23-Shivaay's Birthday

At Night,

Annika's house,

Annika came back from office all tired.

Gauri-"Why are you late today Di?"

Annika-"Pending work tha bahut Gauri. Chal ab I am hungry. Dinner krte hai."

G-"Ok. Chalo."

After dinner,

G-"Di,you know kal kya hai?"

A-"Kya hai?"

G-"Shivaay bhaiya ka birthday."

A-"What? Kal Shivaay ka birthday hai?"

G-"Yup"

A-"Mujhe toh bataya bhi nhi unhone. Aaj office aaye the."

G-"Di, nhi batana chahte honge. Aur kal aapko Oberoi Mansion ana hai."

A-"Kyu?"

G-"Are kyuki bhaiya ke liye party hai na."

A-"Ok. But mujhe kisine bataya nhi ki party plan krni hai."

G-"Di aapko party plan krne nhi bulaya hai. Bas ghar ke logo ke liye party hai."

A-"oh... ok"

G-"Toh aap aa rahi hai na kal?"

A-"Of course. But ab Shivaay ke liye kuch gift lena padega."

G-"Haa"

A-"Kya lu?"

G-"Aapke friend hai na. Toh aapko hi pata hoga ki unhe kya accha lagta hai.."

A-"Par phir bhi , kya gift du? Bata na Gauri."

G-"Di, aap khud decide kro. Akhir gift toh aapki choice ka hona chahiye na?"

A-"Ok. Me kuch sochti hu."

G-"Haa. Aur kal office se jaldi aana . Phir hum jayenge OM."

A-"Are ek kaam kr tu jaldi ja na. Teri waha jaroorat hogi. Me aa jaungi baad me."

G-"Nahi. Me aapke saath hi jaaungi. Ek kaam krte hai, me aapke office aati hu. Aur phir hum vahi se hi chale jaayenge,ok?"

A-"Ok baba. Ab chal so ja. Bahut raat ho chuki hai."

G-"Ji aur aap?"

A-"Haa. Mein thodi der me so jaati hu. Tu jaa. Good night."

G-"Ok, but jaldi so jana. Kal office hai na,good night."

Annika nodded and Gauri left from there.

Oberoi Mansion,

All were discussing about tomorrow's party when Shivaay came home.

Shivaay-"Hello everyone. Kya ho raha hai yaha?"

Rudra-"Aapke birthday ki planning."

S-"Kya?? I mean kyu?"

Pinky-"Kyu ka kya matlab hai? Kal birthdays hai na tera?"

S-"Haa I know,but mujhe koi bhi celebration nhi chahiye."

Bhavya-"Are par Bhaiya hum toh....."

P-"Shivaay hum log tere liye party rakh rahe hai."

S-"Mom I said na ki I don't want any party. Please ab aap sab iss baat ko lekar argue mat kro. Mujhe mera birthday manana hi nhi hai. Ab iss bare me koi baat nhi hogi. Me change krke aata hu."

      He said and left from there. All looked at each other sadly. Om gets a phone call.

Om-"Haa Gauri."

G-"Omkara ji , Di kal aane ke liye ready ho gayi hai."

O-"Are par ab Shivaay hi....."

G-"Ab kya hua? Shivaay bhaiya ne kuch....."

O-"Gauri,kuch nhi. Tum aur Annika bhabhi time pe aana kal.
Me yaha sab dekh lunga."

G-"Ok. Bye. Good night."

O-"Bye. Good night."

    He smiled and cuts the call.

P-"Oh my Mata Om , tune Gauri ko kyu aane ko bol diya? Suna na Shivaay ne kya kaha."

O-"Don't worry choti maa. Ab dekhna kaise Shivaay party ke liye ready hota hai."

P-"Means??"

O-"Choti maa just wait and watch. Rudy are you ready?"

    Om said and winked at Rudra. Rudra smiled and said yes.
    Shivaay came there after changing clothes.

S-"Chalo dinner krte hai."

R-"O, ab kya kre? Kaise bataye ki party nhi ho rahi."

    Shivaay looked at Rudra confused.

