Naksh misunderstood keerti


Naksh in his room and keerti in her room

Rohit calls naksh

Rohit- bhai tera messasge pada kya baat hai mere bhai congratulation bhabhi maan gayi

Naksh- thanks bhai

Rohit- mai bahut khush hu tere liye akhir majnu ko uski laila mil he gayi

Naksh- bhai mujhe majnu bol chalega meri keerti ko laila mat bol

Rohit- ohho

Naksh- haan

Rohit- chal aaj sham ko aa ja chota sa get together rakha hai tumhari shaadi ki khushi mai

Naksh- kal tilak hai bhai

Rohit- thode time ke liye he toh aana hai

Naksh- ok mai aata hu

Pooja calls keerti

Keerti- hi pooji

Pooja- ruk tujhe toh abhi batati hu itni badi  baat tune mujhse chupayi kaise

Keerti- maine kya chupaya

Pooja- shaadi ki baat naksh ne rohit ko bataya

Keerti- yaar ekdum se ye sab hua na aur fir tera call bhi nahi lag raha tha puch liyo himani se maine use bata diya tha

Pooja- haan vo parso mera phone gir ke tut gaya tha aaj new liya hai

Keerti- ab bol galti teri aur daat mujhe rahi hai

Pooja- haan haan thik hai aaj sham ko aaja tumhare liye choti si party rakhi hai mere ghar pe

Keerti- naksh aa rahe hai

Pooja- tu khud puch tum dono ke liye rakhi hai toh dono he aaoge na

Keerti- ok

Keerti calls naksh

Keerti- hi naksh

Naksh- hi keerti

Keerti- aap aa rahe hai na

Naksh- haan keerti

Keerti- ok toh mai bhi aa rahi hu vahi milenge bye

Naksh- ok bye

Naksh in his mind ye meri cute si hone vali biwi bhi na mujhe pick karne ke liye bol deti toh kya chala jata aur isse pehle mai puchta pehle he keh diya vahi pe milenge  keerti aap sach mai bahut innocent ho

Naksh came and meet rohit naksh eyes is searching for keerti

Rohit- vo upar hai pooja ke room mai baat kar rahi hai usse tujhe jana hai toh ja sakta hai milne

Naksh smile

Naksh goes towards pooja's room

Pooja's room door is little open

Naksh listen that keerti said mai ye shaadi mummy ke khushi ke liye kar rahi hu

He didn't listen more and goes from their because he was shattered after listening this

Naksh- yaar mai vo jaa raha hu mujhe kuch kaam aa gaya

Rohit- par naksh sun toh

Naksh left from there

Rohit- isko kya ho gaya

Actually what happened in pooja's room (flashback)

Pooja and keerti are talking about naksh

Pooja- I am so happy teri shaadi usse ho rahi hai jisse tu pyaar karti hai

Keerti- haan yar aur tujhe pata hai unhone kitna sweetly amma ko manaya humare sath rehne ke liye

Pooja- so sweet

Keerti- tujhe pata hai mai ye shaadi amma ke khushi ke liye kar rahi hu(he listen only that line)

Aur specially apne liye because I love him unse acha koi mujhe nahi mil sakta

Pooja- tune confess ki apni feeling

Keerti- nahi abhi tak nahi par kal karungi maine kuch socha hai

Pooja- are wah

Keerti hug pooja

Naksh now in his room and crying badly keerti aap sirf ye shaadi amma ke liye kar rahi hai aap nahi karna chahti ye shaadi mujhe pata hai aapke liye aapki amma bahut kuch hai mujhe lagta hai maine he expectation bana li thi apne aap aapse mujhe laga aap mujhe pasand karti hai isiliye mere se shaadi ke liye haan ki but I respect your decision agar humari shaadi hone se aap khush hai ki aapko apni amma ko kabhi nahi chodna padega toh mai ye shaadi aapke liye karunga but aap pe kabhi apne pati hone ka haq nahi jatunga mai humseha aapse aise he pyaar karte rahunga kyunki I love you aur pyaar toh selfless hota hai na mai aaj apne aap se promise karta hu mai aap pe kabhi pati hone ka bhoj nahi daluga aur naahi he family ka pressure aap pe aane dunga

Keerti came down

Rohit- pata nahi ye naksh ko kya hua keh raha tha bahut jaruri kaam hai ja raha hu

Keerti- kya naksh chale gaye

Rohit- haan

Keerti- jiju mai unki taraf se sorry bolti hu unko jarur koi kaam hoga nahi toh vo aisa nahi karte

Pooja- ohho badi tarafdari ho rahi hai apni hone vale pati dev ki

All laugh

keerti blush

Keerti- mai jau mai kya karungi dono ke liye thi na party

Pooja- thik hai tu jaa vaise bhi tera ab yaha man toh lagega nahi

Keerti smile

Pooja- aur kal ke liye all the best

Keerti- thanks aur bye

Keerti try to call him but he was not in state to pick her call

Keerti in her mind shayad busy hai bahut koi ni kal try karungi

Naksh cry whole night and sleep

Keerti in her mind kal taiyar raheyega Mr. Naksh Singhania mere confession ke liye mai bahut nervous hu but mai kal keh ke rahungi that I love u

