Rejection

All were busy in enjoying, dancing, in between Mamiji took Vishakha in room, "didi abhi bhi aap kya bachchon ki baaton mein aayengi... Sameer aur Kaku sa toh seedhe hai, par aap toh socho"... she filled her ears against .. "Sunaina bata rahi thi ki college mein bhi hamara Sameeer saara time issa ka dhyaan rakhna, isake aage pichhe ghumta rehta hai bas... ab aise zindagi toh nahin katati na... kisi par daya karna alag baat hai, par zindagi bhar ka bojh gale nahin taanga jaata aise"... Vishakha gets frustrated, "Bhabhi abhi chhodo, yeh sab baatein baad mein karenge... chaliye baahar saare guest hai"... they came out and join the guests...

All were busy in dancing whereas Samaina was standing in a corner chatting and enjoying their dance... Naina asked him also to join the dance, which he accepted when Nanu accompanied her and chatting with her... Mamaji called Nanu to meet him their business associates and they both moved out in garden to talk to avoid the loud music in hall...

Naina was standing alone enjoying watching them all dancing when Mamiji came to her, "arey Naina beta tum kyun yahaan akele khadi ho... chalo sabke saath enjoy karo" Naina politely refused, but she forcedly hold her arm trying to pull her joining in dance to humiliate her, showing her fake love for her... she was about to fall by her jerk when Sameer came and hold to save her and shout, "Mamiji.. yeh kya kar rahe ho aap, kyun jabardasti kar rahe ho... usane kaha na usey dance nahin karna toh kya matlab aise khinchane ka..." he turned to her, "tum theek ho Naina, chalo yahaan se"... he hold her from shoulder and took her in his room giving angry glare to Mamiji, followed by whole gang... 👿

Rohan angrily, "dimaag kharaab hai kya Mamiji ka... samajh nahin aata ki koi mana kar raha hai dance ke liye toh jabardasti na kare... jaan bujh kar tamasha karna toh aadat hai unki.." Munna, "jab dekho apni Mumbai ki shaan dikhati rehti hai aur harkatein itni chhoti, giri huyi hai..."

Naina was all quiet and didn't utter a word looking down, Sameer gesture all to leave them alone for some time.. they all went outside... he came close to her and just took her in his embrace... she hugged him back tightly and burst into tears, "Sorry Sameer, meri wajah se baahar sab ... I am sorry.. sabka mood kharaab ho gaya..." he rubbed her back to console her, "shh chup bilkul... ismein tumhari kya galti hai... voh Mamiji ki aadat hi hai jyaada bolne ki... tum please chup ho jaao...." he parted away and wipe out her tears and hugged her back to soothe her.. to lighten her mood, "vaise issi bahane kam se kam tum meri baahon mein toh aayi... kabse tumhein gale lagane ka man kar raha tha, bilkul vaise hi jaise Mount abu mein... par sach kahun, aaj tum pehle se bhi jyaada sundar lag rahi ho iss dress mein..." she lift her face to see him, smiled and parted away from him shyly... he frowned, "ab yeh galat baat hai, taarif ki toh sharma kar dur ho gayi..." saying this he laughed and pulled her back in tight hug ... she too smiled getting peace in his strong arms ... the most safe  place in whole world for her.... 💕

Vishakha was standing at the gate and seeing all this... "celebration chhod kar yahaan iske aansun pochh raha hai... huh... Bhabhi sahi kah rahi thi, mujhe hi kuchh karna padega... baahar ek minute mein hi saara function kharaab ho gaya aur sab upset bhi ho gaye, iss ladki ki wajah se.. pehli baar aayi hai aur dekho sara tamasha faila diya..."

Nanu came after some time when Rohan told him all happening... he came to Naina, "tu theek hai na beta... sorry voh mein baahar chala gaya tha... Prabha thodi jyada badboli hai, tum uski baat ka bura mat manana... chalo aaj hum sab ek saath milkar khaana khaate hai" he asked Ramdhari to serve their food in room itself to lighten her mood... where in Poonam & Deepika also joined them, "aaj toh mein Naina bhabhi ke saath hi khaana khaungi, unke haath se..." Naina feed her with her own hands, leaving sullen face of Sameer, "lo ab issi ki kami thi, yeh bhi chipak gayi Naina se... pata nahin mera number kab aayega" all laughed on him and enjoyed their lunch.....

