aisa hua toh kya karegi Karishma singh..

it just my thoughts, bahot dinno pehle likha tha, bas aaj post kar rahi hun, it's a one shot story..

------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Pushpa ji running behind Karishma, while asking something- tum baata rahi ho humein, yeh itna madamsir ke liye kiu kiya jaa raha hai..

Karishma quickly turns to her with the action of SI, & Pushpa ji frown her eyes, & Karishma says- amma mann kiya iss liye bulaya hai..

Pushpa ji smile with doubtful way & says- bahurani jitna hum tumhe jaante hai, utna koi nahi jaanta, toh issye accha hai, sach bol do..

Karishma give her sharp stare & says- arye abhi aapko kya hum sab kuch khulkar bole, jara samjha karo na, dil dukha hai unnka, aur hum bas unnhe unn sab chizon se bahar nikalna chahte hai, aur kuch nahi..

Pushpa ji keep her one hand on waist & say- aur itna pyar achanak se kaise aaya hai aapko madamsir par..

Karishma shook her head in unbelievable way & says- Pushpa ji..

Pushpa ji frown her eyes with tone of stern- huh!

Karishma up her both hands in a way of give up & says- amma, hum bas yahi chahte hai madamsir phir se wahi madamsir bane jo ke, Anu bhaiya se milne se pehle the, aur bahot baar humein dekha hai, madamsir saara kaam hone ke baad jo ek waqt aata hai, jo ke uss waqt mei kuch bhi nahi hota hai tab na unnka dimag shayad unnhe wahi jagah par lekar jaata hai, jaha par woh nahi jaana chahti hai, aur pichle kuch dinno se madamsir ko dekha hai, woh Aun bhaiya ko miss karne lagi hai..

Pushpa ji says with irks tone- lekin aapke Anu bhaiya ne unnka dil toda hai, yeh mat bhuliye, aur madamsir unnhe miss nahi kar rahi hai, aur unnka dimag unnhe ussi waqt lekar iss liye jaa raha hai, kiu ki unnke jehen mei woh ek sawal unnhe pareshan kar raha hai, ki kiu aapke Anu bhaiya ne unnka dil 2 baar toda aur saath mei unnka ek vishwas tha na pyar ke prati, usse kiu toda hai, aapke dimag mei agar yeh baat hai ki madamsir unnhe miss kar rahi hai, toh usse abhi ke abhi kahi bahar dur phekh dijiye, aur galati se bhi yeh mat sochiye ki woh aapke Anu bhaiya ko maaf karngi, agar woh unnke samne bhi aaye toh..

Karishma says with irks tone- kiu nahi maaf karngi, agar Anu bhaiya ki koi galati nahi hogi toh, woh kiu nahi maaf karngi, akhir Anu bhaiya bhi ek insan hai, unnki bhi koi baju hogi, aur usse hum jhuthla nahi sakte..

Pushpa ji taking side of Haseena & says- haan, hum maante hai, unnki bhi koi baju hogi, lekin ek insan 2 baar ek hi galati kare toh usse bewkufi bolte hai, aapko bhi acche se pata hai, madamsir aapke Anu bhaiya se kitna pyar karti thi, chalo pehli baar unnhone, mission jeet ke liye madamsir ko unnke pyar ke natak mei phasa liya, lekin tab bhi madamsir unnse saccha pyar karti thi, aur dusri baar, dusri baar toh madamsir unnse bhag rahi thi, unnse dur rehe rahi thi, phir bhi woh chahte the unnhe unnki zindagi mei..

Karishma cut her mid & says- amma aap yeh mat bhuliye ke aap hi thi jo Anu bhaiya ka saath de rahi thi, madamsir ki zindagi mei Anu bhaiya phir jaaye, tab toh hum maana bhi kar rahe the, lekin aapne humein bhi aap mei se ek hissa bana liya, aur jo madamsir ko naa karna tha, wahi unnhe karne par majboor kar diya, aur yeh sab bawal jo macha hai na, uss mei jitney Anu bhaiya gunhegar hai na, utne aap bhi hai aur woh sab hai, jo Anu bhaiya ko support kar rahe the..