Keerti sleep thinking about him

Keerti wake up and call naksh

Keerti- good morning naksh

Naksh in low tone

Naksh- good moring

Keerti- aap thik hai

Naksh- haan vo thoda stress tha

Keerti- naksh aaj aap tilak ke baad mujhse milenge

Naksh- sorry keerti tilak ke baad muje ek meeting mai jana hai bahut important hai

Keerti become sad

Keerti- it's ok naksh kal mil lenge

Naksh tilak rasam end

Swarna- acha akshara ji ab mai chalti hu

Akshara- ji swarna ji

Naksh took blessing of her

Now naksh start ignoring keerti whenever she call him he said I am busy and not able to meet you

Keerti feels so bad but thinks sach mai naksh bahut busy honge shayad par is vajah se mai unhe bata bhi toh nahi paa rahi hu na that I love him

One day keerti thinks ab bahut hua naksh mai aaj he aapse milungi bahut din ho gaye aapse mile hue itne din se aap mujhe ignore kar rahe hai mujhe aapse baat karni he hogi aur vaise bhi 2 weeks baad humari shaadi fix hui hai aur humne abhi tak baat bhi nahi ki agar ab nahi bataungi aapko toh kab batungi

Keerti comes in dadaji's house

Akshara welcomes her

Akshara- are beta ye toh bahut acha hua tum aa gayi

Keerti- ji mumma vo mujhe naksh se kuch baat karni thi vo kuch dino se busy chal rahe hai toh baat nahi ho paa rahi thi

Akshara- haan haan jao na uska room vaha hai jo ab tumahara bhi room hone vala hai

Keerti smile

Keerti- ji mumma

Keerti enters and see him sleep holding one painting

Keerti come towards him and see it's her painting

Keerti was shocked and thinks naksh aap meri painting ko hug karke so rahe hai

Naira came and said bhabhi hi

Keerti- naira ye painting

Naira- bhabhi ye aap bhai se he pucho acha mai jaa rahi hu aap bhai ko uthao aur unse baat kar lo

Keerti nods

Keerti start waking up naksh

Keerti- naksh uthiye please

Naksh in sleep bas karo keerti kitni baar mere dreams mai aake uthaogi mera mod acha nahi hai 

Keerti- dreams mai naksh mai sach mai aapko utha rahi hu please uthiye

Naksh wake up in shock

Naksh- tum yaha real mai matlab kaise kyu......

Keerti- kyu mai yaha nahi aa sakti

Naksh- nahi aise baat nahi hai

Then he realise painting is in his hand and start hiding painting under the pillow

Keerti- maine dekh li ye painting naksh aapko awkward feel kartne ki koi jarurat nahi hai

Naksh- aisa kuch nahi hai vo vo vo vo .......

Keerti- pehle aap ye bataeye aap mujhe itne din se ignore kyu kar rahe ho

Naksh- maine kab kiya ignore maine nahi kiya

Keerti- acha toh aankhe jhuka ke kyu bol rahe hai aankhe mila ke kare baat

Naksh- vo aise koi baat nahi hai keerti

Keerti- toh kaisi baat hai naksh

Naksh- bad mai kisi baat se upset tha isiliye

Keerti- par kyu naksh

Suddenly akshara shout naksh beta jaldi aa badi dadi ka call aya hai

Naksh- mai abhi aaya

Naksh came down and start talking badi dadi

Keerti also came down and see naira is sad

Keerti- kya hua naira

Naira- bhabhi mujhe marketing ka project submit karna hai mujhe samajh nahi aa raha kaise shuru karu

Keerti- kya mai help kar du maine bhi marketing padi hai

Naira- thanks bhabhi why not please

Naksh after talking with badi dadi shout at naira koi jarurat nahi hai khud kar

Keerti- aap uspe kyu chila rahe hai naksh maine he use kaha hai aur agar maine uski help kar di toh kya ho jaayega

Naksh- aapko koi jarurat nahi hai jabardasti koi bhi apne bahu hone ki duties puri karne ki

Keerti- kya ho gaya hai aapko naksh ye koi duty nahi hai mai jo hi karungi apni khushi se karungi is ghar ke liye is ghar ke members ke liye apne liye aapke liye isme duty kaisi

Naksh- please keerti aapko shaadi ke baad bhi koi biwi hone ki duty nibhane ki jarurat nahi hai koi aap pe koi pressure nahi daalega

