Raaz
Few weeks passed and all gets over with the accident and enjoying their college life with full of fun and masti.. but Sameer's concern and care for Naina increasing day by day... he always keeps a check on her every movement to assure she is safe.... Preeti starts her volleyball practice and Samundit starts Cricket practice as tournament is scheduled for next month....
Class was free so Samundit & Preeti went for practice... Swati & Priya were absent ... Rohan and Naina (both padaaku) were sitting in the class and preparing notes... after that accident Sameer always ensure that one of them should be always there with her and Rohan assured him to take care of her in his absence (pyare devarji)...
Rohan took a deep breath after completing notes : Naina, finally mujhe koi to apne jaisa mil gaya... sach bahut maja aata hai tumhare saath padne mein...
Naina said while laughing : same as here, baakiyon ko to dhakka maar maar ke padana padta hai.. chalo jaldi se hum notes bana lete hai phir tum inki copies karwa kar sab ko de dena.. sabki help ho jaayegi...
Rohan : Naina, mujhe to bhookh lag rahi hai... tum ruko mein yahin kuchh le aata hun hamare liye... lunch jab yeh log waapas aayegne tab sabke saath hi kar lenge...
Naina : Haan theek hai tum jao, mein yahin hu... Rohan left for canteen..
Sunaina enters and saw Naina sitting alone in room studying...
Sunaina sarcastically : To aaj tumhare saare bodyguard kahaan hai... tumhein phir akela chhod diya... lagta hai bore ho gaye honge tumse..
Naina replied angrily : voh sab mere dost hain, samjhi... aur mujhe nahin achchha lagta agar koi mere dosto ke khilaaf kuchh bhi kahe...
Sunaina with full of attitude : Toh tum kya kar logi... apne aap ko to sambhal nahin paati, auron ke liye kya ladogi...
Naina to avoid her stupid talks : dekho Sunaina, mujhe tumse koi baat nahin karni toh jaao yahaan se...
Sunaina with more frustration : Tumse baat bhi kaun karna chahta hai... Ms Fresher kya ban gayi Sameer ki madad se toh jyada udane lagi ho...
Naina : Sameer ka naam bhi mat lena apni jubaan se... bahut fark hai usame aur tum mein..
Sunaina : Pata hai kitna hero hai... voh toh usi din uski saari herogiri nikal jaati agar usaki jagah tum nahin aayi hoti storeroom mein...
Reality hit her mind, Naina : Iska matlab voh gunde tumhare baare mein bol rahe the... tumne yeh sab plan kiya tha Sameer ko nuksaan pahunchane ke liye... shame on you...
Sunaina : shame .. my foot... Sameer ki wajah se har baar mein tumse haar jaati hun... isiliye usse saja dena chahti thi... par khair chhodo, tumhein chot dekar bhi mera badla toh poora ho hi gaya... dekha tha maine kaise dhoondh raha tha tumhein paaglo ki tarah poore college mein ...... mujhe toh bada maja aaya un sabko aise rota hua dekh kar, aur tumhari band baja kar... Saying this she left the room laughing..
Naina was shocked to know the reality that Sunaina can stoop so low.. ek ladki hokar voh itna niche kaise gir sakti hai... Rohan entered in room and go to Naina.. he keeps the snacks on table and asked her..
Rohan gets angry but concerned for her, "Naina, are you okay.. maine sab sun liya... iss Sunaina ko to mein chhodunga nahin"
Naina : Nahin Rohan, promise me, tum kisi ko kuchh nahin bologe... jo hona tha voh ho chuka...
Rohan : Naina tum aise kaise is baat to chhod sakti ho... tumhein kitna dard hua tha... kitni chot lagi thi..
Naina : Dekho Rohan, jo hona tha ho chuka, hum usse badal nahin sakte, aur mein nahin chahti ki kisi ko bhi kuchh pata chale, hai kuchh kaaran ...
Rohan : Sorry Naina, mein aise chup nahin rah sakta... Sameer se to bilkul bhi nahin..
Naina : Mein Sameer ke baare mein hi soch kar yeh sab kar rahi hun... maine dekha tha Sameer ki haalat jab mujhe chot lagi thi... mujhse jyada takleef mein voh tha... voh bahut sensitive hai, apane dosto ke liye... jab se mujhe chot lagi hai voh har waqt darra hua sa rehta hai, ek pal ke liye bhi mujhe akele nahin chhodta..... bahut dinon baad ab kahin jaakar voh thoda relax huaa hai, par phir bhi har waqt meri chinta mein laga rehta hai, voh kehta nahin par mujhe pata hai, sab dikhta hai...... aur ab agar usse pata chala ki yeh sab usaki wajah se hua hai to voh aur bhi dukhi ho jayega.. apne aap ko kusurwaar samjhega... aur mein usse aise guilt mein nahin dekh sakti...
