17. The Bet (Season 1)

Mahira's POV:
We all are in the restaurant for our lunch. I must say the restaurant views are breathtaking.

We all are about to sit together when Randhir came to sit with me. Hey bhagwan maine usse dosti srif isiliye ki taki usse bura na lage par ye toh mere piche hi padh gaya kya karu but tabhi Jai ne kaha
Jai: arey Randhir tum kaha aa rahe ho bhai
Randhir: kyu yaha baithne
Jai: Randhir ye jagah toh already full hai hum sab yaha baith rahe hai... tum apne dosto ke saath jakar baitho na warna woh log sochege ki new friends mile toh purane dosto ko bhul gaye
Finally he went away from here and sit with his friends. Awww mera bhai he knows me well chalo isse picha chuta... ab kam se kam mai Karan se baat kar paogi...pata nahi kyu mujeh aisa lagta hai ki woh upset hai kisi baat ko lekar... I need to ask him
Mahira: Karan....
Karan(ignoring her): abhi tak koi aaya kyu nahi order lene... I am very hungry
Mahira: Karan....
Karan: Baujiraj aapko bhuk nahi lagi hai
Prithvi: lag toh rahi hai
Yeh mujeh ignore kyu kar raha hai... I think mujeh Janvi se puchna chahiye
Mahira(in low tone): Janvi ye Karan ko kya hua, why he is ignoring me
Janvi(in low tone): ye bhi mujeh batana padega... tum subha se usse thik se baat nahi ki aur uss Randhir se friendship kar li... tabhi se usi ke saath ho... yaha tak ki jab Karan mandir ke andar nahi gaya toh tum usse bulane bhi nahi gai... toh woh toh tumse naraz hoga na
Mahira: but Prithvi ne hi toh mana kiya tha isiliye mai nahi gai
Janvi: Prithvi ne mana kiya aur tum maan gai tumhe jana chahiye tha... Now he is upset with you
Mahira: ab mai kya karu???
Janvi: don't worry mauka deakh kar usse baat karo aakele me... aur ha jitna ho sake uss Randhir se dur raho mujeh woh kuch thik nahi lagta
Mahira: arey mai kaha uske saath hu woh hi tabhi se mujeh irritate kar raha hai
Janvi: toh phir usse friendship kyu ki???
Mahira: arey friendship toh maine isiliye ki taki usse bura na lage... aur mujeh woh bura ladka nahi laga bas baatey bhut karta hai which is irritating
Janvi: tujhe samjhana bekar hai anyways jab bhi Karan akela dikhe toh usse baat kar lena OK
Mahira: OK
Just then the food is arrived

Karan: hum logo ne toh order nahi diya toh phir khana...
Randhir: Karan...
Karan turn around
Randhir: woh time save karne ke liye maine hi khane ka order de diya tah taki order lene me aur khana taiyar hone me time waste na ho
Teachers: very good Randhir
Randhir: thank you sir, mam
We all are eating aur food, but time to time I was taking glimpses of Karan. By seeing his face I can tell that he was very angry... Hey bhagwan kaise manaogi mai isse
End of POV