Pushpa ji got the point but she not agree for it, & she says with irks tone- phir bhi humein aapke bhaiya hi galat lag rahe hai, agar yeh sab karna tha, toh baat sagai tak jaane hi nahi dete, aisa kuch karna tha, toh sab pariwar samet baithkar baat ko samjhte ki unnhe sagai nahi karni hai, aise poori bhari sagai ke function ko chodkar bas chale gaye, naa kuch baat kahi naa kuch safai di, bas bhag gaye, bhagoda hai, tumhara bhai, jo insan khud ki safai mei kuch naa bole usse bhagoda hi bolte hai, aur aaj jo madamsir kabhi-kabhi, beech-beech mei aapna apaa khoti hai, kabhi-kabhi jo choti-choti baaton par gussa karti hai, uss baat ki wajah sirf aur sirf aapka bhai hai, madamsir dikhati nahi hai, lekin unnke dil aur dimag mei ek baat toh jarur hai, ki woh 2 baar ek hi insan se bewkuf kaisi bani, jo har ek baat ko jazbaat se dekhti hai, akhirkar usske wahi jazbaaton ke saath ek hi insan 2 baar kaise khel gaya, yeh baat unnhe pareshaan kar rahi hai, yeh jo aap abhi kar rahi hai na, usse kuch hasil nahi hoga, baat wahi ki wahi dhari reh jaayegi, unnke liye jo ek waqt aata hai na, uss waqt ke liye aap kuch bhi nahi kar sakti..

Karishma turn her face to other side while tight her fist, Pushpa ji looks that & asked- aap kya chupane ki koshish kar rahi hai..

Karishma look once to Pushpa ji & she lose her fist & try to get busy with the work & says- kuch bhi nahi..

Pushpa ji hold Karishma's arm & turn her to herself & asked with stern face- kya chupa rahi hai aap humse..

Karishma try to lied- kuch nahi amma..

Pushpa ji shook her head in no & says- nahi, juban ladkhada rahi hai, aur aap aaj tak jhooth nahi bol paayi hai, boliye baat kya hai..

Karishma says with irks tone- kaha na kuch nahi, aur aap bhul rahi hai, yeh thana nahi hai, aur hum koi mujrim nahi hai, jo aap humein head constable Pushpa singh jaise sawal puch rahi hai..

Pushpa ji says with stern tone- aur humein bhi kabhi humari bahu ko aankh churate huye, aur juban ladkhadte huye dekha nahi hai, phir chahe kitni bhi badi baat hi kiu na ho, woh bol deti hai, bhale hi woh humse jhoot hi kiu na bole, kya baat hai, boliye..

Karishma says with anger- kaha na kuch nahi..

Pushpa ji not react on Karishma's anger, she hold Karishma's hand & she keep it on her head & says- ab bolo kya baat hai, jise band muthi mei chupane ki koshish ki jaa rahi hai..

Karishma says with helpless face- amma..

Pushpa ji- kya amma, amma ke aage bhi baat hai, aur humein pata karni hai, woh kya baat hai..

Karishma think for a while & she started to tell her incident about the day of engagement..

"itni badi baat aapne humse chupayi"

Pushpa ji & Karishma widen their eyes, they look back to the door of kitchen, they look Haseena there with the shocked teary eyes..

Pushpa ji- madamsir..

Haseena shows her palm to Pushpa ji & says to Karishma without look to Pushpa ji- nahi Pushpa ji aaj nahi, aaj iss baat ke liye aap beech mei nahi aa sakti, aaj naa aap head constable hai aur naa hum SHO, aur naa yeh SI, aaj yeh yaha par aapki bahu jarur hogi, lekin yeh humari dost hai, ek aisi dost, jin par humein vishwas kiya tha, baat yeh nahi hai ke Anubhav kiu gaye, kis liye gaye, lekin baat yeh hai, ki Karishma singh humari zindagi mei pehle aayi hai, naa ke Anubhav, innhone behen ka rishta nibhaya, aur dosti ka kya, yahi thi, jihone humein yeh aakar bola tha, Anubhav chale gaye hai, sab chodkar, kiu gaye hai, yeh baat unnhe pata hokar bhi unnhone humein yeh baat baatani jaruri nahi samjhi, innhe pata tha, hum andar se toot chuke hai, aur kitni baar innhone humein dekha bhi hai, phir bhi humein baatana jaruri nahi samjha..

Karishma try to make her understand- madamsir ek baar aap humari baat toh samjhne ke koshish kariye..