Keerti shocked ye kya ho gaya hai inko

Naksh goes to his room

Akshara- pata nahi ise kya hua hai mai baat karti hu isse

Keerti- mumma please mai baat karu

Akshara- haan jaa beta

Keerti came in his room

Keerti- kya hu hai naksh aapko

Naksh- kuch nahi keerti mujhe pata hai aap ye shaadi sirf amma ke liye kar rahi hai aap mujhe pasand nahi karti aapko koi bhi tension lene ki jarurat nahi hai naahi family ko mai aap pe pressure dalne dunga aap ko bahu banne ki duties fulfil karne ke liye aur na he mai aap pe pati hone ka koi haq jataunga mai aap se promise karta hu

Keerti is in shocked and she said angrily

Keerti- aapko kisne kaha ki mai aapse sirf amma ke liye shaadi kar rahi hu

Naksh- maine khud suna jab aap pooja bhabhi se unke room mai baat kar rahi thi

Keerti- aapne ye sun liya ki mai keh rahi hu ki mai ye shaadi amma ke liye kar rahi hu par ye nahi suna that I love u isiliye mai aapse shaadi kar rahi hu

Naksh shocked and happy to listen that his keerti said she loves him

Naksh- kya kaha aapne

Keerti-I love you kaha

Keerti- aapne puri baat sune bina ye mere bare mai socha kaise naksh ki mai kisi ki feelings ke sath khelungi rishta sirf isliye nahi jud sakta ki humare parents ki khushi hai agar do log ek dusre se pyaar nahi karte toh rishta kaise ho sakta hai maine sirf isiliye haan kari thi because I love u isiliye nahi ki amma aapko pasand karti hai haan vo aapko pasand karti hai isse achi baat kya ho sakti hai mere liye jisse mai pyaar karti hu meri amma ne bhi use mera jeevan sathi chuna par aap kyu samjhenge aapko toh bas puri baat sunni nahi hai pehle se pehle he apni descision le lena hai mai sacrifice karunga n all mai soch bhi kaise sakti hu naksh ki mai kisi ke feelings ke sath khelungi ki mai sirf isilye shaadi ke liye haan kar dungi ki meri amma ko vo insaan pasand hai rishta un dono logo ko nibhana hota hai puri zindagi jinki life ek dusre se judi hoti hai mai pata nahi ye sab aapko kyu samjha rahi hu aapko toh bas apni soch rakhni hai aap mere se ek baar aake puch nahi sakte the ki keerti kya sach hai maine jo suna vo sach hai ke nahi par nahi aapko toh kuch aur he sochna hai be faltu ka aur aapne mujhe isiliye ignore kiya na naksh itne dino aapko pata hai mujhpe kya beeti in dino jab aap mujhe ignore kar kar rahe

Naksh silently listen her because he knows ki usne kitni badi galti kar di apni ek misunderstanding ke wajah se

Keerti- mujhe pata hai kaisa feel ho raha tha agar aapne mujhse baat nahi ki toh mujhe laga mai mar ......

Naksh kept his finger on her lips

Naksh- khabar dar aaj ke baad apne mu se ye shabd nikala toh

Keerti- aapko kya farak padta hai I hate u naksh

Naksh hold her from her shoulder

Naksh- mujhe bahut farak padta hai keerti because I love u I love u I love u meri jaan

Keerti's eyes filled with tears after listening those three words

Naksh- mujhe pata hai aapne I hate u kyu kaha jab koi ladki kisi ko I hate u kehti hai toh iska matlab vo sabse jyada pyaar usse he karti hai

Keerti- aap se mai baat nahi karti aapki meethi meethi batoh  nahi aaungi mai

Naksh hold his ears

Naksh- sorry keerti

Keerti- aapne mera aaj bahut dil dukhaya hai mai jaa rahi hu

Naksh hold her hand

Keerti jerk his hand and run away from there

Naksh shout keerti rukhiye

Akshara- ye kya hua tune kya kiya naksh meri bahu se ladae kari tune jo vo aise chali gayi aaj tu pitega mere hatho se

Naksh- mumma vo mujhse naraz hai maine unhe misunderstood kar liya tha isiliye

Akshara- tu ekdum pagal hai ab mana use pagal

Naksh- ji mumma

Naksh know that she is upset with him but he feels now top of the world because keerti said that she loves him

Naksh in his mind I love u keerti aapko nahi pata aapne aaj ye kehke ki aap mujhse pyaar karti hai kitna bada rehem kiya hai mere pe kabse mai is pal ka intezaar kar raha tha I know ki aap mujhse naraaz hai meri foolish si harkat ke wajah se par mai aapko manake rahunga

Keerti comes home

Swarna- aa gayi beta

Keerti- ji amma

She run towards her room

Swarna- isko kya hua

Keerti jump on bed and hug pillow naksh aapne mujhse kaha that you love me I am so happy today

She blush 

But mai aapse naraz hu mai aapse baat nahi karungi jaeye

Recap- Will Naksh able to convince her?

I hope u like it 

guys please vote and comment and thankyou for your comments 

i really appreciate your comments

-Poonam

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top