O-"Haa Rudy ab kya kre? Batana toh padega na."

R-"Par unhe kitna bura lagega , hai na."

O-"Haa,par ab krna....."

S-"Ek minute, what are you talking about. Yaha kisiko kuch samajh nhi aa raha hai. Nhi aa raha na?"

    He asked all others but the nodded in negative. 😂😂

S-"Matlab sabko samajh aa raha hai ki yeh dono kya bol rahe hai?"

      All nodded in positive.

S-"Om , Rudy batao kya hua hai."

O-"Actually na Shivaay kal tera birthday hai na toh humne party rakhi thi aur....."

S-"Om maine kaha na ki koi party nhi. Ek baar bola hua samajh me nhi aata kya tum logo ke?"

R-"Hume toh aata hai par unhe kaise bataye....."

S-"Kise kya bataye?"

P-"Actually Shivaay, humne Annika ko invite kiya tha kal ki party me liye....."

R-"And you know what, bhabhi kitna excited thi kal yaha aane ke liye."

O-"Par ab kya kr sakte hai Rudy. Jaane do. Me abhi Gauri ko call krke batata hu ki party cancel ho gayi hai." 😂

    Om was about to call Gauri but Shivaay snatched his phone.

O-"Kya hua Shivaay?"

R-"Bhaiya batane do na Om ko. Haa bhabhi ko bura lagega but ab kya kr sakte hai,hai na?"

S-"Kisiko bhi bura nhi lagega and kisiko call krne ki jaroorat nhi hai."

O-"Kyu?"

S-"Kyuki hum kal party kr rahe hai."

P-"Oh my maata, sach Shivaay?"

S-"Yes mom."

O-"Yeh hui na Ishqbaaaz Shivaay wali baat."

S(smiled)-"Annika yaha aane ke liye me kuch bhi kr sakta hu."

R-"Yeh hui na baat, chalo ab khana khate hai."

    All had their dinner and left to their respective rooms.

At 12 AM,
      Shivaay was sitting at the pool side and was busy in work. Rudra and Om came from behind.

R-"Shsh..... Kuch mat bolna"

O-"Ok"

    Rudra and Om came near Shivaay. Shivaay was so engrossed in his work that he didn't realize that Om and Rudra were standing behind him.
    Rudra came near Shivaay's ear and shouted,

R-"Happy Birthday bhaiya...."

    Shivaay got up from his seat all shocked and looked at them. He was so shocked.

S-"Rudy, are you mad? Itna kyu chilla rahe ho?"

R-"Because its your birthday."

    Rudra said happily and hugs Shivaay. Om also hugs him. Shivaay smiled at them and hugs them back.

O-"Happy birthday Shivaay."

S-"Thank you."

R-"Bhaiya ab toh aap sach me senior citizen ban gaye, hai na O?" 😂😂😂

S-"Shut up Rudy."

R-"Are ab toh ek saal se aur bade ho gaye aap." 😂😂

S-"Chal, teri bakwaas ho gayi na ab? Toh jaa sone."

O-"Haa chalo bahut raat ho chuki hai. Chalo so jaate hai."

S-"Haa jao."

R-"bhaiya aap bhi chalo na."

S-"Tum logo ko pata hai na mujhe aaj-kal neend nhi aati."

O-"Shivaay par aisa kabtak chalega. I think tumhe doctor ko dikhana chahiye."

S-"You know Om ki meri doctor kaun hai. Jabtak woh mere paas nhi hogi na aisa hi hoga." 😭😭😭

R-"Bhaiya dekhna bhabhi ko jaldi hi sab yaad aa jaayega."

S-"I hope so. Chalo ab jao tum dono. So jao jaake ab. Good night."

OmRu-"Good night and happy birthday once again."

S-"Thank you."

    Shivaay smiled at both of them and they left from there.

    Shivaay again starts his work. Suddenly his phone rings. He looked at caller ID and gets surprised.

S-"Hello. Hello Annika, kya hua are you ok? Kuch problem hai? Me aau kya waha?"

A-"Shivaay, relax relax. Pehle suno toh....."

