93.💖

Shravani comes out but Mihir and Meera didn't see her.

Mihir: Shock mujhe Vikrant ke behaviour se laga. Kahne ko mera friend hai itne saalo se par aaj jab zarurat thi uski to usne mana kar diya ye bol ke ki tumhari biwi hai apne aap dekho. Tumhare ghar ka mamla hai. How could he? Aur ab aake bol raha hai uski sunu baat? Kyu sunu? Kuch thi problem to pahle bhi bata sakta tha. Seedha seedha bolta agar kuch tha.

Shravani: Kis baat ke mana kar diya Vikrant ne? Aise kyu bola? Aur kab?

Mihir: Kuch nahi...

Shravani: Bataiye Mihir... Meera tum

Meera: Main

Shravani: Ha

Meera: Mujhe kuch kaam hai mumma. Baad mein aati hu. Bye...

She ran out.

Shravani: Mumma! Main tumhari mumma nahi hu.

Mihir: Ha aise kaise mumma bola? Main puch ke aata hu.

He started to go out but she hold his hand.

Shravani: Aap kahi nahi jayege. Aap mujhe batayege kya chupa rahe hai. Vo bhi sach.

She glared at him.

Mihir: Vo maine Vikrant se morning mein sath aane ke liye kaha tha. Taiyyari karne ke liye. He refused to help.

Shravani: Mana kyu kar diya?

Mihir: Pata nahi... Na mujhe janna.

He folds his arms and sat on bed with an angry pout.

Shravani: Par mujhe janna hai. Kyu mana kara? Aur Vish ne bhi jhoot bola. Kya problem kya hai dono husband wife ki?  Abhi baat karti hu dono se.😠

Mihir: Nahi ruko!

Shravani: Kyu? Kyu ruku? Vo dono aise kaise

Mihir: Rehne do... Choro... I don't want to know.

Shravani: But I want to know.

Mihir: Rehne do Shravani. Mujhe unse koi matlab nahi rakhna. Tum mere paas betho.

Shravani: Nahi! Matlab rakhna na rakhna alag baat hai but ye janna zaruri hai kya problem hai? Kahne ko friends hai vo aur aise kaise kar sakte hai friends? Mujhe samj nahi aa raha aap kyu rok rahe hai mujhe?

Mihir: Kyuki tum nahi janti ki...

He stops and sighs...

Shravani: Kya hua Mihir? Aap thek to hai?

Mihir: Nahi! Kuch thek nahi hai.

He stands and takes round of room.

Mihir: (to himself) Kuch nahi janti ye par abhi batana sahi nahi hai. Par iski yadasht pata nahi kab aayegi? Aayegi bhi ya?😢 Nahi! Nahi! Be positive Mahir! Don't loose hope...

Shravani: Kya hua? Aap mu..mujhe dara rahe hai.

Mihir: I am sorry... I am sorry... (He sit beside her)

(Again to himself) Kaise batau? Bata hi deta hu. Kab tak chupaunga.

Shravani: Kya?

Mihir: Maine tumse jhoot bola tha.

Shravani: Kya?

Before Mihir can speak doorbell rings.

Mihir: Koi aaya hai shyd

Shravani: Mihir ji obvious hai bell bajegi matlab koi aaya hoga. Aap baat mat badaliye. Kya jhoot bola aapne?

Mihir: (in mind: Nahi batata pura sach abhi.) Vo..vo Vish se meri koi baat nahi hui thi.

Shravani: Kya?

Mihir: (in mind: Sorry Bela aadha sach aur aadha jhoot bol raha hu) Vo jab main wapas aaya to Vikrant se gussa tha aur phir neeche Meera mili. Usko pareshan dekha to pucha kya hua? Usne bataya sab. Vish ke pati se to main gussa tha par uski planning ki tum mere se gussa ho jao jhoot moot ka mujhe acha nahi laga.

Mana tum logo ka maze lene ka plan tha par main nahi reh sakta aise. Tum mujhse baat na karo, ignore karo I can't take it.😠

Mujhe phasa rahi thi to maine bahana bana ke uspe dal diya ki usne tumhe jaan ke nahi bataya.

Please gussa mat hona.😥

Shravani: 😮 Aapne itna bada jhoot bola. Matlab koi date plan nahi tha?

Mihir: Nahi! Nahi! Tha na plan tumhare sath time spend karne. I love you.

Shravani: I can't believe this aapne mujhe bewakoof banaya. Koi date vate plan nahi tha. Bina bataye chale gaye aur phir bachne ke liye jhoot bola. Baat mat kijiye mujhse 😒.

He holds her shoulder.

Mihir: I am sorry yar par aisa nahi hai. Tumhare liye surprise tha. Aur kaha jaunga main?

