Unit Examinations

Bhav: Whatt the hell... Rimi ki kasam?? Yaar ye torture haii...

Rimi: jo bhi haii.. jhel ab (laughing she high fives Janu)

Janu: yesss!!!

Bhav: finee.. lekin ab chalo varna exam ke liye late ho jayenge..

(They are leaving when Jai comes there and looks at Rimi)

Jai: All the bestt Avu, Janu and Farz

Avu: All the besttt Bhaiii

Janu Farz: All the bestt Jaiii

Bhav: Rimi chal na yaar late ho raha haii

Rimi: ha.. haa chal.. (she is also looking at Jai and Bhav holds her hand and takes her with him and she keeps looking at Jai and Jai keeps looking at her)

Background Music:
Kyu hai dabi si khwaishe
Dil mein tere bewajah
Jaake jara use bol de
Chahta jise tu raha
...
Kahi teri khamoshiyaan
Jeet na jaaye pyaar se
Mil jaane de dil jo bane
Ek duje ke vaaste

(They keeps staring at each other for the entire time until they were invisible)

Sid: All the best Jai..

Jai: All the best! Guyss chale?

Avni: haa tum log aage chalo mai aayi...
(Jai, Farz and Janu left)
Sid?

Sid: hn?

Avni: kya huaa? All ok?

Sid: ohh.. yaa perfectly ok!

Avni: are you suree? Tumhe mujhse kuch baat bhi karni thi naa? Is is important?

Sid: Avuu abhi nahi.. exam hai na? Chaloo.. wo sab mai tumse baadme baat karta hu..

Avni: pakka naa?

Sid: haa pakka..

Avni: (kisses his cheek) I love you

Sid: I Love You Toooo...
(They left for the exam)

(After 7 days... After last Paper of 1st Unit Examinations)

Bhav: yaar iss baar pehli baar maine pura paper likha hai.. it's soo tiring you know?

Rimi: we know... hum har baar pura paper likhte hai.. aur ek-adh bar accha score kar liya to kya bigad jayega Yaar? Stop cribbing now..

Sid: waise saare papers kaise gaye?

Rimi: quiet easy..

Sid: yaar mujhe to bohot bure gaye.. you know 2 papers ke optional ke answers nahi aaye mujhe

Rimi: mujhe waise to aaye saare answers lekin I doubt ek answer mein maine formula mention kiya hai ya nahi

Bhav: mujhe mil jayenge out off

Rimi: hmm (suddenly starts laughing)

(While at some other place)
Avni: Finally done with examss..

Janu: babyy ye sirf ek unit test thi.. abhi to 1st term ki semester exam bhi baaki haiii

Jai: exactly.. itna kyu khush ho rahi hai

Farz: come on yaar.. samajhte jao naa.. ye khushi hai Sid se jyada mil paane ki warna bechare ye dono mil hi kab paate the exams ke vaqt... Wo uske group studies mein busy rehta tha aur ye hamare

Avu: exactly!!

(Back to Rimi)

Sid: kya huaa? Hass kyu rahi hai.. kuch to bata na yaar

Bhav: kab se hase jaa rahi hai.. bol too

Rimi: aree I am thinking about those four.. phirse top nahi kar paayenge yaaar

Sid: I don't think now it's that of a big deal to them though... Hopefully they will be happy even if we score better

Avu: Of course we are gonna be happy guyss.. (Avu enters)

Sid: Avniiiii... Finally exams overrr (he hugs her in excitement)

Avu: Aree aree aree... Relaxx.. itni excitement?

Sid: I am super excited... You know I was soo badly waiting for this unit test to get over

Avu: samee here Yaaar.. ohh Accha waise I forgot to tell you guys..

Bhav: kya?

Avu: wahi jiske liye mai yaha aai thi

Rimi: say naa

Avu: Areee I forgot... Mujhe yaad nahi aa raha mai kya batane aayi thii

Janu: Avuu.. yaar kitni der?

Avu: are yaar..

Janu: accha baat ho gayi na Charisma ke baare mein?

Avu: Charisma... Right!! Yahi to batane mai aayi thi

Sid: what's that?

Avu: so basically this is an interschool competition jo 3 saal mein ek baar hoti hai particularly for 1st and 3rd year graduation students

Bhav: haa to?

