Kavin Purvi fight

Heyyy guys !!! Just a note- Purvi's friend is IshiKA not IshiTA. Many of you were confused so thought of clearing it. Please type YES here if you read the comment.

Let's gooo!!!!!

________________________________________________________________

Kavin and Ishika are in the city hospital where Purvi is admitted.

Doctor- Unke jakham dekhke lagta hai kal dopahar ke ass paas unka accident hua tha. Humne operation kiya hai. Jakham jyada nahi par 1-2 internal injuries hui hai aur blood loss bhi kaafi ho gaya tha isliye serious hai.ICU me rakha hai. Kuch din under observation rakhna hoga, agar thik ho gayi to discharge de denge par unhe aaram karna hoga. Kal se yahi hai wo. Hum dekh rahe the unki health thodi better hai to call kiya aapko. Unka ID card dekha humne. CID Officer Purvi isliye keh raha hu, jyada stress nahi hona chahiye unhe. Aur unke contact list sirf aapka naam tha Ishika. More than physical help,kyuki wo officer hai, immunity acchi hogi; she needs emotional support right now.

Ishika nods.

Doctor- Okay then. Aap dono mil lijiye unse. Kuch problem ho to bula lijiye.

Outside Purvi's room

Ishika- Sir..wo emotional hoke maine aapko..wo

Kavin- It's okay. I can understand.

Ishika says sorry and they go inside.

Purvi is unconscious on the hospital bed.

Ishika keeps her hand on Purvi's head

Ishika(gasps)- Sister..ise to bohot tez bukhaar hai.

Sister- Haan. Koi nahi normal hai. Under observation hai yeh aap chinta mat kijiye. Bass abhi behoshi ki haalat me hai isliye jaldi mil lijiye.

Ishika holds Purvi's hand.

Ishika- Aise kaise ho gaya Purvi? Jaldi theek ho jaa. A lone tear escapes from her eyes.

She sits there for a while. Kavin is standing at a distance.

She kisses Purvi's forehead.

Ishika and Kavin leave for bureau.

A tear escapes from Purvi's eyes too.

In Kavin's car

Kavin- To ab use ghar le jaogi kya?

Ishika- Haan mai wahi soch rahi hoon.2 saal me mere parents se wo sirf ek baar mili hai. Aur ghar to sirf mujhe settle karne tak aayi hai. Baadme nahi.

Kavin- Accha?

Ishika- Haan. Aur maine to uska ghar sirf bahar se dekha hai.

Kavin- Oh

Ishika- Aapne bureau..

Kavin- Bata diya hai tum chinta mat karo. Infact tumhari 2 din ki leave bhi le li hai ACP sir se.

Ishika smiles widely- Aapko pata chal gaya mai leave lene wali thi?

Kavin smiles too.

Few Days Later...

Purvi sees light from a distance.

"Maa"

A woman comes towards Purvi. Her face cannot be seen.

"Maa" Purvi says again Her voice echoes back.

That woman hugs Purvi.

Suddendly the light fades. There's an unknown darkness. Suddendly Purvi hears a spine chilling scream. Purvi's feet get cold and she starts sweating profusely. The same lady whom she saw moments ago was near to her death.

Purvi started shaking and crying.

"Maa" she pleaded her mother to stay back.

Her mother with trembling hands cupped her face.

"Mere jaane ka samay aa gaya hai beta. Tu samajhdaar hai. Khudko sambhal legi. Par........par ek baat yaad rakhna.........jab bhi tujhe lage ki tu akeli pad gayi hai...himmat tut rahi hai to....to......(coughs) ..."

"Maa..."

"To.....humare aam ke ped ke neeche khod ke dekhna....tujhe ek cheez milegi jo teri life....."

Just when that lady was about to complete her sentence, a knife cut through her neck k*lling her on the spot

"MAAAA!!!! Aaah" Purvi felt strong pain in her shoulder.

"Sambhaal ke Insp.Purvi. Abhi abhi accident se thik hone lagi ho."

Purvi looked at the person standing in front of her.

"Kavin sir.."