After lunch, girls decided to leave and said bye to all but Vishakha was nowhere to meet them.... Nanu told Sameer to drop girls safely, when again Deepika joined them and insist to sit on back seat with Naina.... Sameer and Rohan sits in front and Naina, Preeti sits with Deepika... Mundit took girls in other car to drop them...
Sameer adjust the rare view mirror when Rohan teased him, "bhai sadak bhi dekh liyo thoda bahut, ab kya karen tere competitors toh vaise bhi badte jaa raha hai ek ek karke... pehle Nanu aur ab yeh chuhiya bhi...." they all laughed whereas Deepika was just looking at them trying to find out the reason for their laughter... whole time Deepika keep chatting with Naina Preeti didn't give chance to Sameer and Rohan at all.... Sameer murmured, "chalo ghar bhi aa gaya... vaise bhi kaun sa mauka mila baat karne ka... " they dropped Naina and Preeti at Swati's house and later in evening Anand came to pick up from there... 

After all guest left, Poonam too left to take rest in her room... elders were sitting and discussing on the happening when Nanu told, "Prabha tumhein aise Naina ko dance ke liye khinchna nahin chahiye tha... agar voh gir jaati toh.." Mamiji proving herself innocent, "Sorry kakusa ab mujhe kya pata tha ki voh bina sahare ek kadam bhi nahin chal sakti... voh maine toh bheed bhaad ke chakkar mein dhyan hi nahin diya tha usaki taraf, mujhe laga akele bore ho rahi hogi toh bas isiliye..."
Nanu cut her in between said sternly, "koi baat nahin par aage se dhyan rakhna iss baat ka.. agli baar shayad mein maaf na kar sakun, maine beti maana hai usse aur koi usse takleef de yeh mujhse nahin dekha jata.... achchha hoga agli baar se har function mein tum apni aankhen khol kar rakho, aur dimaag bhi..."

He left for his room angrily to take rest when Vishakha too joined after him, "Papa mujhe aap se kuchh baat karni hai.. " Nanu asked her to come inside to talk as he is really annoyed on Prabha's behavior ... Vivek too followed them...

Vishakha, "Papa dekhiye mein saaf saaf kah rahi hun, mein apne Sameer ki zindagi aise barbaad hote nahin dekh sakti... kya soch kar aapne uske liye Naina jaisi ladki ko pasand kiya.. maana dikhne mein sundar hai par hum itani badi kami najar andaaz bhi toh nahin kar sakte... yeh uski poori zindagi ka sawaal hai"...

Vivek tried to give some sense, "par Vishakha sach kahun toh Naina mujhe toh badi pasand aayi, aur Preeti bhi... achchhi ladkiyaan hai, aur Naina toh kaafi suljhi aur samajhdaar lagi mujhe.. do minute mein hi usane mera toh dil jeet liya... ek achchha life partner ki saari khubiyaan hai us mein aur sabse badi baat hai donon ke dusre se bohot pyaar karte hai... dekha tha kaise Sameer ne ek dum se usko sambhala bhi aur uska saath bhi diya sabke beech mein bhi..."

Vishakha, "haan ho sakta hai voh ho samajhdaar, par duniya mein achchhi ladkiyon ki kami toh nahin hai mere Sameer ke liye... aap donon ko pasand hai, usase hamdardi bhi hogi par iska matlab yeh nahin ki mein apne bete ki shaadi kisi apaahij ladki....."

"bas Mummy..." a loud voice came from their back cutting her in between, they turned & saw Sameer and Rohan was standing at the door glaring them..... "bas ab aur mein apni Naina ke khilaaf ek shabd bhi nahin sununga... sorry par galti shayad meri hi hai jo maine aapse ummid kari ki aap meri khushiyon ke baare mein sochegi... hamesha ki tarah aaj bhi aapne dil se nahin dimaag se soch kar ek practical faisla liya hai..."