Janu: to aaj tak Charisma ki trophy hamara school kabhi jeet nahi paya hai but this year our school and teachers are first time very excited for Charisma kyuki they think ke hum ye trophy school ke liye jaroor jeetenge (nervously)

Sid: well.. that's greatt

Bhav: And we wish you Alll The Veryy Bestt for the competition.. make us and our school proud!

Avu: huh?? Guyss puri baat to suno

Bhav: aur bhi hai kya? Accha bol

Avu: haa to hame Principal Ma'am ne kaha hai ek team banane ke liye

Rimi: okk..

Janu: lekin 3rd year students can't come kyuki unfortunately usi samay unki internal practical exams ka schedule aaya hai

Avu: and isliye hame puri team shayad 1st year se banani pad sakti hai

Bhav: guys point pe aao please

Janu: Well the point is hum already Chaar hai matlab Mai, Avu, Fairz aur Jai lekin hame aur 6 log chahiye hai

Avu: aur unme se 3 tum teeno ho

Rimi: whatt??
Sid: kyaa??
Bhav: Pardon?

Avu: come on guyss.. pleasee.. this is for our school!

Bhav: Noo wayss Avuu

Sid: we are not a part of any such event!

Rimi: actually why not? Okk I am in..

Bhav: you are in? Have you lost it?

Sid: (in mind: actually this is a good chance, Mujhe jaane nahi dena chahiye... Yess this will be a perfect plan) Umm well ok I am in too..

Bhav: tum dono ka dimaag to thik hai naa? Kya keh rahe..

Rimi: chup naa Bhavuu.. lekin Avu, Jenny.. baki ke 3 kaha se laayegi??

Janu: wahi to samajh nahi aa raha.. 3 aur log to hai lekin wo 3rd year mein hai.. we really want them with us..

Avu: haa naa yaar... Wo teeno to chahiye team Mein... Kuch jugaad karna padega yaar..

(Farz comes)
Farz: Waise Principal ma'am ke hi orders hai na only 1st year team?

Janu: haa

Farz: aur Internal practicals hai right??

Janu: haa

Farz: Jaan.. phir to wo intezaam ho jaayega.. (smirking)

Janu: ha ha.. ho jaayega.. kheer bat rahe ho naa? Pata bhi hai tum kya bol rahe ho?

Farz: of course yaar.. not so difficult

Janu: right.. bilkul difficult nahi hai bass iss duniya ka sabse mushkil kaam karna padega

Sid: kaunsa??

Janu: Aashu ki Maa ko manana...

Rimi: Aashu?

Farz: haa.. Aashu.. matlab Alisha... Bass ek baar Aashu ki Maa maan jaaye to Raj aur Reshma bhi maan hi jaayenge

Janu: hmm.. but that's something really difficult to do.. next to impossible!!

Rimi: ye Aashu ki maa hai kaun?? Aur Aashu Alisha jo bhi hai wo aakhir kaun hai?

Bhav: Pichku ruk tuu... Aur tum log sachme Aashu ki maa.. ugh.. I mean ma'am se baat karoge? Are you serious?

Avu: haa... Karni to padegi.. yaar they are the only people we can take to Charisma level of competition

Rimi: Aee bass ho gaya hn ab.. tell me hai kaun ye Aashu?

(Farz and Jai comes)
Farz: Principal ma'am aur Trustee sir ki beti.. matlab uski maa Vidyabhawan ki Principle hai aur uske papa Trustee

Sid: ooooh... and how is she?

Janu: extremely talented lekin bohoot jyada attitude hai madam mein... Kisiko apne saamne khada bhi nahi rakhti though very good and sweet to us! Hamari acchi dost hai..

Sid: ooh.. to ab kya karne ka socha hai?

Jai: ab... Principal ma'am ko manana padegaa aur kya?

Rimi: umm.. ok guys you all carry on mujhe kuch kaam yaad aa gaya mai aati hu thodi der mein

Sid: (he holds her hand) Nahii.. ruk.. kuch important discuss ho raha hai naa aur ab tumhe aisa kya yaad aa gaya? (She tries to show him Jai's presence through corner of her eyes but he ignores) Stay here chup chap..

Bhav: Sid jaane de na use.. wo nahi rukna chahti to kyu jabardasti kar raha hai?

Sid: Bhavu yaha par bhi kuch important discuss ho raha hai naa.. aur waise bhi mujhe iski bohot yaad aane lagti hai agar ye kahi chali jati hai to isliye ye yahi rahegi.. (he increases his grip on her hand)

Avu: (in mind: ye ho kya raha hai? Sid ke dimaag mein aisa kya chal raha hai?? Wo Jai se dur jaane ki kosish kar rahi hai ye to samajh raha hai but what the hell is Sid upto?)

