Keerti & Badi Dadi vs Naksh & Whole family
After greh pravesh rasam
Badi dadi- chalo keerti beta mere sath mere kamre mai mujhe tumhe kuch dikhana hai
Keerti- ji badi dadi
Keerti look towards naksh
Naksh hold his ears but keerti turn her face and goes with badi dadi
Akshara notice
Akshara- chinta mat karo duggu hum sab tumhare sath hai keerti maaf kar degi tumhe
Badi dadi in her room
Badi dadi- ye lo keerti beta ye kangan gayitri ke hai lalla ki dadi aur meri choti dulhan ke vo lalla se bahut pyaar karti thi jaan tha lalla uska vo aaj hoti toh tumhe dekh ke bahut khush hoti ye kangan mai tumhe dena chahti hu beta ye lo gayitri ka aashirwaad samajh ke inhe swikar karo beta vo hoti aaj toh tumhe bahut pyaar karti uske taraf ye tumhare liye
Keerti eyes filled with tears
She hugs badi dadi
Keerti- thankyou badi dadi aapne aaj dadi ka aashirwad bhi mere tak pahucha diya
Badi dai- kheer khaogi beta
Keerti- mai banati hu na badi dadi
Badi dadi- aaj mai apni pota bahu ko apne hath se bana ke khilaungi
Keerti smile
Keerti- par madad toh mai aapki kar sakti hu na
Badi dadi- haan meri bachi chalo dono kitchen mai chalte hai
Keerti- ji
Everyone thinks kaise naksh ki madad kare keerti ko manane mai
Naksh came in kitchen
Naksh wave at keerti
Keerti turn her face
Badi dadi- lalla tu yaha kya kar raha hai
Naksh- aapki madad karne aaya hu
Badi dadi- koi jarurat nahi hai ja tu yaha se hume teri madad nahi chahiye
Naksh becomes sad
Naksh- mumma kya karu keerti toh badi dadi ke sath hai aur vo toh meri taraf dekh bhi nahi rahi
Akshara- bhabhi maa toh keerti toh ek minute ke liye bhi nahi chod rahi hai
Naitik- bhabhi maa ko kahi bhejna padega
Badi dadi and keerti came at dining table
Badi dadi start feeding kheer to keerti with her hand
All family members just adoring this scene
Naksh goes and sat beside keerti's chair
Keerti about to go
Badi Dadi held keerti's hand
Badi dadi- tu uth yaha se lalla
Naksh- badi dadi mai bhi aap ke hatho se kheer khane aaya hu
Badi dadi- tu ja yaha se mai sirf apni pota bahu ko khilaungi
Naksh- aur ye pota ka kya
Badi dadi- hum dono tujh se naraz hai tu ja
Naksh- ye toh galat baat hai na
Badi dadi- kaha na lalla ja yaha se tu
Naksh stand up from chair and left
Gayu- ye badi nani toh mogambo ban gayi hai aaj bhai ko bhabhi se milne bhi nahi de rahi aur khud bhi naraz hai par mujhe is baat ki khushi hai badi nani bhabhi ko kitna pyaar kar rahi hai
Gayu- vaise mere pass ek idea hai badi nani ko bahar bhejne ka
Akshara- kya
Gayu- dekhte jayiye bas
Gayu- badi nani aap kaise bhul gayi
Badi dadi- kya beta
Gayu- aap bhul gaye aapne manat maangi thi jab bhai ki shaadi ho jayegi aur aapki pota bahu ghar aa jayegi toh aap mandir jayengi aur bhandara rakh vayengi mandir mai
Badi dadi- are haan mai kaise bhul gayi ye
Gayu- abhi toh dupher hai aap jayiye na
Badi dadi- haan beta mai mandir jaati hu
Keerti- mai bhi chalti hu na badi dadi
Badi dadi- nahi beta tu thaki hui hai na yaha aane ke chakar mai tu soi bhi nahi kal raat tum jao aur aaram karo
Keerti- mai thik hu badi dadi mai bhi chalti hu na
Badi dadi- na meri bachi maine kaha na tu aaram kar
Keerti nods
Gayu- plan successful guys
Gayu gave hifi to naksh
Naksh- ab
Akshara- ab mere pass ek plan hai jaisa mai kehti hu vaisa karna duggu bas
Akshara tells him plan
Naksh- nahi mumma mai ye nahi karunga kahi vo aur bura maan gayi toh
Akshara- duggu tujhe keerti ko manana hai na
Naksh- haan mumma par ye bhi toh galat tarike se manana hua na
Swarna- damadji please dekhiye aapko ye raasta apnana padega ye jo meri beti hai na abhi bahut naraz hai aur ye itni jaldi nahi maanti choti choti baato par bhi naraz ho jati hai toh ye toh bahut badi baat hai akshara ji ka plan bilkul sahi hai ye plan kaam karega
Naksh- dekhiye aap sab par mera man abhi bhi nahi maan raha kahi vo aur jyada gussa na ho jaye hume unki feelings ko aise takleef nahi pahuchani chahiye
Naira- ohho bhai aap na ekdum pagal hai aap ke pass aur koi idea hai
Naksh- haan mai jaake maafi mangunga aur kya
Gayu- fir toh bhabhi maan gayi kab se try kar rahe ho aap ek baar bhi maani dekhiye bhai ye he sahi raasta hai ok
Naksh thinks for sometime
Naksh- ok thik hai
Akshara- ye hui na baat toh hum sab bhi bhabhi maa ke sath jaa rahe hai ok tum humare jaane ke baad plan ko execute karna
Naksh- ok mumma
All family left to mandir
Keerti is in badi dadi room she not wanna go in naksh room
Recap- what's the plan???? will naksh able to convince her....
Please tell me guys how's it i know this part was boring but i make sure that next part would be interesting
Please Vote and Comment
Thankyou
-Poonam
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top