyes & says- aap na mujhe baar, baar daantiye mat, samjhi!
Haseena's mom says with irks tone- toh phir ek jagah baith jaa na, kiu idhar se udhar, udhar se idhar ghum rahi hai, aise yaha se waha ghumne se Karishma aane wali hai!
Haseena says with irks tone- mere andar jo bhuchal macha hai na, woh sirf mai jaanti hun, aur aap hai ke mujhe ek jagah baithne ke liye bol rahi hai, aur baith bhi gayi toh kya hoga, woh aane wali hai!
Haseena's mom shook her head & plugged the earphones in her ear & play the music, Haseena aired her hands in an unbelievable way, & take a seat beside her mom, & her eyes started to look for Karishma..
Flight announcement catches the attention of Haseena's mom & says- chal teri flight ki announcement ho gayi!
Haseena looked at her mom & says- thodi der!
Haseena's mom says with a soft tone- usse aana hota toh ab tak aa jaati, itna intzaar nahi karna padta Haseena!
Haseena says with soft tone- woh akeli pad jaayegi maa yaha par, aur saath mei yaha par rehkar sab kuch wahi dimag mei aata rahega, tch!
Haseena's mom caresses her hand on Haseena's arm & says- sab ko aapni ladhai khud ladhni padhti hai, aur Karishma ko khud ko ladhai khud ladhne padegi, tumhare saath ya phir tumhare baigare, Haseena shook her head in understanding way & give tight hugged to her mom & walks in the airport, Haseena wave her hand to mom with heavy heart, & way towards the other process..
Haseena seated beside window seat with sad face, in her mind- mujhe nahi rakhni chahiye thi itni umeed Karishma se, aur waise bhi usski alag se zindagi hai, aur usse mai kaise badal ne ki koshish kar sakti hun, aur mai itni umeed kar bhi kiu rahi hun, pehle ki zindagi kuch aur thi, aur ab ki kuch aur hai, woh tumhari dost purani dost thodi hai! jo tumhari baat maanegi!
"kuch soch rahi ho kya" Haseena looked at the voice person, & surprise..
Karishma give smiled at Haseena, & Haseena asked with grits teeth- ek phone nahi kar sakti thi, aane wali hai yeh baatane ke liye!
Karishma takes a seat on a chair & says- itna dur aa rahi hun, woh bhi sab kuch chodkar, time toh chahiye hota hai na! aur upar se tumne naa mujhe phone kiya aur na milne aayi, mujhe akeli ko necessary things ki packing karni padi hai, aur tumhe acchese pata hai, mujhse akele mei packing nahi hoti hai, lekin tum toh tum ho, bas bol diye bahar nikalo uss past life se, lekin yeh bhul gayi ki, jarurat pad sakti hai, bas haath mei nayi zindagi thama di aur chali aayi waha se, pata hai, 5 din mei kitni packing karni padi hai aur saath mei jo confidence ki dhajiya udi hai so alag, bas nayi zindagi di aur beech majdhar mei chodkar aayi, thoda toh sochti mere baare mei, ke kaise Karishma akele karegi!
Haseena says with an innocent tone- yaha tak akele toh aayi ho, aur wahi badi baat hai!
Karishma smile with sad grin & says- aana jaruri tha, nahi toh baar, baar ek hi baat sochti rehti aur khud ko dosh dekar, khatam kar deti!
Haseena says with clam tone- waise tumhari ussmei koi bhi galati nahi hai!
Karishma cut Haseena mid & says with sad grin- galati hai Haseena, uss ek insan se pyar karke maine galati ki hai, ek umar gujar di thi maine uss ek insan ko meri zindagi mei lane ke liye aur jab woh insan meri zindagi mei aaya toh kabhi socha nahi tha, ke mera ek faisla, meri poori zindagi badal dega, yeh maine sapne mei bhi nahi socha tha, tumne tumhara jo darr jaataya tha, ke mai jaldi toh nahi kar rahi hun, tab sach mei nahi laga tha ke maine jaldi ki hai, lekin ab jo kuch bhi hua hai, usse lekar na mujhe itna pata chala ke, mai har ek chiz mei galat thi, har ek point par..