Kavin- Haan mai. Actually abhi tak Ishika hi thi tumhare saath. Bass use 5 min ke liye bahar bheja. 8 din se soyi nahi hai wo. Bureau se yaha yaha se bureau.

Purvi tried to gauge the situation.

Kavin- Jyada socho mat. Tumhara accident hua tha aur tum behosh ho 4 din se

Purvi- 8 DIN!!

Kavin- Hm. 2 min. Doctor ko bulwaata hu.

The doctor came.

Doctor- Ab kaisa lag raha hai Inspector sahiba?

Purvi- Good Doctor.

Doctor- Kavin ye ab kaafi thik lag rahi hai. Mai kal inhe discharge de dunga.

Kavin- Okay doctor. Ye lijiye Ishika bhi aa gayi

Ishika comes running towards Purvi and she hugs her.

Ishika- Finally uth gayi tu. Itne din koi sota hai kya?

Purvi- Ro kyu rahi hai? Marr thodi gayi thi mai.

Ishika - CHUP KAR! Aise kyu bolti hai. Meri koi fikr nahi hai na tujhe?

Purvi- Sorry. Ab ye aasu poch jaldi.

And Purvi wipes Ishika's tears.

Kavin- Waise Purvi Ishika ne in char dino me kaafi khayaal rakha hai tumhara. 2 din to wo chhutti pe thi, aur baki 2 din bureau to hospital up down kar rahi thi. Soyi nahi hai 8 din se.

Purvi - Iski kya jaroorat thi Ishi?

Ishika- Mujhe thi.

Purvi looks down.

Ishika- Waise Kavin sir doctor ne kya kaha?

Kavin- Kal discharge dene wale hai.

Ishika- Great !! Ab jab tak tu thik nahi hoti mere ghar rehne wali hai.

Purvi- Kyu???

Ishika- Kyu kya? Doctor ne kaha hai teri physical aur emotional care leni hai.

Purvi- Mai kar lungi.

Ishika- Kya kar lungi? Haalat dekhi hai?

Purvi- Maine kaha na Ishi. Mujhe kisi pe bojh nahi banna waise bhi.

Ishika- Bojh kaha Purvi? Mai to khud keh rahi hu na ki...

Purvi(sternly) - No!

Ishika stays quiet.

Purvi- Hey..Ishi...mai tujhe hurt nahi karna chahti. Par mai jaanti hu tu bohot acchi hai. Aur in 8 dino me tu soyi nahi hai. To mere theek hone tak tu kitna jagegi. Isliye keh rahi hu. I am sorry...

Ishika- Sorry mat bol..par mai gussa to hu.

Purvi- I know. Hum log paani puri khaane chalenge mere theek hone ke baad. Done deal?

Ishika- Sochungi..

Purvi - Thik hai

Both laugh.

Kavin who is looking at these girls from a distance now takes a chair to sit beside Purvi.

Kavin- Waise Purvi..Doctor ne kaha tumhare contact list me Ishika ka hi naam hai.

Purvi - Mera mobile unke paas?

Kavin- Don't worry. Sirf contacts dekhe hai unhone baki apps pe lock tha shayad.

Purvi sighs

Kavin- Baat ye hai ki tumhari emotional care bhi karni jaroori hai. Aur agar tumhare ghar walo ko inform nahi kiya to..

Purvi- Mere ghar wale nahi hai iss duniya me

Kavin- Oh..I am sorry...par koi to hoga jo tumhara khayaal...

Purvi - Mai khudka khayaal rakh sakti hu. Aur aap kyu itna interest le rahe hai meri life me? Mujhe nahi pasand itna interference.

Kavin - Mai to bass jo doctor ne kaha wo..

Ishika holds Kavin's hand and gestures him to stop.

Kavin- Anyways. Since tum kaabil ho mai chalta hoon.

And he leaves the room.

Ishika- Kya karti hai? Fikr me bol rahe the.

Purvi- Mujhe unke care ki jaroorat nahi hai. Aur please..mujhe thoda time akele spend karne de. Tu bhi ghar jaake aaram kar thoda. Mai theek hu ab.