Shravani: Mujhe kya pata kaha kaha jate hai aap? Kya kya kaam karte hai? Choriye mujhe...

Tries to wriggle out from his hold but he pulled her closer and kissed her.

After 2 minutes she pushed him back.

Shravani: K..ky..kya kar rahe hain aap?😳

Mihir: Kya kar raha hu main?

Shravani: Aap mera dhyan bhatka rahe hai. Distract kar rahe hai. Main..main gussa thi aap par. Aap mujhe gu

He again pulled her and kissed her. After a minute he moves back. She was looking down in her lap while blushing.

Mihir: Hanji to kya kah rahi thi aap?😏

She looked at other side.

Shravani: (in low voice) Ki main aapse gu

He again pecked her lips

Mihir: Hanji kya hai aap mujhse?😏

Shravani: Main vo...

He kissed her cheek.

Mihir: Ha bolo main sunn raha hu.

Shravani: (While looking down she said in low voice) Bolne doge aap tab na

Mihir: Maine kab roka?😮 Bolo..bolo..bolo😏

Shravani: (Hit him)Aaahh! Aap bahut kharab ho.

He laughed and pulled her in a hug. She too hold back.

Mihir: Sachi mein tumhare liye surprise tha..hai...(iss baar sach bol raha hai.)

Shravani: Kya?

Mihir: Kuch laya hu tumhare liye.

Shravani: Kya?

Mihir: 1 min ruko...

He got up and brought a small red box and handed it to her and asked her yo open it. She opened it excitedly.

Shravani: Earings!😀

Mihir: Kaise lage?

Shravani: Thank you... Bahut sundar hai.😊

Mihir: Tumse zyada nahi...

Shravani: Kuch bhi...😄

Mihir: Ye tumhare unn trishul wale locket ke sath match karege. Pehen ke dikhao sath mein.

Shravani: Konsa locket?

Mihir: Vahi jo maine tumhe shaadi se pahle gift kara tha. Pahle to bahut pehenti thi. Shaadi ke baad pehenna chor kyu diya?

Shravani: Konsa locket? Kab gift kiya aapne?

Mihir: Sorry! Sorry! Main bhul gaya ki tumhe to yaad hi nahi hai kuch. Ruko main dikhata hu. Tumne almari mein hi rakha hoga.

He got up and went to find it. He brings it and directly took it to her neck and made her wear it.

Shravani: Kya kar rahe hai? Dekhne to dijiye mujhe.

Mihir: Dekh lena pehle pehen lo.

Shravani looks at it in her neck.

Shravani: Kaha match hai? Ye locket gold hai aur earings diamond.

Mihir: Sath mein ache lagege. Isse pehno aur utarna mat.

Shravani: Utarna mat matlab? Main pure time nahi pehen sakti ye sab. Mujhe nahi hai aadat.

Mihir: (In mind) Ye vahi locket hai Shravani jab tumhe hamara pichla janam yaad aa raha tha to main tumhare protection ke liye laya tha. Tumhe iski phir se zarurat hai. Isko tumhe pehenna zaruri hai.

(To her) Mujhe nahi pata tumhe mere liye pehen ke rakhna hoga warna main phir se gussa ho jaunga.

Shravani: Par?

Mihir: Nahi! (Again acts) Ek to tum aaj aai nahi. Itna wait kiya maine aur ab tum mera gift bhi accept nahi kar rahi. Aise thori hota hai. You said you love me. Apne love ke liye uska diya hua gift nahi pehen sakti?

Shravani: (fastly) Okay..okay... Pehnungi inhe. Itna gussa mat hoiye.

Mihir: Main nahi ho raha gussa.

Shravani: To phir?

Mihir turns his face and folds his arm.

Mihir: (Nautanki chalu) Main nahii... Baat mat karo...

Shravani: Arree!

Mihir: Nahi!

She hugs him from back.

Mohit comes and knocks their door. Shrahir separates.

Mihir: Aa jaiye... Darwaza khula hai.

Mohit: Neeche aa ja... London se chacha chachi aaye hai.

Mihir: London mein thori rehte hai chacha chachi? Vo to Chandigarh mein rehte hai.

Mohit: Hamare chacha nahi. Ye dad ke koi durr ke cousin hai. Khud mil le aake.

Shravani: Hum abhi aate hai.

Mihir: (to himself) London se to aaj kal mein usne aana tha. Vo direct ghar aa gaye. Ab Meera iss khatre wali jagah se kisi safe jagah chali jayegi kuch time ke liye uske sath. Mujhe usse abhi baat karni hogi

He stands and fastly goes out.

Shravani: Mihir rukiye!

(Any guesses kon aaya hai?)

____________________________________

That's all for now.

Sab log zarur bataye ye part kaisa tha?

Share your views in comments and don't forget to vote.

BB







Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top