Thanks
They all settled back on their seats.. Swapreena together and Samundit sits in adjacent row...
Preeti was happy seeing her sister coming out from the shell which she had created around her after that accident...
Preeti POV
Aaj pehli baar laga ki mere and mummy papa ke baad agar koi Naina ko sambhal sakta hai to voh hai Sameer.. sach kahun usse jalan bhi hui ki meri behen meri baat na maan kar usaki baat maan rahi thi.. par phir bhi mein is jalan ke saath bahut khush thi.. khush thi ki shayad ab voh vaapas apni zindagi jeena seekh jayegi.. khush rehna jo voh bhool chuki thi.. ghar mein sabke saamne hasna muskurana sab dikhawa tha... kai raaton ko akele usse rote huye dekha hai.. pehle Sameer ko yaad karke roti thi aur accident ke baad to uska dard emotional ke saath physical bhi tha... par aadat se majboor kabhi kisi se kuchh nahin kehna.. shayad ab apna dard voh Sameer ke saath baant le... dil se muskuraye.. khul ke jiye..
After Class gets over they all sit together and chatting...
Preeti : Yaar mein voh washroom ho kar aati hun... she sees towards Sameer and indicate him to meet outside.. after a moment Sameer also went outside making some excuse
Sameer : Kya hua Preeti tumne mujhe achanak aise baahar kyun bula liya... kuchh baat hai kya..
Preeti (smiled with tears) : Thanks Sameer... kal tak mujhe laga tha shayad mein galat kar rahi hun tumhara saath dekar.. kahin anjane mein, mein Naina ko aur dard na de doon..... par aaj tumne saabit kar diya ki tumse jyada usse koi nahin samajh sakta... tumse jyada usse koi khush nahin rakh sakta... thanks Sameer once again...
Sameer wipe her tears and smile : Preeti, Naina meri zindagi hai... usake bina mein kuchh nahin.. aur apani zindagi ke liye kuchh karne ke liye mujhe thanks nahin chahiye... bas tumhara saath chahiye...
Preeti (smiling) : Of course.. aaj se mein poori tarah se aapke saath hun...
Sameer : Vaise Preeti ek baat puchhni thi tumse.... Yeh Naina ka accident.. yeh sab kab hua, kaise hua... maine Munna se bhi puchchha tha par usse bhi jyada kuchh nahin pata...
Preeti : sach kahun Sameer to pata to humein bhi nahin exactly hua kya tha...
Sameer (shocked) : Matlab... aise kaise.. voh tu tumhare saath hi ghar mein rehti hai na...
Preeti (sadly lower her eyes) : Sameer actually jab uska accident hua tha tab mein mummy aur papa meri ek cousin ki shaadi attend karne ke liye Surat gaye huye the... humein teen din baad pata chala ki uska accident ho gaya hai, to hum foran vaapas aa gaye....jab vaapas aaye to pata chala Naina hospital mein admit thi teen din se... hum sab jab vahaan pahunche tab voh vahaan akeli thi... usse kaun vahaan lekar aaya.. kisne uska ilaaj karaya kuchh nahin pata......
Sameer : tumne kabhi baad mein bhi usse nahin puchha..
Preeti : Koshish ki thi par voh kuchh boli hi nahin... Doctor ne bataya ki voh mentally bahut disturbed hai, usse kaafi sadma laga tha..... isiliye kisi ko bhi use force karne se mana kar diya tha... maine baad mein kai baar koshish ki par jab bhi puchha voh bahut disturb ho jaati thi to Papa ne bhi mujhe mana kar diya... par pata nahin mujhe lagta hai ki kuchh hai jo voh sab se chhupa rahi hai.... kai baar maine dekha hai usse saari saari raat rote huye... pehle mujhe laga shayad dard ki wajah se par usaki aankhen dekh kar laga ki voh dil se bahut dukhi hai.. koi baat hai jo usse andar hi andar tod rahi hai..... isi wajah se usane hasna, bolna, baat karna sab chhod diya hai sabse.....
Sameer : Tum chinta mat karo... mein poori koshish karunga ki jald hi usake dil se voh dard, uska darr mita sakun aur pehle vali Naina vaapas la sakun.....
She smiles and Sameer give a side hug ... achchha tum ab jaao, mein thodi der baad aata hun.. varna tumhari jasoos behen ko shaq ho jayega hum par...
Preeti laughed and left for the class.... Sameer remain stand there only with another shock given by Preeti..