Randhir's POV:
How dare he... uss Jai ne mujeh waha se bhaga diya... he don't know who I am... but abhi mai kuch nahi kar sakta. I went to my friends and sit with them
Lucky: kya hua un logo ne tumhe apne saath baithne nahi diya😏😏😏
Randhir: just keep your mouth shut OK... ye sab tumhari wajah se hua hai
Lucky: meri wajah se???
Randhir: ha... na hi tum mere saath woh bet lagate aur na hi mujeh ye sab karna padta
Arishfa: bet??? Koun si bet???
Randhir: oh!!! isse toh pata hi nahi
Lucky: pata kaise chalega make up se fursat milti tabhi toh hum dono ki baat sunti...
Arishfa: ab bataoge bhi...
Randhir: toh suno jab hum log unhe receive karne station gaye teh, mai aur Lucky station ke bahar khade teh tab
Flashback:
Randhir: yaar life is so boring... jab se uss ladki Megha ne Principal se complain kar diya tab se life is totally boring...
Lucky: purey college me kisi bhi ladki ki himmat nahi thi ki woh tere against complain kare toh phir iss ladki me itni himmat kaha se aa gai... aur srif itna hi nahi usne purey college ki ladkiyo ko apne saath mila liya principal ke pass jakar complain karne ke liye...
Randhir: mujeh uss budhe principal ka daar nahi hai par usne mujeh dhamki di ki woh dad ko complain kar dega... that's why I leave those girls warna mai unhe accha sabak sikhata
Lucky: but ab toh hum collage me nahi hai... let's do some fun what say
Randhir: kya???
Lucky: OK so jo bhi ladki sabse pehle station se bahar niklegi tumhe usse impress karna hoga or would I say tumhe usse yakin dilana hoga ki tum usse pyaar karte ho
Randhir: it's so easy yaar... Koi hard challenge de na
Lucky: OK so the hard thing is woh ladki apni marzi se tere room me aaye...
Randhir: ab ye hui na bet... I bet ki mai ye bet jeet kar rahuga
Just then Mahira came out of the station and they saw her. Lucky was laughing
Lucky: OMG ye ladki
Randhir: ye toh behenji hai yaar...
Lucky: bet is bet... tujehe bet puri karni hogi
Randhir: ha mai bet puri karuga waise bhi it's easy
Lucky: mujeh nahi lagta... Ye behenji type ki ladkiya na bhut sanskari type ki hoti hai itni jaldi nahi pategi... Example hai woh Megha
Randhir: par mai kabhi haar nahi manta... I will win this bet
Lucky: let's see
End of flashback
Randhir: iski di hui uss bet ke wajah se uss behenji Mahira ko jhel raha hu... usse kab se impress karne ki kosis kar raha hu but pat hi nahi rahi hai
Lucky: maine toh pehle hi kaha tha but tujehe hi hard bet chahiye thi
Randhir: samaj me nahi aa raha hai ki ye Mahira mujse impress kyu nahi ho rahi hai
Lucky: relax buddy aaj hi toh woh aayee hai it will take time... aur waise bhi Shimla ke baad Manali bhi toh hai aur tumhara ghar toh Manali me hi hai... mujeh pura yakin hai ki woh tumse impress ho jayegi aur tumhare aage piche gumegi
Arishfa: woh tumse impress nahi hone wali...
Randhir: toh tum bhi mujeh challenge kar rahi ho... The Randhir Shergill ko
Arishfa: baat challenge ki nahi hai Randhir baat yeh hai ki woh pehle se hi kisiko like karti hai
Lucky: tumhara matlab kahi Karan se toh nahi
Arishfa: dekha ye idiot bhi samaj gaya par tum nahi samaj rahe... usse tumse pyaar nahi hoga kyuki woh Karan ko like karti hai ya sayad pyaar karti hai...
Randhir: so what woh kise like karti hai kisse pyaar karti hai that's not my business... mujeh uske saath puri life nahi bitani hai mujeh toh bass ye bet jitna hai that's it aur woh mai karke rahuga
Arishfa: ek baat samaj nahi aai Karan jaisa hot, handsome aur dashing ladka Mahira jaisi behenji ko kaise like kar sakta hai...
Randhir: may be woh bhi uske saath time pass kar raha ho
Lucky: I don't think so... Karan uss type ka ladka nahi hai jo kisi ladki ki feelings ke saath khele... I think he truly likes her or love her
Arishfa: kisine sahi kaha hai love is blind 😏😏😏😏
Randhir: unki love story discuss karna band karo aur ye socho ki mai ye bet kaise jeetu
Lucky: bet tumne lagai hai toh hum kyu bataye
Randhir: OK plan mera hoga but tum log meri help karna plan execute karne me
Lucky: OK fine... batao karna kya hai?
Randhir: ab tak mai srif Mahira ko impress karne ki kosis kar raha tha but ab hum teeno ko milkar uske friends ka dhayan uss par se hatayege
Arishfa: par kaise?
Lucky: bus me maine Karan aur Prithvi ko baat karte suna tha... Prithvi keh raha tha ki woh Janvi se pyaar karta hai toh Karan ne kaha ki usse Janvi ko propose kar dena chahiye toh Prithvi ne Karan ko uski help karne ko kaha hai...
Randhir: par woh usse kaha propose karne wala hai???
Lucky: Manali me
Randhir: great that's means ye dono arrangements me busy rehege... Arishfa tum Janvi se kaho ki Prithvi uske liye surprise plan kar raha hai uska pura dhayan Prithvi par kar do taki usse apni sister ke liye time hi na mile
Lucky: aur Jai aur Rimi... do baar Jai ne hi tumhe Mahira ke saath baithne se roka...
Randhir: ha but tumne woh nahi dekha jo maine dekha
Lucky: kya???
Randhir: yehi ki Rimi aur Jai ek dusre ko like karte hai...mandir me dekha tha maine kaise ek dusre ki aankhon me khoye huye teh... kaise bhi karke inn dono ka attention ek dusre ke taraf karna hoga aur fir Mahira bilkul aakeli hogi aur mere aur uske beach koi nahi aayega
Arishfa: but I think Karan aisa hone nahi dega chahe woh kitna bhi busy ho
Randhir: I know ki Karan ko Mahira se alag kaise karna hai
Arishfa: kaise???
Randhir: unke beach misunderstanding create karke... Kuch aisa karna hoga ki Mahira Karan se nafrat kare aur mujh par trust kare... aur ek baar aisa ho gaya toh Karan bhi Mahira se naraj ho jayega... phir inn dono ka so called pyaar khatam aur Mahira ko bachane wala bhi koi nahi hoga (he laughs evilly)











Sorry sorry actually I forgot that yesterday was Sunday 😅😅😅😅... Anyways What do you all think, will Randhir will be able to success in his plan? Will he create misunderstanding between Karan and Mahira? What will happen next give yours review in the comment section. And how was the chapter plz vote and comment. Please comment because I am getting less comments in this book... If you guys are not liking my this book than please tell me I will stopped writing this book... But Before saying bye I want to say you all that there must be some people who are fans of Riyaz Aly, Lucky and Arishfa, my story doesn't meant to hurt their feelings. By any chance if I hurt their feelings so I am sorry plz forgive me🙏🙏🙏. Stay tuned, Till then bye bye.

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top