Rohan : Naina, itna sab ho gaya tumhare saath aur tumhein abhi bhi Sameer ki chinta ho rahi hai...
Naina : Kyun nahin hogi... voh hai hi itna achchha, ek sachcha dost.. mein usse udaas nahin dekh sakti... aur tum bhi wada karo ki tum usse nahin bataoge...
Rohan : voh to theek hai par Sunaina ka kya bharosa.. phir kuchh kiya toh..
Naina : hum saare dost saath hai toh voh kuchh nahin kar payegi... will handle her..aur ab to humein pata bhi hai ki kaun kitna galat hai toh ....now we will be more careful..
Rohan : Naina, Sameer tumhare baare mein sahi kehta hai.. ki tum sabse alag ho... apne baare mein chhod kar sab ki chinta karti ho... You are The Best
(in his mind: aur mujhe Khushi hai ki tum mere bhai ki zindagi mein ho, uska har kadam par saath dene ke liye, jo pyar ki kami usse bachpan se rahi hai, use tum poora kar dogi, apne saath se, apne pyar se)
Naina: ab jyada mujhe mat chadao aur promise ki tum Sameer ko kuchh nahin bataoge...
Rohan : Promise... (naughtily) par tum bhi wada karo agar bhai ko pata chala toh tum hi unke prakop se mujhe bachaogi... gusse mein voh sirf tumhari hi sunega...
They both were laughing when all others joined them..
Sameer : Kis par joke maar rahe ho donon jo itni hasi aa rahi hai...
Rohan : Bhai hamara to favorite topic tu hi hai... teri hi taarif ho rahi thi...
Sameer (irritatingly) : Taarif ya mera majaak uda rahe the... tumhari shakalon se to lag raha hai meri khichai kar rahe the...
Rohan (dramatically): ab kya karen aapke bina hum donon ka dil hi nahin lagta (whisper in his ear) kisi khaas ka to bilkul nahin...
Sameer hit him on his shoulder, to avoid his leg pulling and to keep him quiet, he offered all to go to canteen as they all are very hungry.
In Canteen, all were settled but Mundit were seems quiet as missing Swati & Priya...
Sameer put his hand on Munna's shoulder, "Yaar Munna, aaj Swati nahin aayi isliye tu udaas hai samajh aata hai, par yeh ponga ko kya hua hai... Samose ko ghure ja raha hai, khata hi nahin" Munna too looked at him and giggled, "lagta hai iska pet kharaab hai"...
Naina, "kya tum log itani der se bechare Pandit ko chida rahe ho... dekho kitna udaas hai aaj", she leaned to Sameer, whispers, "tumhin nahin lagta jaise yeh kisiko miss kar raha hai"... Sameer looked at him and said, "lag toh raha hai... koi baat nahin pata kar lenge" he turned his face to her and smirks, "vaise bhi pyaar aur Khushboo chhupaye nahin chhupati"..
Rohan (in his mind) "yaad toh mujhe bhi kisi ki aa rahi hai, par pata nahin meri hawa hawai kahaan gaayab hai... jab dekho ghode par sawaar rahti hai, yeh nahin ki aaye aur kuchh der doston ke saath baithe" then only Preeti too joined then and settled beside Naina.
Preeti; yaar jaldi se kuchh khila do bahut bhookh lagi hai, aur thak bhi gayi hun...
Rohan forward his plate to her, "yeh lo tum ismein se le lo... mein aur manga lunga".. Preeti took the sandwich from his place and starts eating...
Sameer whispers in Naina's ear, "aaj suraj kahaan se nikla hai... har taraf pyaar ki khushboo hi Khushboo phail rahi hai lagta hai"... the both laughed making others confused...
Munna showing fake anger : yaar ek toh Swati aaj aayi nahin uppar se tum log pata nahin kya ek dusre ke kaan mein baatein karte rehte ho...
Rohan, "haan yaar, mujhe bhi bore lag raha hai.. kyun na aaj shaam ko movie dekhne chale..kyun Sameer kya khyal hai".. they all decided to go for movie in evening..
Preeti, "Naina hum bhi papa se baat karenge movie ke liye... bada maja aayega... kitna time ho gaya hum ne theatre mein koi movie nahin dekhi".. Naina hesitantly looked at her to avoid topic, "chhod na... kisi aur din sochenge... chal jaldi se kha, class ka time bhi ho raha hai"...
They finish their lunch and after classes allheaded to their home...
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top