Jai: (in mind: ye Siddharth ka dimaag to thik hai naa? Ye kaisi harkate kare jaa raha hai? Aur.. aur aise haat kyu pakadke rakha hai? Chhod uska haat Sid.. dard ho raha hoga useeee)

Sid: haa to kya keh rahe the? Principal ma'am ko manana padega naa?

Avu: h haa...

Bhav: waise Charisma kab se start ho raha hai??

Janu: 1 mahine baad

Farz: aur waha se wapas aane ke baad we will get 15 days to prepare for exams aur uske baad we have our semester exam... Gonna be tough schedule..

Avu: thik hai naa.. after exams we have more 15 days ke holidays... Aur kitna aaram karna hai tujhe?

Rimi: Accha tell us something more about this na.. I mean kaisa hota hai Charisma?

Jai: Well so Charisma ke liye hume ek unknown jagah par le jaaya jata hai jo uss din hamare liye surprise hota hai jab tak hum waha pohonch nahi jaate aur wo jagah har baar change hoti hai so we have no idea hum kaha jaayenge aur waha par India ke 20 best schools apni apni 10 logo ki matlab compulsory 5 girls and 5 boys aisi teams bhejte hai. Waha par 10 din tagdi competition chalti hai though pehle hi din 2 schools ko eliminate kar diya jate hai and by Day 5 sirf 10 teams bachti hai... Bachi hui har school ko unke performance ke liye marks diye jaate hai.. at the end jis school ke marks sabse jyada honge use 'Charisma School Of The Year - 2019' ka cup milega aur Charisma mein best individual performers ko bhi 'Miss Charisma - 2019' aur 'Mr Charisma - 2019' ka cup milega.. though aaj tak ye teeno awards kabhi koi ek team jeet nahi paayi haii

Sid: woww... That sounds cool... To iss saal hame saare awards jeetne hai..

Avu: it's not that easy Sid.. and we need Aashu Raj and Resh with us..

(Aashu, Raj and Resh are walking on the opposite path of the garden and Janu spots them)

Janu: guyss... Wo teeno..
(All look and run to the three of them)

Aashu: Juniorss Juniorss Juniorss... Relax... Daud kyu rahe ho?

Avu: Aee Senior ki bacchi.. kaha gayab ho gayi thi kab se? Exam ke baad tere class mein bhi aayi thi mai.. lekin madam to har jagah se gayab hai

Raj: Avniii.. baby relaxx... Itna hyper kyu ho rahi hai? Hum usi jagah par the jaha hamesha hote hai

Janu: Seee I kneww..!

Farz: to check kar leti naa? Natak kyu kiya itnaa?

Janu: Are ab itniii durr chalke jaane ka koi matlab nahi hai naa jab ye log wapas yahi par aane wale hai

Resh: wo bhi hai.. lekin ab bolo to baat kya hai?

Jai: as if you guys don't know..

Aashu: kyaa? Mujhe sacchi kuch nahi pata hn... Aise dekho mat tum log meri taraf.. principal ki beti hu to kya...

Jai: merii maaa... Chup ho jaa.. kitna bolti hai yaar tu?

Aashu: Aree lekin Princi..

Janu: ha ha pata hai pata hai..

Janu Avni Jai Farz: Princi ki beti hu to kya sab janti hu kya? (Mimicking her past dialogues)

(They all burst into laughter and give high five to each other while Raj and Resh also laugh)

Aashu: bohot hasi aa rahi hai naa??

Raj: sorry sorry.. (laughing)

Resh: Accha guyss bolo na kya baat hai?

Avni: ohh haa.. Resh, Raj, Aashu Charisma...!! Iss saal hame Charisma haii and your mom is saying only 1st year will participate.. yaar that's not done.. hum 7 log hai 1st year se but tum teeno ko to aana hi padegaa naa..

Aashu: Damnnn.. Charismaa.. of course we are cominggg.. Once in a life time opportunity hai yaar yee

Janu: apni khadoos maa ka kya karogi?

Aashu: ohh.. leave it on dad (winks) tum log tayari karo Charisma ki.. Prepare well for Quiz round warna 1st day ki Elims mein hi bahar hona padega

---*---*---*---
Café Pufflehuff


...

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top