Yaariyaan

Sameer opened his eyes slowly to see the reaction of his besties and shocked seeing them looking him without even blinking with their open wide eyes...

Sameer confusingly asked: Munna Pandit kya hua... aise kyun react kar rahe ho... kuchh toh bolo...

Munna sits on bed with a thud voice, whereas Pandit on ground ...Sameer jerked them hardly, "arey kuchh toh bolo... aise saanp kyun sungh gaya tum logo ko... mein sach kah raha hoon voh ladki Naina hi hai"

Munna came back into senses, "Sameer, itani badi baat tu ne humse chhupai... yeh tu ne achchha nahin kiya... sab hamari aankhon ke saamne tha aur humein khabar hi nahin hone di tu ne"

Pandit said feeling dejected, "haan Munna, chal hum chale yahaan se.. ye hamara Sameer ho hi nahin sakta.. do saal se... aur tu chup chap hamari najaron ke saamne... ye sab..... chal Munna..."

Saying this they both starts to leave when Sameer holds them both and hug them tightly...

Sameer pleads them to listen to him, "yaar please poori baat toh sun lo... mujhe pata hai mujhe tumhein bata dena chahiye tha par mein bhi kya karta... halaat hi kuchh aise the ki mein majboor tha"

The he narrates his own side of story, how he planned to propose on farewell day, Nanu's illness, decision to stay back in Delhi and all...

Sameer asked, "ab tum hi batao mein kya karta... itna sab kuchh ho raha tha to kaise mein apne pyaar ka ijhaar karta... aur ab jab lauta hun usake liye toh" ... then he further tells them all happenings of last few days, which gets unnoticed by any of their friends...

Pandit said softly: Sameer teri baat sahi hai.. jo bhi hua us par tera bas nahin tha.. aur un halaton mein propose karna sahi bhi nahin hota... par ab baat alag hai.. tu samajh raha hai na mein kya kah raha hun...

Munna put his hand on his shoulder, "haan Sameer, dekh Pandit jo kah raha hai aur tu jo feel karta hai... un sab mein ab bahut kuchh badal gaya hai... Naina, usake haalat, sab badal gaya hai.. ab voh pehle jaisi baat nahin"

Sameer angrily jerked his hand and shout, "kya matlab tumhara.. tum kehna chahte ho Naina ab mere laayak nahin... mujhe afsos hai ki tumhari aisi soch hai" he feels disappointed on their reaction after knowing his all feelings

Munna instantly replied, "Nahin yaar, tu galat samajh raha hai... hamara matlab yeh nahin hai"

Pandit make him sit back on bed, "Sameer dhyan se sun jo hum kehna chahte hai... hum tere dost hai aur Naina ke bhi toh kabhi nahin chahenge ki kisi ka bhi dil toote"

Munna, "sach kahun toh Sameer, teri zindagi mein Naina jaisi ladki aaye, isse badi Khushi toh humein ho hi nahin sakti..... voh har tarah se perfect hain.. aur hum usake dost hain, itane saalon se usse janate hain, yeh sab isiliye kah rahe hain..... voh teri zindagi ko khushiyon se bhar degi..."

Pandit added, "haan yaar, usake jaisa saaf man, usaki sachchai, aisi ladkiyaan aaj kal kahaan milti hain... voh toh apne aap mein bas ek hi hai... sabse best... aur sach kahun toh voh bhi sirf tere jaisa Jeevan saathi hi deserve karti hai"

Sameer asked confusingly, "haan toh phir problem kya hai... tum kehna kya chahte ho mujhe kuchh samajh nahin aa raha"

Munna Pandit looked at each other, took a deep breath and said ..

Munna, "dekh Sameer, shayad tu samajh nahin raha hai.. jis Naina ko tu ek saal pehle chhod kar gaya tha aur aaj vali Naina mein farq hai... us accident ke baad sab badal gaya hai..."

Pandit : humne dekha hai usako... ek dam toot si gayi hai hamari dost...

Munna : aur usaki chhod tu ne yeh socha hai ki kya tu yeh zimmedari lene ko taiyar hai... yeh koi ek do din ka nahin zindagi bhar ka sawaal hai... aaj shayad tu josh josh josh mein haan bhi kar de par kya duniya ke saamne usse apna payega... kah payega ki tu usse pyar karta hai...

