Duniya

After playing with kids, Sameer came back and sits with her, panting heavily, "yaar yeh bachche toh kitna achchha khelte hai... thaka diya mujhe bhi...."she offered him water and he gulp it in one go.. "Thanks Naina... par tumne bataya nahin kaise janati ho in sab ko"...

Naina, "Sameer yeh jo didi hai inka naam Meghna hai, hamari hi society mein rehti thi... pata hai college mein inhein ek ladke se pyaar ho gaya tha, thoda manane par gharwale shaadi ke liye maan bhi gaye par shaddi wale din voh ladka Mumbai bhaag gaya, hero banane ke liye, kah ke ki voh shaadi nahin kar sakta abhi... aur in sab ka iljaam sab ne Meghna didi ko diya ... Samaaj ne inko, aur inke ghar walo ko itne taane diye aur majboor kiya ki didi ko ghar se nikaal diya jaaye.. inki do chhoti behen aur bhi hai, aur unki zindagi na kharaab ho isliye didi ne apna ghar chhod diya aur iss aashram mein aa gayi.... pyaar donon ne kiya par saja saari sirf ek ko hi mili" tears rolled out on her cheeks.... he too feel his eyes numb...

Sameer, "par didi toh padi likhi lagti hai phir kahin achchhi job kyun nahin kar leti"... Naina smiled, "Sameer hamare samaaj mein ek akeli ladki ke liye koi jagah surakshit nahin hai... usaki koi ijjat nahin hai.. uska koi samman nahin hai... kam se kam yahaan in anaathon ke beech voh khush hai... jinka koi nahin unke liye kuchh kar paane ka ehsaas ek alag hi Khushi deta hai... mein pehle yahaan aksar aati thi, in bachchon ko padane, inke saath khelne..... ek saal jab tum yahaan nahin the aur jab bahut udaas hoti thi toh inke muskurate chehre dekh kar saara gam bhool jaati thi... inhone bahut saath diya hai mera akelepan se ladne ke liye... tumhare bina, phir accident ke baad mera yahaan aana bahut kam ho gaya, ek do baar bas Chachaji ke saath yahaan aa jaati thi, toh socha aaj tumhein bhi lekar aaun apni ek alag si duniya mein.. aur vaise bhi aaj ki achievement mein tumhare aur inke saath baatna chahti thi"

Sameer looked at her appreciatively, "Naina sach tum bahut achchhi ho.. apne dard ko bhool kar kisi aur ke liye kuchh karna... isake liye bahut bada dil chahiye.. sorry meri wajah se tumhein ek saal akele rehna pada... tumhare saath nahin tha, tumhara dard baatne ke liye" he wiped her tears, "par ab ek bhi aansun tumhari aankhon mein nahin dekh sakta" he looked at the kids, "ab se mein bhi hamesha tumhare saath yahaan aaya karunga, inke chehre pe yeh hasi kitni pyari lagti hai... aaj se mein is duniya mein bi tumhare saath hun.. hamesha ke liye... vaise bhi bohot sukoon mila aaj inke saath waqt bita kar..."

Didi joined them back and Naina handed her the balance gifts and sweets to distribute to all..

Naina, "didi hum chalte hai.. agli baar jaldi aaungi aapse milne, abhi college jaana hai na" she turned and saw Sameer was missing, "are yeh kahaan chala gaya"... she saw him coming back from the gate running towards her and forward a cheque, "Didi yeh meri taraf se chhota sa donation hai.. aur mera vaada hai ki mein bhi ab se Naina ke saath yahaan hamesha aaunga... in bachchon ko paise ke saath saath pyaar ki aur hamare saath ki bhi jarurat hai"... they both bid goodbye to Meghna didi and left for college...

Sameer, "Naina tumhein pata hai jab maine do mahine training ki thi toh Nanu ne hum sabko salary di thi... tab se isse apne paas sambhal kar rakha tha, samajh nahin aa raha tha ki kahaan kharch karun kyunki saari jarurat toh Nanu vaise bhi poori kar dete hai... par aaj bahut khushi hui us paise ko yahaan donate kar ke... voh bhi tumhari wajah se... thank you so much mujhe yahaan laane ke liye.... kyun na hum apne sab friends ko bhi yahaan laaye... bachchen bhi khush ho jaayenge"... she agreed on the proposal, "haan yeh idea achchha hai... hum agli baar sabko lekar aayenge".....

They came back college and shared their idea of visiting to aashram next time with them which all likes so much, Preeti teased her, "Naina mujhe toh tune aaj tak nahin bataya, aur na hi leke gayi, aur Sameer ko itni jaldi ... theek hai behen.. ab toh bas Sameer hi Sameer hai na... hum toh kuchh nahin" she showed her fake tears, "Preeti mera dard bhi tere jaisa hi hai... yeh mera bhai bhi paraya ho gaya hai jabse Bhabhi mili hai" Rohan added too showing fake tears...

Samaina, "yaar kitni nautanki karte ho donon... bilkul perfect ho ek dusre ke liye"...

Rohan : achchha chalo abhi class ka time ho gaya hai varna JBR class mein nahin ghusne dega...

They all stood and move towards gate, realized someone is missing... they turned and saw Samaina were still sitting on their place and looking at each other, lost in each other...