Rohan said angrily, "dekha Nanu maine toh pehle hi kaha tha, in logon ko dil ki baatein nahin samajh aayengi.. koi jarurat nahin thi inhein Naina Bhabhi se milwane ki"

Vishakha tried to convince them, "tum donon abhi bachche ho.. duniyadari nahin samajhte isiliye yeh sab kah rahe ho... mein tumhari maa hun tumhare liye koi galat faisla nahin lungi... tum samjho meri baat ko.... yeh kuchh din ka josh hai jo jaldi hi thanda ho jaayega phir zindagi ek bojh lagane lagegi"..

Nanu interrupt, "Vishakha, yeh donon toh bachche hai par Naina ko maine Sameer ke liye usase bhi pehle pasand kiya tha.. tumhein kya lagta hai ki mein Sameer ki zindagi ke saath koi khilwaad karunga ya mujhe bhi sahi galat ki pehchaan nahin hai"..

Vishakha, "dekhiye papa mujhe nahin pata aapne kya soch kar yeh galat Rishta joda hai, par mein kabhi iss rishte ko manjoori nahin dungi... aur yeh mera aakhiri faisla hai.. aap chaahe mujhe galat samjhe ya sahi, aapki marji" saying this she left the room angrily giving a last glance to all, leaving all stunned...

Vivek also starts leaving following her, he turned & put his hand on Sameer's shoulder, "tum chinta mat karo... mein samjhaunga Vishakha ko, voh jaldi hi maan jayegi bas thoda waqt do... aur haan Naina bahut pyaari bachchi hai, mujhe achchhi lagi..... uska khayal rakhna..." he turned to Rohan and patted on his cheek, "aur Preeti bhi... tere liye bilkul perfect hai.." he left the room smiling looking at them...

They both looked at Nanu all disheartened, rushed to hug him tightly... Nanu assures them, "tum chinta mat karo, mein sab dekh lunga... par beta abhi Naina se kuchh mat kehna, usse dukh hoga"...

Sameer, "Nanu par hamesha mere saath hi aisa kyun hota hai... kyun Mummy ko meri khushiyaan nahin dikhti.. kyun voh ek baar hamari najaron se dekhne ki koshish nahin karti..." he cried hugging him tightly... Nanu caressed his head, "mein hun na .. tu kyun chinta karta hai.. tumhari khushiyon ki jimmedari meri hai aur jab tak mein zinda hun usse poori tarah se nibhaunga bhi.. mujhpar vishwas hai na tujhe"

Vishakha entered in her room followed by Vivek when they shocked to see her mother-in-law sitting there, "are mummy ji aap yahaan... kuchh kaam tha toh mujhe bula leti".

Dadi : Nahin voh mujhe Rohan ke baare mein kuchh jaruri baat karni thi... aaj usane apne doston se milwaya aur mujhe lagta hai ki Preeti achchhi ladki hai... vaise achchha hi hai, donon bhaiyon ki shaadi ek saath donon behenon se ho jayegi toh" she looked at Vishakha and smiled evilly...

Vishakha, "par Mummy ji mujhe Sameer ke liye Naina pasand nahin hai, haan agar aap chahe toh hum Rohan aur Preeti ke rishte ke liye taiyar hai.."

Dadi said showing fake concern, "nahin nahin.. aisa nahin kar sakte.. ab sab bachche ek saath hai... agar hum ek ko manjoori nahin de sakte toh dusre ko bhi Rishta todna padega na... donon hamare ghar ke bachche hai toh ek ko chhod kar dusra khushiyaan manaye yeh toh achchha nahin lagega... ek behen ko mana karke dusri ko agar haan kaha toh kabhi bhi voh hamare ghar ko dil se nahin apna payegi... isase achchha hai ki Rohan bhi apna rishta tod de Preeti se, ab bhai ke liye itna sa balidaan toh voh de hi sakta hai na, aakhir itna pyaar jo karta hai Sameer se"..

Vivek, "par mujhe nahin lagta in donon rishton mein koi problem hai... Vishakha thande dimaag se socho, aur jarurat hai toh ek baar tum akele Naina se mil lo na, mujhe yakeen hai tumhari soch badal jaayegi"... he again tried to convince her...

Vishakha said sternly, " mera faisla nahin badlega... aur aap logon ko lagta hai toh theek hai hum Rohan ko bhi mana kar denge, voh maan jayega, meri baat kabhi nahin taalega, par Sameer Naina ka Rishta kabhi nahin hoga"... she left room furiously..

