Dil ka dard

Kehte hai kah dene se dil halka ho jata hai.... aaj Sameer ne apna dil, apna dard sab Nanu ke saamne khul kar rakh diya, jiska Nanu kab se intzaar kar rahe the... 

Nanu : Mujhe nahin pata tha ki tu apne dil mein itna dard liye ghumta hai, aur tere chehre ki yeh muskaan.. tune kabhi jaahir hi nahin hone diya... kaise kar leta hai tu yeh sab...

Sameer : aapse hi to sikha hai ki apne se pehle apno ke baare mein socho... aur mere liye duniya mein aapse badkar koi nahin hai...... aapke liye toh mein duniya ki koi bhi khushi chhod sakta hun, phir us waqt toh mujhe khud hi iss rishtey ka poora ehsaas nahin tha.. kuchh bhi clear nahin tha tab tak... bas itna yakeen tha ki usake alawa kisi aur se zindagi bhar pyaar nahin kar paunga...

Then Sameer narrates further about his first meeting with her in college, "pehle to voh mujhe dekh kar avoid karti rahi, phir mujhe pata chala usake accident ke baare mein... mein chahta to tha ki pehli mulaqat mein hi mein usse apne dil ki baat bata dun jo kab se meine chhupa rakhi thi, par usaki udaasi, usaki voh khamoshi, jaise voh sirf dusaron ki Khushi ke liye hi hasti hai, apne baare mein, apne sapnon ke baare mein toh voh sab bhool hi gayi hai, yeh sab dekh kar himmat hi nahin hui... bahut mushkil hui khud ko rokne mein, par mujhe laga shayad yeh sahi waqt nahin hai usse sab batane ka, isiliye maine usse pehle dosti ki.. taaki mein usake dil mein, uski zindagi mein apne liye jagah bana saku, usse hasna, khul kar jeena sikha saku, apne liye sahi faisle lene ki himmat de sakun...

He sighed heavily, "pata nahin mein kitna kamyaab hua hu par abhi bhi bahut kuchh hai jo usaki aankhon mein dikhta hai par samajh nahin aata... ek dard sa hai, ek khamoshi si hai... chah kar bhi mein ab tak us mukaam par nahin pahuncha hun jahaan mein khul kar usse apne dil ki baat bata sakun...

Nanu : Sameer tujhe pata hai, tu meri zindagi hai, meri jaan hai... vaise toh Vishakha meri eklauti santaan hai jise maine bahut laad pyar se paala, usake har armaan poore kiye, par phir bhi agar koi mujhse puchhe ki mein tujh mein ya Vishakha mein se kisse jyada pyar karta hun to mera jawaab tu hoga... par sach kahun to aaj mein Naina se bhi bahut pyar karta hun... aur mein bilkul bardasht nahin kar paaunga ki koi bhi, kisi bhi wajah se us bachchi ko dukh de... tu bhi nahin.... Mein kabhi maaf nahin kar sakunga agar tune usse koi dukh diya toh...

After a pause, "Ek baat apne dil par haath rakh kar bata ki kya sach mein tu Naina se sachche dil se pyaar karta hai... usse apnayega iss haal mein bhi.... kahin kuchh kadam chal kar tera pyar kamjor toh nahin pad jayega... kyunki pyar hona, uska ikraar karna ek baat hai, par usse poori zindagi nibhana, saath chalna alag baat hai... voh pehle hi bahut toot chuki hai, andar se kamjor hai.. par usaka dil ek sachche moti ki tarah hai... sambhaal paayega zindagi bhar usako"

Sameer put his hand on Nanu's head and said, "Nanu aap jante ho mere liye aapse bad kar koi nahin aur aaj mein aapki kasam kha kar kehta hun ki zindagi bhar Naina ka saath kabhi nahin chhodunga... chaahe kuchh bhi ho jaaye.. mujhe dukh jarur hota hai usake haalat ke baare mein soch kar par ek pal ke liye bhi mera pyaar kam nahin hua... aur ab toh jitna mein usse janane laga hun, din ba din mera pyar badta hi jaata hai...

mein manta hun maine aaj tak usse apne dil ki baat nahin kahin toh usaki wajah sirf yahi hai ki mein chahta hun ki voh khud apne dil se mujhe aur iss rishte ko qubool kare... na ki yeh soche ki mein uspar koi taras khaa raha hun ya ehsaan kar raha hun... mein chahta hun ki voh khud aage badkar hamare iss rishte ko naam de, duniya se ladna bhi pade toh darre nahin... mera pyar usse itani himmat de ki voh apni ladai khud lad sake, mere bharose nahin...

