Hamein Mille Ek Saal Ho Gya
Dedicated to Saurav
Kabhi has kar kabhi ro kar waqt katta gya,
aur aaj hamein mille hue ek saal ho gya,
jab pehli baar dekha tha tumhe,
tabhi mujhe zindgi se ek sawal ho gya,
jane kis neki k badle khuda ne tujhse mila diya,
terri qurbat paake tou gam ek khayal ho gya,
kash-m-kash ka silsila chalta rehta dil mein,
terri mhbt mein tanha jina jaise muhaal ho gya,
jo GEET kisi k liye apne aybo ki qurbani na de saki,
uska terre liye pal mein badal jana tou kamaal ho gya,
zindgi mein sab kuch tha bus mhbt se fakir thi,
terri mhbt se merra jahan malamaal ho gya,
ibadato mein uthaye tune jab jab apne hath,
asar mein har dafa durust merra haal ho gya,
kehkashano mein dilkash taazgi badhti rahi,
fizao mein terri chaht ka jamaal ho gya,
haan ye sach hai aaj hamein mille ek saal ho gya,
per terri chaht se merra har lamha bemisaal ho gya.........
Hello friends,
First of thnkw to all my readers u all r just awesome. Thnkw everyone for ur support. It really means a lot to me.
Read this poem n do like n comment if u like it.
Keep smiling :)
Keep reading ;)
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top