They all came back them, Rohan wave his hand in front of their faces, but nothing works .... Munna jerked Sameer slightly but no response... Swati coughed but no response... Pandit called them "bhai hosh mein aa ja" but still no response....

Preeti came and stood between them and shout loudly, "Nanu aap yahaan aaiye aaiye"... their trance broke with a jerk and they both looked here and there for Nanu... all burst into laughter seeing their scared faces...

Sameer irritatingly, "kya hai.. kyun battisi dikha rahe ho.. aisa kyaa hua hai".. Preeti hold her laughter, "kuchh nahin mere pyaare Jijaji... bas voh kya hai na ki agar aap itna jyaada meri behen ko ghuroge toh kahin voh gaayab hi na ho jaaye ek din"... Naina lowered her eyes feeling shy...

Rohan, "ab chalo Mr Majnu... baaki ki Aashiqui class mein kar lena... vaise bhi padai toh tujhe karni nahin hai, usake liye toh meri topper Bhabhi hai na... course ke saath saath pyaar ka paath bhi pada dengi"... with lots of teasing and laughter, they all headed to class whereas two pairs of eyes were seeing them with full of jealousy and anger..

Sunaina, "iski wajah se ek toh mera plan flop ho gaya aur uppar se Karthik ne bhi itna daanta hai, badi mushkil se vaapas usey apna dost bana paayi hun... apni beizzati ka badla toh mein lekar hi rahungi"

Mitali, "chhod na yaar... saare plan toh flop ho jaate hai... uppar se izzat aur kharaab hoti hai... vaise ek baat bata, tu Karthik se pyaar nahin karti aur tu ne uska proposal bhi thukra diya, phir kyun sorry kah kar usey manaya vaapas dosti ke liye..."

Sunaina with cunning smile, "tu nahin samjhegi... mein itni hot aur beautiful hun, Sameer toh vaise bhi mujhe chance nahin deta, ab agar Karthik ko bhi chhod deti toh kya izzat rah jaati meri... dost hi sahi par kam se kam ek rich good-looking ladka toh hai hi na voh.... Vaise tu yeh sab chhod aur kuchh dhaansu sa idea soch iss behenji ke liye... bade par nikal aaye hai isake.." Mitai again tried to convince her, "rehne de na yaar... maine suna tha Preeti ko Swati se baat karte ki donon ek dusre se pyaar karne lage hai aur Sameer ne toh Naina ko propose bhi kar diya hai aur usane accept bhi... ab shayad hi hum kuchh kar paaye inhein alag karne ke liye....." Sunaina still smirked evilly, "itni aasaani se toh nahin... mauka toh mein dhundh kar hi rahungi... jo aasani se haar jaaye voh Sunaina Parekh toh nahin ho sakti..."

After two continuous lectures, day gets over and they all headed to left for home..

Sameer: Naina kuchh der aur ruk jaao na please... ghar jaakar tumhari bahut yaad aati hai.... bohot akela feel hota hai.. sab hote hai phir bhi man nahin lagta...

Naina, "Sameer aur der tak nahin ruk sate... tumhein pata hai na taiji ka, unhein toh bas mauka chahiye humein sunane ka aur phir hamari wajah se bechari chachiji ko bohot sunana padta hai... raat ko phone par baat karenge, aur phir kal toh milna hi hai.."

Sameer looked into her eyes lovingly, "kya yaar Naina.. tumhein pata hai us kal mein abhi ek poori shaam aur ek raat bhi hai... mein kaise rahunga tumhare bina... hum log Mount abu mein hi achchhe the na... na ghar jaane ki jaldi na milne par kisi ki pabandi... saara din aur saari raat saath saath.. bas tum aur mein..." Naina turned red feeling his intense gaze on her, thinking their romantic moments...

Preeti showing fake anger, "Yaar yeh tota-maina phir shuru ho gaye... please jijaji jaane do humein, kal mil lena apni maina matlab Naina se..." saying this she holds her hand and move outside to board rickshaw...

They both waved to each other and left for their homes with heavy heart..

In night, Sameer called Naina, as always both greet at same time: Hello...

Sameer: Naina tumhein pata hai, kitne ghante beet gaye tumhari awaaj sune huye... mujhse toh ab ek pal bhi nahin raha jaata...

Naina laughed: tum na poore paagal ho... aise karoge toh sab kitna chidayenge, pata hai na... subah college mein sab kitna hans rahe the hum par...

Sameer, "yeh log toh paagal hai.. poore pyaar ke dushman... achchha suno tumse kuchh puchhna tha"

She felt something bothering him so much, "aisa kya hai jiske liye tumhein permission leni pad rahi hai"

Sameer, "Naina aaj jab hum aashram gaye the, aur tum Meghna didi ki kahani bata rahi thi, mujhe tumhari aankhon mein ek alag si pareshaani, ek darr sa dikha.. Naina tumhein mujhpar vishwas hai na ki mein tumhara saath kabhi nahin chhodunga... kam se kam jab tak meri saansein chal rahi hai... mein".. she cut him between, "Nahin Sameer, mujhe tumpar poora vishwas hai, khud se bhi jyada... mujhe pata hai tum mera saath kabhi nahin chhodoge aur na hi mein" a contented smile spread on their lips....

They both disconnect the call after talking some more time heart to heart and sleep with a peaceful smile on their faces...

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top