Haseena says with tearyful smile- kya samjhne ki koshish kare, yahi ke aapne Anubhav se behen hone ka rishta nibhaya aur humari dost hone ka rishta nahi, aapke liye Anubhav ek mahan insan ban gaye aur hum ek aise insan jiska koi wajood hi nahi hai, naa hum kisi ke saathi banane layak hai, aur naa hi kisi ke dost, aaj tak humein sab safalta mili hai, lekin rishte mei asafal rahe, ek dosti ka rishta aapnaya tha humein lekin aaj woh bhi humein bikhrta hua dikh raha hai..

Karishma says from her bottom of her heart- aisa kuch nahi madamsir, baat samjhne ki koshish kijiye, Anu bhaiya uss mission se sahi salamat aayenge bhi yaa nahi usski koi umeed nahi thi, aur aapko yeh baat pata chalti toh aap unnka intzaar poori zindagi bhar karti rehti, aur aisa woh nahi chahte the, aur humein bhi woh sahi laga, issliye aapko humein baatana sahi nahi samjha, humara bas ek hi uddeshy tha, aap aapni zindagi mei aage badhe aur kuch nahi, aur aapke dost hone ke naate humein yahi sahi laga..

Haseena says with layer of anger- aap kon hoti hai, humari zingadi ka faisla lene wali, kya sahi hai, kya galat hai, isska haq toh humein aapko kabhi nahi diya tha..

Pushpa ji irrupt in between- madamsir yahi par rukiye, agar baat aur badhi toh aap doono ke rishtein par asar kar sakti hai, abhi filhal aap bahot jaada gusse mei hai, aur baat bahot sidhi hai, bas aap aapki gusse ki wajah se usse nazarandaz kar rahi hai, aur kuch nahi..

Haseena look once to Pushpa ji & says- nahi Pushpa ji, baat sidhi hokar bhi Karishma singh ne usse uljha di, agar yeh baat woh humse nahi chupati toh ammi par uss baat ka asar nahi hota, aapne dekha hai, ammi sagai tootne ke baad bimar huyi thi, innhe sachai pata thi, phir bhi unnhone woh baat nahi boli, toh hum yahi samjhnge, ke innhone bhai ki baat ko aage rakhkar dosti ke rishte ko piche chod diya, yeh umeed nahi thi aap se Karishma singh..

Karishma says with stern tone- thik hai, jaisa aap samjhe, hum kitna bhi aapke samne pipri baajaye, aapko wahi samjhna hai, jo aap samjhna chahti hai, aur hum unn insano mei se toh bilkul nahi hai, jo aapko samjhte phire..

Haseena shook her head lightly & she take a leave from Pushpa ji house, Pushpa ji try make stop Haseena but she didn't listen her, she only says, that they will meet in thana..

Pushpa ji enters into kitchen with the range of anger, but her heart melt so quick, look after Karishma's into tears, she comes to near her, caressing her hand on Karishma's arm, & Karishma says- amma hum galat nahi hai, aur ek hadd tak humein Anu bhaiya ki baat sahi bhi lag rahi thi, dekhna aapne abhi madamsir ko, woh aaj bhi uss insan se pyar karti hai, 2 baar dil toda hai, phir bhi, hum sahi hai aapni jagah, madamsir duniyan ki har ek khushi ke liye layak hai, jis baare mei woh aapne sapne mei bhi nahi soch sakti, aur hum Anu bhaiya ki behen hone ke naate yeh bol rahe hai, Anu bhaiya madamsir ke layak nahi hai, woh insan uss pyar ke layak nahi hai jo madamsir unnse karti hai, woh jis tarah abhi jo kuch bol ke gayi hai, woh sab unnka gussa tha, jo sirf aur sirf Anu bhaiya ki behen par tha, naa ki unnki dost par, humein poora yakeen hai, woh humse baat karngi, lekin abhi nahi, jo dimag mei gussa lekar gayi hai, usse shaant hone ke baad sochengi toh, woh humein galat nahi samjhngi..

Pushpa ji asked with brim eyes- aap gussa nahi thi toh woh sab kiu kaha aapne..

Karishma chuckle & says- Karishma singh hai hum, aur humein aadat nahi hai, jhukne ka, tab tak hum aapni baat par aade rehnge, jab tak madamsir ko ehasaas nahi hota ke, humein unnhe kiu nahi baataya..

Pushpa ji only shook her head, & Karishma wipe her tears..


padhke hua hai, toh bas ek hi umeed hai, sade huye tamatar, sade huye aande aur tooti huyi chappal naa maare, kiu ki yeh bahot jaada baseless one shot tha, toh pls bear me for that 

🙏🙏🙏🙏

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top