S-"Sorry. Bolo kya hua?"

A-"Kuch nhi"

S-"Phir phone kyu kiya?"

A-"Me aapko aise hi nhi call kr sakti?"

S-"Kr sakti ho but..... Leave it, bolo kya bolna hai"

A-"Wish you many many happy returns of the day Shivaay. Happy birthday."

    Shivaay smiled.

S-"Thank you so much."

A-"Ab pata chala ki maine call kyu kiya hai?"

S-"Haa. Thank you for calling."

A-"Hmm. Accha tell me one thing."

S-"What??"

A-"Aapko kya gift chahiye. Actually maine bahut socha but kuch decide hi nhi kr paayi. Batao kya chahiye?"

S-"Kuch nhi chahiye mujhe,thanks."

A-"Are aise kaise....."

S-"Mere paas sab kuch hai Annika. Haa abhi kuch nhi hai mere paas but I am sure woh bhi jaldi hogi mere paas."

A-"Hmm,ok. Thik hai. Accha batao aap ki koi wish hai?"

S-"Kyu?"

A-"Batao na. Phir me bhi wish krungi ki aapki wish jaldi puri ho jaaye."

S-"Hmm ok"

A-"Toh chaliye maangiye wish"

S(mind)-"Mujhe sirf meri Annika chahiye"

A(mind)-"Hey bhagwaan, Shivaay ki jo bhi wish ho na woh puri ho jaaye."

S-"Ho gaya"

A-"Kya thi wish??"

S-"Wish batayi nhi jaati Annika."

A-"Ok. But you don't worry. Maine wish maangi , ki aapki wish puri ho jaaye. Ab dekhna jaldi hi puri ho jaayegi. Kya pata aaj bhi puri ho sakti hai."

S-"Agar aaj hi puri hui na toh yeh mera best birthday hoga. Nahi nahi yeh mere life ka sabse lucky day hoga."

A-"Accha?? Itni special hai woh wish aapke liye?"

S-"Ha bahut special hai. Most precious thing in my life." ❤❤

A-"Tab toh jarror puri hogi. Chalo bahut der ho chuki hai. Ab hume sona chahiye."

S-"Haa so jao tum. Kal office bhi hoga na?"

A-"Aapko bhi hai na office? Aap bhi jaakar so jaana."

S-"Nahi. Mujhe neend hi nhi aati."

A-"Kyu?"

S-"Pata nhi. Ab jab meri wish complete hogi na tabhi mujhe neend aayegi."

A-"Ok take care."

S-"You too. Good night."

A-"Good night"

    Annika was about to end the call.

S-"Annika....."

A-"Ji....."

S-"Kal jaldi aana. Party ke liye."

A-"Don't worry. Aapke pehle aaungi. Aur woh bhi aapke gift ke saath. I know aapko kuch nhi chahiye. But mera gift aapko bahut pasand aayega."

S-"Ok. Ab rakhta hu. Bye."

A-"Bye."

    Annika cuts the phone and went to sleep. Shivaay also resumed his work again.

Next Morning,

Oberoi Mansion,

At dinning Table,

      Shivaay took blessings from elders. Everyone wishes him happy birthday. After breakfast Shivaay went to his office.

Shivaay's office,

Shivaay's cabin,

      Shivaay was busy in work when he gets a phone call.

S-"Hello, Rakesh?"

Rakesh-"Hello Shivaay. Happy Birthday."

S-"Thank you so much Rakesh."

Rakesh-"Hmm kya chal raha hai?"

S-"Bas office work and all. Tu bata kya chal raha hai?"

Rakesh-"Hospital and some cases. Accha listen,Annika bhabhi thik hai?"

S-"Haa thik hai."

Rakesh-"Kuch yaad aaya ki nhi unhe?"

S-"Nahi na. Kuch kuch yaad aata hai use but clear nhi. Are accha hua ki tumne call kiya. Annika past ke bare me sab information search krne ki koshish kr rahi hai."

Rakesh-"Hmm I told you ki woh aisa kuch jaroor krengi. Don't worry. But dhaayn rakhna ki unhe kuch pata na chale."