Nanu pulled him in his embrace and caressed his head, "mujhe garv hai tujhpar Sameer, aaj mujhe poora vishwas ho gaya ki tu kabhi uska saath nahin chhodega......

Sameer replied with confidence : Kabhi nahin Nanu... marte dam tak nahin.....

Nanu smiled and patted on his cheeks and said, "vaise ek baat bataau sach sach, mein toh hamesha se Naina ko hi teri Jeevan saathi banana chahta tha par jab mujhe laga ki tu kisi aur ko pasand karta hai toh mein chup ho gaya... dukh toh bahut hua par teri Khushi ke aage maine apne dil ko mana liya.... Par sach kahun aaj subah jab mandir mein tum donon ek saath bhagwan ke saamne khade hokar aashirwaad le rahe the toh laga ki mera pariwaar poora ho gaya ho... mera sapna.. par beta ab bata bhi de na usse, aur kitna intzaar karega... apne dil ki baat aise chhupana sahi hai kya voh bhi usase jo tere dil ke itane kareeb hai...

Sameer shyly : Bahut jaldi bata dunga... bas thodi der aur... mujhe bhi uss din ka besabri se intezaar hai...

Nanu kissed on his forehead, "Jeeta rah aur donon hamesha khush raho... chal ab jaa aur so jaa.., usake sapne bhi toh dekhne hai poori raat" he chuckled and tease him...

Sameer make a cute face like a baby : Nanu... kya aap bhi na... usse toh itane pyar se baatein karte ho aur meri taang khinch rahe ho.. not fair... ok good night mein ja raha hun... aap so jao...

Sameer gets up and leaving the room when suddenly he turned and ask, "Vaise Nanu aapne bataya nahin, voh aaj itani upset kyun thi... sorry par maine dekha tha voh ro rahi thi aur usane aap se koi waada bhi liya tha... kisi ko kuchh na batane ka... voh sab kya tha"

Nanu said lovingly, "barkhurdar ab agar pyaar khud kiya hai toh raaste bhi khud hi nikalo... thodi toh mehanat karo...... haan mein ek salaah de sakta hun ki jab tak tu usake dil se saare dard nahin mita deta, jab tak voh khul kar tujhe khud sab apni takleef nahin bata deti, tab tak usake dil mein apane liye jagah nahin bana paayega ...... pehle uska dil dard se khaali hoga tabhi toh pyaar ko jagah milegi.. samjha na... dekh maine toh usase wada kiya hai isliye kuchh nahin bata sakta.. tu khud hi puchh na usse....

Sameer pouted, "haan haan theek hai, abhi se sab uski taraf ho jaao... ek voh Rohan, Munna Pandit hai, saare bakwaas idea dete hai aur ab aap ne bhi haath khade kar diye... koi baat nahin, mein khud hi akele sab kar bhi lunga aur usse mana bhi lunga... dekh lena...

Nanu laughed and tease him more, "par dhyan se, meri beti ko koi takleef nahin honi chahiye, varna bachpan mein to nahin par ab tujhe murga banane mein mujhe der nahin lagegi.. samjha... chal ab jaa aur mujhe sone de... tu toh naya naya aashiq hai tujhe thodi na neend aayegi".. he laughed, laid down switching off the side lamp ...

Sameer left the room smiling and thinking, "ab jaldi hi kuchh karna padega...... aisa lag raha hai jaise sab ke sab uski team mein hi hai... dhang ka idea toh koi deta nahin bas har koi dhamki deta rehta hai ki usko koi takleef nahin honi chahiye... ab bhala mein usse pareshaan kar sakta hun kya, in logon ko kaise bataun ki meri jaan hai voh, usse toh sabse jyada hifajat se rakhunga mein... par yahaan meri toh kisiko padi hi nahin hai... bas ek baar voh meri ho jaaye dekh lunga tab in sabko... paas bhi nahin phatkane dunga usake.... Bade maje se kah diya ki so jaao, ab kya bataun ki jagti aankhon se sapne dekhni ki itni aadaat ho gayi hai ki neend bhi nahin aati "

Jis Din Sapno Me Unka Didaar Ho Jata Hai, Us Raat Sona Bhi Dushwaar Ho Jata Hai,

Marta Hai Koi Hum Par Bhi, Ye Soch Kar Apne Aap Se Pyaar Ho Jata Hai

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top