Phir Khade Honge Hum

Jab aata nhi tha chalna humein,
Gir girkar chalna seekhe hum
Jab nhi maani humne haar tab,
Toh bhala aaj kyu hain niraash hum?

Aaj jab chuni hai raah apni,
Toh kyu uspar chalne se dare hum
Gire the kal bhi, girenge aaj bhi
Lekin phir uth khade honge hum

Kat jaaye jab tehniyan vriksh ki,
Nayi daal ugaaye vo
Toot jaaye agar ghosla chidiya ka,
Naya ghar basaaye vo

Parishram ki misaal cheenti nanhi,
Bin thame shram karti jaaye jo
Aao seekhein kuch makdi se,
Kabhi haar na maane jo

Jab nhi rukte ye sabhi,
Toh kyu bhala thak jaayein hum
Aj nhi toh kal milegi manzil
Vishwaas khud par agar rakhe hum

Aa jayein kitni bhi mushkilein,
Aa jayein chahe aandhi toofan ab
Aao khaayein hum sab kasam ek
Hosla humara na tootega ab

Ye hosla na tootega ab,
Girenge toh phir khade honge hum.

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top