Sameer POV
Preeti ki baat sunkar maano jhatka sa lag gaya ho.. kaise koi akele itna sab sah sakta hai... Naina ki to jaise koi limit hi na ho ..... par mein kya karun, kisse pata karun ki hua kya tha... pata nahin kyun par mujhe lagta hai ki sirf accident hi ek wajah nahin hai uske aise chup hone ki... kuchh aur bhi hai jo voh kisi ko nahin bata rahi... par kya ho sakta hai...mujhe jaldi hi kuchh karna padega isase pehle ki aur der ho jaye... mein usse aise dukhi nahin dekh sakta.... not any more... bahut sah liya usane, ab aur nahin....
Sameer returned in class and saw all sitting together on girl's desk and chatting except the one who is still quiet and lost somewhere... he goes and stand beside them...
Sameer : Yaar tum logon ne kuchh socha hai fresher party ke liye.. koi kuchh perform karega.. maine suna competition bhi hai for Mr & Ms Fresher...
Swati : Yaar man to mera bhi bahut hai kuchh karne ka par samjh nahin aa raha kya karun...
Munna : Aisa hai to chal kuchh sochte hai.. ab tu chaahe aur mein poora na karun aisa to ho hi nahin sakta...
Pandit teasingly : haye haye meri munni... apni munni ke liye kuchh sochega... dimaag bhi hai tere paas...
Munna, Swati & Preeti give an angry glare and run behind Pandit to beat him... they all 4 starts running behind each other ... Sameer took the chance and casually walk and sit with her..
Sameer (teasingly) : So, Madam, aap kuchh idea dengi ya phir iss baar bhi bina puchhe hi mera naam list mein likhwa dengi...
Naina become shy and look towards him : Sorry... sorry .. voh actually.. mein... maine...
Sameer : Yaar yeh koi nayi code language hai jisme tum baat karti ho aajkal... mujhe bhi sikha do.. shayad tumhari baatein samajhane mein asaani ho jaygei...
Naina got nervous and tingling her both hands... Sameer understood her nervousness and hold her hand firmly to make her relax and calm, he laughed...
Sameer : arey arey mein to majaak kar raha tha... (he softens his grip on her hand ) Naina, tum itna ghabra kyun jaati ho... srif majaak tha.. okay...
Naina feel relieved and till then all came back after too much of chasing game...
Munna : Yaar Sameer, tu hi kuchh bata na... kya karen....
Sameer : Yaar mujhse achchhe idea toh Naina ko aate hai..... bataao na Naina please...
All : Haan Naina please kuchh soch na... please please...
Naina smile heartily : achchha baba ruko... kuchh sochte hai...
All smiles seeing her happy and talking normally with all after a long time.... especially our hero
After a minute, she said: Yaar tum log ek group dance kyun nahin kar lete... she winks at Swati ... Couples type..
Munna (happily) : Kya baat hai Naina... tune to mere dil ki baat kah di... behen ho to aisi...... Bol Swati manjoor hai meri partner banana...
Swati : ab jab life partner banana hi hai to dance partner bhi sahi...
Pandit : arey par mera kya hoga... mein to akela hun...
Naina : Haan to tu Preeti ke saath pairing kar le.... Kyun Preeti..
Preeti give a death glare to Naina : Bakwaas.. mar jaaungi par is samose ke saath kabhi dance nahin karungi... pata chala dance ke beech mein bhukh lagi aur bhaag gaya... bhukkad...
Pandit : Haan to mein kaun sa mara ja raha hun tere saath dance karne ke liye...
Naina : Sameer ab kya karen... aur haan tum kiske saath pairing karoge...
Sameer (in his mind): Mera to life partner, dance partner sab tum hi ho... par abhi filhaal ke liye mein tumhein force nahin karunga... par vada hai mera jald hi tum khud mere saath dance karne ke liye haan kahogi...
Munna : Kya hua Sameer, kahaan kho gaya tu.....
Sameer : Haan.. voh kuchh nahin... Sorry guys par mein koi dnace nahin karunga... I am not interested
All 4 together : That's not fair.. kuchh to karo....
Naina : guys guys ruko... Sameer dance nahin karega kyunki... kyunki... Sameer gaana gayega... looking to him : gaaoge na...
Sameer : tum kaho aur mein na maanu... aisa to ho hi nahin sakta (in his mind: ab dekho tum mein kya karta hun)......
Then they keep on chatting for some more time or can say fighting for deciding songs on which they 4 will perform... but the question remain same for Pandit and Preeti's pairing...
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top