Dadi smirked wickedly (in her mind) : chalo achchha hai ... mujhe kuchh karna hi nahin pada.. ab Rohan apne aap Sameer se dur ho jayega jab usse pata chalega ki Sameer ki wajah se uske rishte ke liye bhi manaa ho gaya... aur isi bahane voh middle class ladki bhi Rohan ka pichha chhod degi jab uski behen ka rishta Sameer se tutega... ek teer se kai nishaane lag gaye... ab Rohan ko vaapas laane mein mujhe jyada dikkat nahin hogi... sara bhaipana aur pyaar ka bhoot utar jayega uske sar se...

After a tiring and hectic, stressful day all slept early.. Sameer & Rohan were lying on their bed,

Rohan, "kya soch raha hai Sameer, chhod na... in logon se ummid toh pehle bhi nahin thi... ab pata chala kyun mein nahin chahta tha ki yeh log mile sabse... yeh yahaan aaye hi kyun yaar"

Before Sameer said anything, Dadi entered in their room, "beta tum log agar soye nahin toh kya mein aa jaaun andar".. they both sit back and looked at her surprisingly...

She showed her fake tears, "mujhe pata hai tum donon mujhe dekh kar khush nahin ho, par aaj mein tum donon se milkar, tumhara pyaar dekh kar jaan gayi hun ki mein kitni galat thi... mein bas yahi kehne aayi hun ki koi kuchh bhi kahe mujhe tumhari pasand se koi aitraaz nahin hai... mera aashirwaad hai tumhare saath hamesha... vaise mein kal subah hi ja rahi hun Mumbai toh baad mein milungi aur haan agar dil kare toh agli chhutiyon mein ghar aa jaana"... saying this she left room all smiling showing fake tears...

Rohan said irritatingly, "ab yeh kya naya naatak hai inka... inhein kya lagta hai ki hum bewkoof hai, jo inki meethi meethi baaton mein aa jayenge... yeh double game jo chal raha hai na mujhe sab samajh aa raha hai.... sach yaar ek se badkar ek dramebaaj hai hamare ghar mein... mujhe toh Mamiji aur Mummy pe hi itna gussa aa raha hai ki kya kahun... aaj jo bhi unhone Naina ke saath kiya, agar ghar mein function na chal raha hota toh usi waqt unhein jawaab deta..."

Sameer, "Rohan tu so ja mein thodi der baahar garden mein hun... man bahut kharaab ho raha hai".. saying this he left in garden to sit there alone staring moon...

Samer POV

Mujhe pata hai tum mere phone ka intzaar kar rahi hogi, par aaj tumse baat karne ki himmat bhi nahin juta paaya... kya kahunga mein tumse... hamesha ki tarah ek baar phir meri kismat mere saath naInsaafi kar gayi.. mein chahta tha kitumhein har Khushi dun, ek bhara pura parivaar, jahaan sab tumhein dil se apnaye, pyaar karein.. mein jaanta hun tum apni maa ko kitna yaad karti ho,mujhe laga mein apni mummy ke jariye thumhari zindagi ki voh kami poori kar doonga,par nahin... mein kaise bhool gaya ki jinhone mujhe kabhi dil se nahin apnaya voh tumhein kya pyaar dengi... kitna badkismat hun mein ki kabhi bhi mera pariwaar poora nahin ho pata... par chaahe kuchh bhi ho, ab mujhe farq nahin padta... mein tumhara saath kabhi nahin chhodunga, tumhare vishwaas ko nahin tod sakta mein...Nanu ne kah toh diya ki tumhein kuchh na bataau, par man nahin maanta tumse kuchh bhi chhupane ka, humne wada kiya tha har baat share karenge... vaise bhi aaj nahin toh kal tumhein iska saamna karna hi padega, kaise sambhalunga yeh sab, vaada kiya tha ki kabhi tumhare aankhon mein aansun nahin aane dunga aur aaj mere ghar mein hi tumhare saath yeh sab hua...ho sake toh mujhe maaf kar dena Naina... I am Sorry but I Love you so much Jaan.. 💘

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top