Ishika nods. She comes out of the room and sees Kavin fuming in anger.

Ishika- Kavin sir..

Kavin- Samajhti kya hai tumhari dost khudko? Aise log logo ki nafrat ke hi laayak hote hai.

Ishika- Nahi sir..wo bass thodi short tempered hai. Isliye. Aur aapne bhi dekha na uske contact me koi nahi hai. Family se kaise bartaav kiya jaata hai shaayad bhul gayi ho.

Kavin smirks - Bahaane dena aasan hota hai Ishika. Tumhe kya lagta hai logo ke life me problems nahi hote?

Ishika stays quiet.

Kavin- Jaane do. Mujhe yaha aana hi nahi chahiye tha. Wo to bass laga ki tum akeli yaha hospital me sab handle nahi kar paogi isiliye...anyways. Bye. Khayaal rakhna apna. Aur apni laadli dost ka. Par yaad rakhna..bicchhuu ki fitrat hoti hai kaatna. Ek na ek din tumhe bhi kaategi..aur tum kuch nahi kar paogi.

Kavin storms out of the hospital.

Ishika's eyes are teary. However she composes herself. Takes a deep breath and brings a smile on her face.

NEXT DAY

Purvi is now discharged. She books a cab to go back to her house. While going back, she first pays all the bills.

After coming to her house, she tears open her bandage.

Baths and sleeps for that day.

She wakes up next day. Hungry..

She thinks of ordering something but she doesn't.

She remembers her dream.

Purvi pov: Kal itne saal baad waisa hi sapna kyu aaya? Maa ke wo aakhri shabd...accident se pehle mai office me ro rahi thi..tab maine maa ko aawaj lagayi thi...kahi uss wajah se? Nahi nahi...ye ek ittefaq hai aur kuch nahi. Par dekhu kya?

She brushes her thoughts and starts preparing her breakfast.

She mails an emergency leave for one month to ACP.

She eats her breakfast listens to music for sometime. Talks to Ishika for a while and then sleeps for the day again.

Next day she wakes up having severe body pain.

Purvi- Shit..medicines leni chahiye thi.

She eats some fruits and has medicines.

She again sleeps all day long.

Next Day she wakes up from a phone call.

"Haa ??"

"Kaisi hai?"

"Jaisi 2 din pehle thi"

"Improvement nahi hai?"

"Naa"

"Bola tha chal mere saath ghar."

"Tune isliye call kiya tha?"

"Nahi yarr..maine to ek good news dene call kiya hai"

"Bina shaadi ke?"

"Chup kar kuch bhi bolti hai"

"Are it's normal"

"Hoga, par mujhe nahi pasand"

"Jiss din tera boyfriend banega na..yeh sab bhi pasand aane lagega" Purvi chuckles.

"Meri baat sunegi?"

"Accha fine bata"

"Daya sir aur Shreya ki shaadi tay ho gayi hai"

"Wo Khali aa gaya waapis?"

"Haan..aur aate hi pehle Shreya ko propose kiya unhone"

"Buddha itna romantic hai?"

"Ae kya keh rahi hai Purvi? Kitne cute lagte hai dono"

"Of course"

"Aur sunn...tu aa rahi hai shaadi me"

"Nahii"

"Kyu?"

"Kyuki mujhe invitation nahi bheja unhone, unhe pasand nahi aayega mai bin bulaaye aayi to aur upar se meri tabiyat bhi theek nahi hai"

"Are invitation aa jayega. Pehle chapne to de Invitation card. Aur shaadi month end me hai. Tab tak tu kaafi theek ho jayegi. Aur thodasa change bhi mil jayega tujhe"

"Dekhungi yarr.."

"Accha fine tu aaram kar. Hum iss baare me baadme baat karenge. Take care. Aur kuch bhi lage call karna okay?"

"Haa Ishi. Bye"

"Bye"

Days pass and Purvi's condition gets better.

Shreya and Daya send her their wedding invitation.

Ishika forces her to come to Dareya's wedding.

She agrees to go there.

To be continued...

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top