Akelapan

Next day morning Naina woke up early and went to mandir.. aaj ka din bahut important he.. ek to aaj result aana he aur dusra itane dinon baad Sameer se bhi milna hai......

She came back from mandir and help Chachiji in Kitchen.. after some time, they both left for school...

Preeti : tujhe to jaldi hogi hi na.. ek to result aa raha hai aur doosra ... kisi se mulaqat bhi to honi hai...

Naina : Tu na maar khayegi.. mein pehle hi itani nervous hun aur tu hai ki bakwaas hi band nahin karati.. ab jaldi chal.. voh aa gaya hoga ab tak...

Preeti : achchha ab samajh aaya... isiliye daily voh Munna Pandit ke saath parking stand mein hi khada hota tha.... Madam ji ke didaar ke khaatir.... Kya baat hai...

Naina : Preeti... tu chup karegi... aur meri Maa.. apna vaada yaad hai na.. kisi ko bhi nahin shaq hona chahiye ... samjhi

They both reached school but got disappointed that no one was there at Parking today...

Preeti seeing her sad face tried to console her "Tu dukhi mat ho... shayad andar hoga... chal jaldi se Assembly hall mein chalte hai... result declare hone wala hai"

Naina with heavy heart, moved to hall with Preeti... Munna was sitting with Pandit and was quite sad as compare to other days...

Preeti (in his mind): Yaar ye to Mr India hi ho gaya... yahaan bhi nahin hai... ab kya karen... meri Meena Kumari to mar hi jayegi ro ro kar ......

Shanti Madam : Students, lets announce the result for class XI... and first position is from section "A" – Naina Agarwal... everyone claps for her... but she was not even feeling like to smile.. then she announces all other achievements and like last year Student of the Year award also goes to Naina Agarwal...

Everyone cheered up being promoted to next class and congratulate each other..

In Delhi hospital...

Sameer : Nanu aapki dawai ka time ho gaya hai... aur phir aapko rest bhi karna hai...

Nanu after taking medicine: Sameer, idhar aa, mere paas baith...

Sameer : Kya hua Nanu.. are you okay... doctor ko bullaun..

Nanu : arey nahin baba.. mujhe tujhse kuchh baat karni hai... idhar aa mere paas...

Sameer sits beside him... Nanu caressed his head with love and said : ab tu bata tu kaisa hai... kitne dinon se itani bhaag daud kar raha hai... apne shakal dekh, kaisa bimaar lag raha hai.. aur Aankhen dekhi hai, kale gaddhe padane lage hai abhi se... aisa raha to meri bahu ko main kya jawaab dunga...

Sameer smiled a bit and hug him back.. tears rolled out from his eyes which he was holding for so many days ... Nanu, mein bahut darr gaya tha... laga phir se duniya mein akela ho jaunga...

Nanu lovingly hit on his head : Paagal mein kabhi tujhe chhod karkahin ja sakta hun.... tujhe pata hai na tu hi to meri taakat hai... aise kamjor padega tu toh mujhe kaun sambhalega.. chal ab hans ke dikha... itane din ho gaye tujhe khul ke hansate huye dekhe... aur haan aaj to tera result bhi aane wala tha.. kya hua

Sameer : Haan, voh maine Munna ko phone kiya tha.. mere 78% marks aaye hai...

Nanu : arey wah... phir to party honi chahiye... ek baar hospital, dawaion ki badbu se nikal jaaye phir tujhe Delhi ke best restaurant mein lekar jaunga...

Sameer concernedly : Nanu, nahin jab taka ap poori tarah se theek nahin ho jaate hum kahin nahin jayenge..

Nanu : Achchha baba... Tu jeeta mein haara... ab sun mujher tujhse ek baat karni hai... abhi doctor ne mujhe kuchh manihe yahin rehne ko bola hai... to mein soch raha tha ki tera admission is saal ke liye yahaan Delhi mein hi karwa doon.. nahin to tera saal kharaab ho jayega aur mein akele tujhe vahana nahin bhej sakta......

Sameer (hiding his emotions) : Koi baat nahin Nanu.. jahaan aap vahin mein, meri khushi sirf aapke saath hai... mujhe koi dikkat nahin ... chalo ab aap so jaao, bahut baatein kar li ... aaj ka quota khatm...


After Nanu drift into sleep, he went towards window and looking outside.......

Sameer POV...

Aak ek baar phir mein apni kismat ke haathon haar gaya... jab chhota tha to papa ke saath kitni masti kitna enjoy karta tha, phir voh mujhe chhod kar chale gaye... mummy bhi mujhe chhod kar Delhi aa gayi aur apni nayi duniya mein kho gayi... maine kabhi unse koi shikayat nahin ki par hamesha dil ke kisi kone mein ek khaalipan sa mehsoos hota tha... phir Nanu ne mujhe apne paas bulakar mere dil ke har kone mein pyar bhar diya, munna pandit jaise dost mile jo har dukh sukh mein hamesha mere saath khade rahe..... aur phir meri zindagi mein aayi Naina --- ek ankahe, anjane se ehsaas ke saath, meri zindagi ko rangeen karne, usne mujhe khwab dekhna sikhaya, laga uski aankhon mein doob kar manjil pa lunga, aaj phir ek baar apni khushiyon se dur ho gaya hun, lag raha hi jaise sab kuchh ret ki tarah mere haath se phisal raha hai... aaj phir ek baar mein sabse dur akela ho gaya hun....pata nahin mera yeh imthaan kab khatm hoga... aur kitna mujhe iss akelepan ka bojh uthaana hai......

Phir se sab chhut gaya, mera shehar, mera ghar, mere dost, meri Khushiyaan aur aur meri Naina... shayad kismat ko yahi manjoor tha isiliye hum paas aakar bhi kabhi paas nahin ho paaye... shayad meri kismat mein hi usaka saath nahin tha..... pata nahin ab kabhi usse dekh bhi paunga ya nahin.. shayad usake liye yehi sahi hoga.. kuchh dinon mein voh mujhe bhool jayegi aur apni duniya mein kho jayegi... par mere dil mein, dhadkan mein, zindagi mein usake siwa na koi aaya hai aur na koi aayega... shayad tumse yeh kabhi na kah paaun par tumhare siwa kabhi kisi aur ko bhi yeh nahin kahunga.. I Love You Naina...

Wafa Ka Rang Jo Gahera Dikhayi Deta Hai,
Lahoo Usme Kuchh Humara Dikhayi Deta Hai,
Humara Gham Se Talluk Bahut Purana Hai,
Humara Dard Se Rishta Dikhayi Deta Hai.

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top