Pandit, "dekh voh bahut masoom hai aur is waqt bahut buri tarah se hurt bhi hai... emotionally bhi aur physically bhi... agar tune uska dil tod diya to voh nahin sah payegi... humein tujh par vishwas hai lekin yeh zindagi bhar ka sawaal hai"

Sameer smiled on their concerned for his girl, "toh tumhein lagta hai mein yeh sab sirf josh josh mein kah raha hun, yaa us par taras dikha raha hun... galat ... aisa kuchh bhi nahin hai.. mein aaj bhi Naina se utna hi pyar karta hun jitna pehle din karta tha... meri zindagi mein usaki jagah jo pehle thi voh aaj bhi hain aur marte dam tak rahegi...

Munna smiled on his open confession and smirked, "dekh le bhai... tujhe pata hai mein usse behan manta hun.. agar kuchh bhi hua toh soch lena"

Pandit, "haan Sameer.. mein behen bahin manata par dost toh hai hi meri bhi... kabhi maaf nahin karunga tujhe agar usey jara si bhi takleef huyi toh..."

Sameer laughed hitting on their head, "saalon, tum mujhe dhamki de rahe ho..."

Munna rubbing his head, "arey hum toh tujhe samjha rahe the bas aur tu to gaali dene par aa gaya..."

Sameer smiled widely winking at him, "gaali nahin yaar, ab tu bhai hai uska toh rishta to tere se yahi hoga na..." they look each other, burst into laughter and hugged tightly...

Munna : sach Sameer, aaj mujhe garv hai ki tu mera dost hai...... chal ab pehle yeh jo raita tune phailaya hai usse theek kar... Nanu aa gaye to kya kahenge...... poore kamre ko kabaad bana diya hai....

Then they all clean up the room and clear all the mess. They move out to terrace and asked Ramdhari to send some snacks for them. They finished all served food in few minutes only (aakhir tension free jo ho gaye the) and keep on discussing how to go ahead...

Pandit : Vaise yeh bata, kya Naina bhi tujhse pyar karti hai..

Sameer (lost in her dreams) : Pata nahin yaar... aaj tak baat hi nahin hui.. par usaki aankhen kehti hai ki voh bhi...

Munna hit on his head : Oye sheikh chilli.. sapno ki duniya se baahar aa ja... aur kuchh seriously plan kar.. do saal lag gaye tujhe hello kahane mein... pata nahin I love you ke liye kitne saal lagayega...

Sameer shyly repied, "nahin yaar.. voh toh jaldi hi kah dunga... soch raha hun kal hi kah dun... ab aur intzaar nahin hota mujhse"

Pandit chocked on hearing his plans, giving him a irritating look.... they patted his back to soothe him...

Pandit : Paagal hai kya.. pehle toh kachchue ki tarah raing raha tha aur ab hawa ke ghode par sawaar hai...

Munna : Par yeh vaise hi itna time barbaad kar chuka hai.. aur der karega toh mushkil na ho jaye...

Sameer : par yaar, mujhe lagta hai, pehle mujhe usse dosti karni chahiye.. usse mauka dun mujhe paas se janane ka, khud usse samjhane ka..... tab sahi mauka dekh kar usase apne pyar ka izhaar kar dunga.. vaise bhi aaj tak voh mujhe theek se jaan hi nahin paayi toh zindagi bhar ka faisla kaise le paayegi....

Sameer (after a thought) asked making innocent face, "yaar, par hum toh dost hain hi kab se... phir dobara dosti kaise karun?"

Pandit irritatingly hit on his head, "kaun se waale.. aankhon aankhon wale... baat karta hai... chup kar aur jo plan kiya hai vohi kar..."

Sameer sadly replied, "yaar iss sab mein kahin jyada time lag gaya toh.. kuchh short cut try karen.. like chat mangni pat byah types koi idea do na"

Munna Pandit gave him angry glares, "tu pakka pitega usase... aur bata rahe hain agar usane mana kar diya to hum tere saath nahin hai..."

Sameer making cute baby face, "chhodo yaar, shayad yahi sahi rahega.. pehle mujhe apni pehle wali Naina ko waapas laana hai.. jo muskurahat usake chehre se kahin gaayab ho gayi hai usse dhundhna hai... bahut kuchh janana hai, bahut kuchh batana hai, is ek saal mein jo kuchh bhi hua usake saath, mere saath..... sab kuchh... vaise sach kahun aaj tum logon se apne dil ki baat karke bahut halka mehsoon ho raha hai... bahut bura lagta tha tum donon se yeh sab chhupana, par majboor tha......

They spent a good evening time together... finally Sameer feels so lightened and happy to have such good friends who are always there to support him in all phases of his life, his struggle....

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top