Solah

Har subah jo suraj dikhta hai aajkal,

Uski roshni chubhti hai ab bhi aankhon par,

Lekin ek naye savere ki khushi nahi hoti aur,

Lagta hai kyu uthaya suraj ne mujhe ek baar phir,

Wahi zindagi jeene ke liye kyu kahan phir se,

Wo jhuti muskaan chehre par liye kyu chalne diya  ek din aur?

Jab wo khili hui dhoop tumme ek aag na jalaye,

Ek aas na jagaye , ki tum ab bhi zinda ho,

Toh samajh lena ki ab tumhe tumhari zindagi se koi lena nahi,

Yu toh bas ek bojha bankar khud ko kheech rahe ho, taki gir na jao kahin yuhi chalte chalte...





Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top