S-"Haa me rakh raha hu dhyaan is  baat ka."

Rakesh-"Aur unke saath hamesha kisi na kisiko hona chahiye. Agar kuch ho gaya na unhe toh....."

S-"Toh kya? Koi problem hai??"

Rakesh-"Relax Shivaay. Maine bataya tha na tumhe. Agar kuch ho gaya unhe toh may be phir se unki memory jaa sakti hai."

S-"Toh kya woh phir mujhe bhul jaayegi."

Rakesh-"Haa may be. Isliye careful raho ki aisa kuch na ho."

S-"Ok."

Rkesh-"Ab me rakhta hu. Once again happy birthday."

S-"Thank you. Bye."

Rakesh-"Koi problem hai toh mujhe kabhi bhi call krna, bye."

Evening,
Annika's office,

    Gauri came there.

A-"Gauri tu aa gayi? I was about to call you."

G-"Ab aa gayi na me. Let's go."

A-"No. You go first. I'll come after sometime."

G-"Why?"

A-"Oh I forget. Shivaay ke liye gift decide kr liya maine , dekh."

    She said and showed gift to Gauri.

G-"Woww..... Its awesome."


A-"Haa. Kitna socha maine ki kya du. Phir mujhe laga ki Shivaay OmRu se kitna pyaar krte hai,hai na? Toh yeh photo print krwayi."

G-"Its very nice. Ab chalen?"

A-"Nahi."

G-"Why?"

A-"Are aise hi photo gift krdu kya? Ise frame karwana chahiye na? Koi acchi frame shop pata hai?"

    Gauri nodded and told her the address of same shop where Annika went on her accident day.

G-"Ok? Phir jaate jaate banayenge."

A-"Nahi tu ja. Mujhe kuch kaam hai. Me kaam niptakr frame karake le aaungi "

G-"But Di"

A-"Go Gauri. Waise yeh frame Shivaay ke room me kitni acchi lagegi na? Actually maine dekha hai ki Shivaay ke room ki wall empty hai. Toh yeh waha fit hongi."

    Gauri looked at her shocked. She remembered the incident on anniversary day of Shivika.

G-"Di,aap akeli khi nhi jaayegi. Hum dono saath jaayenge. Me nhi chahti ki phir kuch waisa ho."

A-"Kya ho???"

G-"Kuch nhi. Aap mere saath hi jaayegi haa. Me rukti hu aapke liye. Kaam khatam krna aur phir chalte hai."

A-"Gauri, tu jaa. Ghar walon ko teri jaroorat hogi."

G-"But Di....."

A-"Koi behas nhi. Now go."

        Gauri left from there after asking Annika to come fast.
     Annika completes her work and left from the office. She came to the frame shop where she came on her accident day.

Oberoi Mansion,
6:00 PM,

    Shivaay came back from office.

S-"Hey everyone. Annika aa gayi na? Kaha hai?"

G-"Actually Bhaiya she is on the way "

S-"Ok. But Gauri tum uske saath aanewali thi na?"

G-"Haa but Di ne mana kr diya."

S-"Yeh ladki bhi na. Ok. Thik hai."

P-"Shivaay, tu jaa ready ho ja tabtak. Annika aati hi hogi."

S-"Ok mom"

    He said and left from there.

Shivika room,

    Shivaay came in the room and went towards his cupboard. He opens the cupboard for clothes. His eyes falls on the wine colored suit which Annika gave him on their anniversary. He smiled and took out that suit.

S-"Yeh tumne gift diya tha na mujhe. Aaj yahi pehen leta hu. I hope tumhe kuch yaad aa jaaye ise dekhkar."

    He smiled and went to washroom for change.

In hall,

    Shivaay came in the hall. All were waiting for him.

P-"Shivaay bahut handsomes lag raha hai aaj toh tu."

S-"Thanks mom."

R-"Bhaiya yeh wahi suit hai na jo bhabhi ne aapko gift diya tha."

