Chowdah

Yaad hai mujhe wo din,

Jab tujhse nazrein mili thi,

Kabhi socha na tha kuch aisa hoga,

Ki tu meri zindagi ka ehem hissa banjayega,

Meri dil ki dhadkan ban jayega,

Mere man mein raj karega,

Ek saccha dost bankar reh jayega,

Sochti hu, kitni khush naseeb hu main,

Jo tujh jaisa insaan meri zindagi mein aaya,

Aur puri tarah si badal diya mujhe,

Par ha ye baat sacch hai,

Ki jis kadar tu mera hath chodkar gaya,

Wo kaafi jana pehchana sa tha,

Jaise har koi jhuti umeed todkar jata hai,

Uss tarah tu bhi gaya,

Sirf mujhe galat samajhkar,

Mere pyaar ko fareb mankar,

Aaj bhi agar kabhi mujhe tu,

Un nazron se dekhega,

Toh tere liye aaj bhi main wohi,

Nanhi si behen ban jaungi,

Aur tujhe bhaiya kehkar pukarungi,

Ha tu hai khush,

Usse zyada aur kya mangu bhagwan se,

Par ek baar mudkar meri taraf dekhega,

Toh teri khushiyan na chin lungi,

Tujh par nazar nahi lagaungi...

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top