Sawaalo ka Pitara
Bhains hoti hai kali kyu
Ghaas hoti hai hari kyu
Khaati hai jab ghaas hari,
Toh doodh deti hai safed kyu
Atpate ho ya ho samjhdari vale,
Vo puchti jaati thi sawaal pe sawaal
Lekin sawaalo ki lagati thi jo jhadi
Ab najaane rehti hai vo chup-chup kyu
Har pal najaane kya darr sataata hai
Na jaane kis baat se jee ghabraata hai
Shayad karliya hai sabne samjhota
Shayad isiliye nhi puchta koi ki 'akhir kyu?'
Sawaal puchna gunah nhi,
Phir kyu sochna koi kya sochega
Jo puchte hain, vohi seekhte hain,
Dil ko, dimag ko ye batlana hoga
Sawaal karne se darna nhi,
Chahe kitna hi kyu na ho chota voh
Koi hansta hai toh hansta rahe,
Hum uski karein itni parvah kyu?
Kaid hai jis darr ki zanjeero mein,
Un zanjeero ko todna hoga
Jis aakaash mein udhne k liye bani thi vo,
Uske liye phir khayalo ko aazaad karna hoga
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top