S-"Haa Annika ne hamari anniversary par diya tha. Uske baad pehna nhi tha na maine, socha aaj pehen lu. Kya pata use kuch yaad aa jaaye ise dekhkar."

Daadi-"Haa. Accha kiya. I hope ki use kuch yaad aa jaaye ise dekhkr."

S-"Par Annika kaha hai? Abtak nhi aayi?"

G-"Hum call krte hai."

    She called Annika but her phone was switched off.

S-"What happened Gauri?"

G-"Di ka phone switched off hai."

S-"Charge krna bhul gayi hogi."

P-"Don't worry Shivaay aa jaayegi woh."

O-"Haa. Thodi der tak wait krte hai."

7:00PM,

S-"Abtak nhi aayi. Me uske office call krke dekhta hu."

      He said and dialled her office number. But it was not available."

S-"Ab office ka number kyu nhi lag raha hai?"

D-"Billu, ab mujhe tension ho rahi hai."

P-"Haa mujhe bhi. Kaha hogi Annika??"

S-"Don't worry Daadi and mom. Me abhi uske office jaakar use lekar aata hu."

G-"Ruk jayiye bhaiya."

S-"Kya hua Gauri?"

G-"Di,office me nhi hai. Jab woh office se nikli thi na tab Di ne hume call kiya tha."

S-"Office me nhi hai matlab? Aur agar office se nikal gayi thi toh aayi kyu nhi abhi tak??"

G-"Woh bhaiya.... Woh....."

O-"Gauri , kya hua? Aage bhi toh bolo"

S-"Haa Gauri bolo. Kaha gayi hai Annika?"

G-"Woh..... Whoh actually Di aapke liye kuch gift lena chahti thi. Toh unhone aap teeno bhayiyo ki picture le li thi...."

S-"Haa toh....."

G-"Toh Di ne kaha tha ki who us photo ko frame banakr laayegi taaki aap apne room me laga sake."

S-"What? Aur yeh tum ab bata rahi ho. Aur kya hua phir....."

G-"Sorry bhaiya. Mujhe laga ki Di aa jayegi. Aur woh apko surprise dena chahti thi isliye nhi bataya maine. Jab Di ne humse pucha kisi frame shop ke bare me toh....."

S-"Toh....."

G-"Humne Di ko us frame shop ka address diya tha jaha woh unke accident ke din gayi thi."

S-"What?? Aur tumne use waha akele jaane diya??"

O-"Gauri tum kyu nhi gayi phir saath me?"

G-"Humne bahut baar kaha par Di nhi maani. Aur hume yaha bhej diya."

    Shivaay was shocked. He rememberes about her accident day. Then he looked at his suit. He sat there on the floor with thud. Om rushes towards him and holds him.

S-"Yeh sab toh waisa hi ho raha hai jaisa us din....."

O-"Shivaay aisa kuch nhi hoga."

P-"Shivaay tu chinta mat kar."

S-"Mom agar phir uss din jaisa Annika ka accident..... Nahi nhi aisa nhi ho sakta."

      Suddenly he remembered what Rakesh told him in the morning.

S-"No no no. Waisa kuch ho gaya aur phir Annika uski memory kho de toh...."

D-"Billu kuch nhi hoga use. Thik hogi who....."

S-"Mujhe bahut darr lag raha hai."

      He gets up from the floor.

S-"Mujhe Annika ke paas jana hai. Abhi."

O-"Haa Shivaay chal. Me aur Rudra bhi aate hai."

R-"haa bhaiya. Me car nikhalta hu."

S-"Nahi Rudy. Tum log yahi raho. Aur agar woh yaha aaye toh call krna mujhe. Me akela hi jaata hu. Me nikalta hu."

R-"Par bhaiya"

O-"Shivaay tu abhi us condition me nhi hai ki bhabhi ko dhoondh sake."

S-"No Om me akela jaata hu. Tum log yahi ruko."

      He said and left from there.

Precap :- What happend to Annika??
Shivaay 😭😭😭💔💔

So,this is the next part. Please read and give me your suggestions and views. Till then bye. Take care. Stay happy. Stay blessed.

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top