Haseena says with soft tone- aisa nahi hai Karishma, tum bas saari baaton ko ek saath lekar soch rahi ho, itni bhi koi buri baat nahi hai, har ek insan ka faisla galat hota hai, aur har ek insan galati karta hai, isska matlab yeh nahi hai ke usski zindagi kharab ho gayi hai, tumne faisla liya, woh galat hua thik hai, koi big deal nahi hai, yes I agreed, ussne jo kuch bhi tumhare saath kiya usse tumhara, tumhari zindagi ke taraf dekhne ka nazriya hi change hua hai, isska yeh matlab nahi hai ke tum tumhari poori zindagi ko dosh dogi, aur inn sab se bahar nikalne ke liye khud ko waqt do, bas aur kuch nahi..
Karishma says with a serious tone- you know what Haseena..
Haseena looked at Karishma with a calm face, Karishma continue- what I realized right now, Haseena shook her head..
Karishma says with a sigh- mai na tumhe humesha bolti thi, kuch toh serious ho jaao life mei, khud ki zimmedari khud lena sikho, ek seriousness laao life mei, kiu ki aisa karne se hi life set hoti hai, yeh mere blind believe tha, lekin aaj mai khud ko iss halat mei dekhti hun, toh pata chala raha hai, ke mai kitni galat thi, tum life ko easy way se dekhti thi, yeh mai kabhi samjh hi nahi payi, ke tum actual mei sahi thi, maine tum par ek stamp laga diya tha, most messy girl, jiske paas koi bhi perspectives nahi hai zindagi ko lekar, aur naa kabhi aise perfect life hogi, lekin aaj mai dekh rahi hun toh pata chal raha hai, ke mai kitni galat thi, aur anjaane mei hi sahi tumhe kitna galat samjhti thi mai!
Haseena says with soft tone- aur ab khud ko baar, baar yeh sab bolkar dosh dena band karo!
Karishma goes to open her mouth when an announcement happened to lock the seat belt, Haseena locks her seat belt & says, look after Karishma, who is busy in locking the seat belt- sunn meri baat!
Karishma lock her seat belt & looked at Haseena & asked- kya!
Haseena says with casual tone- hum doono ab Dubai jaa rahe hai, tum waha par inn sab baaton se khud ko nikalne ki koshish karogi aur saath mei, baar, baar yeh sab dimag mei naa lene ki koshish karogi, agar waha par land hone ke baad, jo kuch abhi tumne kaha hai mujhe, ke mai kaisi sahi hun aur tum kaisi galat ho, toh aisa kiya toh sach mei tumne mai kahi uchai se dhakka maar dena hai!
Karishma asked with confusion- tum kya burj khalifa mei rehti ho kya!
Haseena says with a poor face- arey kaha mere itne bhag, 2, 3 baar gayi thi, lekin kuch maza hi nahi aaya!
Karishma asked with confusion- matlab!
Haseena says with puppy eyes- burj khalifa mei jaakar, burj khalifa dikhata hi nahi hai! toh kya maza!
Karishma says with irks tone- bakwas joke tha!
Haseena says with a poor tone- hai na, mujhe bhi feel hua!
Karishma smirk, & Haseena says with irk tone- uss khuda ne na tumhe sab se best smile aada ki hai, toh usse khulkar aapna lo, huh, wali smile kya hoti hai, badi wali smile karo, tax nahi lagta hai!
Karishma says with irks tone- maine, 'huh' nahi kiya tha, choti si smile ki thi!
Haseena says with irks tone- toh woh kya hoti hai, while the flight started to run, on the runway, & she look at Karishma who holding her hand rests tightly with grip, with closed eyes..
Haseena keeps her hand on Karishma's hand grip, & says with a soft tone- clam down, thodi der mei take off hone ke baad, tum relax feel karogi, relax, just taking a normal breath, I am here with you, just calming down your heartbeat & mind, & same time flight takes off in the air..
Karishma opens her eyes after some time, & gives smiles & Haseena says with a calm tone- tumhe jitna time lena hai, le lo, lekin khud ko unn saari baaton se bahar nikalo, samjhi!
Karishma nodded yes, & rest her head with closed eyes, Haseena stared at Karishma for a moment & turned her face to the window, to look at the sky!
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top